Table of Contents
ToggleHazrat Mohkam-ud-din Abdullah Sairani رحمة الله عليه
Alqaab:
Qutb-e-Dhoraji, Shehanshaah-e-Saurashtra, Mehboob-e-Rasool, Shams-ul-Aarifeen.
Qutub e Dhoraji ki Wiladat:
Qutub e Dhoraji ki wiladat 1137 Hijri (1716 A.D.) me hui.
Qutub e Dhoraji ki Talimaat:
Qutub e Dhoraji ne Lahore me sirf 16 saal ki umr me apni ta’aleem puri kar li thi aur Hazrat Allama Taftaazani ki kitaab ‘Sharh Aqaaid’ bhi puri kar li thi.
Us ke baad Qutub e Dhoraji Delhi tashreef laaye aur Hazrat Maulana Fakhr-ud-deen Chishti Dehlawi رحمة الله عليه ke Madrase me Uloome Arabiya ki ta’aleem hasil ki.
Bahawalpur me Madrasa e Arabiya ke ustaad Hazrat Maulana Mohammad Mithan Kot waale ‘Sharahe Aqaaide Nasafi’ ke Mushkil maqaamat ka hal Qutub e Dhoraji se hi karaate the.
Qutub e Dhoraji Hanafi mazhab ke muqallid the.
Hazrat Khwaja Qutb-e-Aalam Abdul Khaaliq Qaadri رحمة الله عليه se Bai’at ki.
Qutub e Dhoraji ke Peer ne Qutub e Dhoraji ko mujaahida wa riyaazat karne ke liye farmaaya. Qutub e Dhoraji ne Chanvli shareef jaakar Chilla kiya. Jab Chille ki mukammal karke Qutub e Dhoraji roza iftaari ke liye baahar tashrif laaye to achaanak ek Buzurg Qutub e Dhoraji ke paas aaye. Un ke haath me Bor the. Qutub e Dhoraji ko dekar farmaaya ke “Lijiye, Is se roza iftaar kijiye.” Qutub e Dhoraji ne un se puchha ke “Qutub e Dhoraji ko kaise pata chala ke mujhe Bor khaane ki khwaahish hui hai?”
Buzurg ne farmaaya “Main Khizr alaihis salaam hu. Aur mera apna kaam karne ke liye aaya hu.” Qutub e Dhoraji ko wo bor dekar Khizr alaihis salaam gaa’ib ho gaye. Qutub e Dhoraji ne unhi bor se roza iftaar kiya.
Baad me Qutub e Dhoraji apne Peer o murshid ke paas haazir hue to saari haqeeqat unhe bataai. Qutub e Dhoraji ke Peer ne farmaaya ke “Ab tum Sair o siyaahat ke liye rawaana ho jaao.”
Qutub e Dhoraji ne Hazrat Khwaja Uwais Qarni radiy-Allāhu anhu se faiz e roohaani haasil kiya.
Jab Qutub e Dhoraji ne Huzoor ﷺ ke Roza e aqdas par haazir ho kar Salaam arz kiya to Qabr mubarak se jawaab aaya ke “Wa Alaikum assalaam Ya Mehboob.” Is jawab se Qutub e Dhoraji par behoshi taari ho gai.
Kuchh der ke baad Roza mubarak ke Khaadim ko irshaad hua ke “Hamare Mehboob ko hamare Roza e paak ke andar bhejo”. Foran hi Khaadim Qutub e Dhoraji ko Huzoor Sarware Kaunain ﷺ ke mazaar e aqdas ke paas le gaye. Khaadim wahi darwaaze par khade rahe aur kaha ke “Qutub e Dhoraji ko hi andar aane ka hukm hai lihaaza Qutub e Dhoraji hi andar tashreef le jaaye.”
Qutub e Dhoraji Roza e Paak ke andar daakhil hue aur bahot der ke baad wQutub e Dhorajias baahar tashreef laaye to Qutub e Dhoraji ke sar par Silsila e Uwaisiya ki dastaar bandhi hui thi. Is tarah Qutub e Dhoraji Silsila e Uwaisiya ke taajdaar aur Mehboob e Rasool hue.
Jab Qutub e Dhoraji safar karte hue Dhoraji (Gujarat) tashreef laaye to namaaze asr ka waqt tha. Dhoraji me sirf ek ‘Ghani miyan ki masjid’ chhoti si masjid thi. Qutub e Dhoraji waha pahunche aur azaan dene ke liye ek kone me gaye to waha ke Moazzin ne Qutub e Dhoraji se kaha “Yaha bilkul dheemi aawaaz me azaan dete hain. Kyun ki yaha khatra hai key aha ke Raajput jaan se maar daalenge.”
Qutub e Dhoraji ko jalaal aa gaya aur azaan dena shuru kiya. Azaan ki aawaaz sun kar Raajput talwaare lekar Masjid ke paas jama ho gaye magar masjid se 40 qadam door thehar gaye. Azaan de kar Qutub e Dhoraji ne un par ek jalaal bhari nigaah daali to saare Kaafir kaanpne lage.
Achanak usi waqt ek ghode sawaar un Raajputo ke paas aaya aur kehne laga ke “Jaldi chalo. Pados ke Gaanv ke Raaja Jaam Vibha hum par hamla karne aa raha hai.” Yeh sun kar saare Raajput dushmano se ladne ke liye Dhoraji se do meel door Bhaadar nadi ke kinaare gaye. Aur Qutub e Dhorajias me ladkar sab mare gaye. Is tarah Qutub e Dhoraji ke qadmo ki barkat se Dhoraji me Kaafiro ka khauf door hua.
Qutub e Dhoraji ki zindagi ka zyada tar hissa Sair o siyaahat me hi nikla. Isi liye Qutub e Dhoraji ‘Sairaani [ya’ani Sair karne waale] ke laqab se mash’hoor hain.
Qutub e Dhoraji ki sawaari ke liye ek ghoda aur ek oont hamesha tayyaar rehte aur un ki dekh bhaal Yousuf Naami Qutub e Dhoraji ke mureed kiya karte the. Qutub e Dhoraji ke ghode ka naam Tawakkal aur oont ka naam Durgaahi tha.
Qutub e Dhoraji ki Karamat:
(1) Ek martaba Qutub e Dhoraji Dehli ki ek masjid me namaaz padh rahe the. Waha us masjid ke Imaam aur ek Taalib e ilm ke bich Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ke safare Me’araaj ke ta’alluq se bahes ho rahi thi ke “Huzoor ﷺ aasmaano par kaise gaye jab ke na to aasmaan me koi chhed hua na to Huzoor ﷺ ke jisme paak par koi aṡar to Huzoor ﷺ aasmaan se aage kaise tashreef le gaye?”
Namaaz se faarigh ho kar Qutub e Dhoraji un dono ke paas gaye aur farmaaya ke “Qutub e Dhoraji Huzoor ﷺ ki Me’araaj shareef ke is raaz ko jaanna chaahte hain? Laao, ek paani ka piyaala bhar kar laao.”
Qutub e Dhoraji ke saamne paani ka piyaala pesh kiya. Qutub e Dhoraji ne us me ek chhota kankar daala. Phir farmaaya ke “Dekho jis tarah yeh kankar paani ke aar paar chala gaya, na to paani me chhed hua aur na hi kankar ko kuchh hua. Isi tarah Huzoor ﷺ ka bhi aasmaano me jaana hume samajhna hai. Agar Qutub e Dhoraji ko is se bhi zyada khulaasa karna hai to Qutub e Dhoraji dono masjid ke baahar chale jaao aur masjid ka darwaaza band kar lo aur baahar jaa kar mujhe bulaao.”
Dono ne baahar jaakar masjid ka darwaaza band kiya aur Qutub e Dhoraji ko aawaaz di. Jaise hi unho ne aawaaz di to Qutub e Dhoraji darwaaze ke aar paar hote hue baahar tashreef laaye. Na to darwaaza toota na khula, na hi Qutub e Dhoraji ke jisme paak par uska kuchh aṡar hua.
Baahar aa kar Qutub e Dhoraji ne farmaaya “Huzoor ﷺ ka yeh adna ghulaam ALLĀH ke fazl se band darwaaze me se nikal sakta hai to Huzoor Nabi e kareem ﷺ aasmaano ko paar karte hue aage chale jaaye is me koi ta’ajjub ki baat nahi hai.”
(2) Ek martaba Qutub e Dhoraji ek khet se guzar rahe the. Us khet ke maalik zameendaar ne Qutub e Dhoraji ko dekh kar Qutub e Dhoraji ko apne paas bulaane ke liye ishaara kiya. Lekin Qutub e Dhoraji kaif ke aalam me chalte jaa rahe the. Yeh dekh kar us zameendaar ko ghussa aaya aur us ne kaha “Aye Dalle! Khada reh.” Yeh sun kar Qutub e Dhoraji rook gaye aur apne khaadim se puchha ke “Yeh kya kehta hai?” Qutub e Dhoraji ke Khaadim ne arz kiya “Huzoor! Jo Aashiq o Maashooq ko milwaata hai use Dalla kehte hain.” Qutub e Dhoraji ne farmaaya ke “Is zameendaar ne mujhe jis ma’ane me bhi Dalla kaha ho main is ke kehne ko pura kar ke dikhaata hu.”
Itna farma kar Qutub e Dhoraji ne apni nigaah e faiz us zameendaar par daali. Foran uska Qalb ma’arifat ke noor se roshan ho gaya. Qutub e Dhoraji ne use Khuda se milva diya aur woh shakhs apne zamaane ka Wali e kaamil ho gaya.
(3) Ek martaba Qutub e Dhoraji ek kunve ke paas baith kar wuzu kar rahe the aur phir paani ke chhinte udaane lage. Kunve ke maalik ne ye dekh kar Qutub e Dhoraji ko is tarah karne se mana kiya. Lekin chunki Qutub e Dhoraji par Wajdaani kaifiyat taari thi is liye Qutub e Dhoraji waisa hi karte rahe.
Ye dekh kar kunve ke maalik ko ghussa aaya aur us ne ek laathi lekar Qutub e Dhoraji ke sar par de maari. Qutub e Dhoraji ke sare mubarak se khoon niklne laga aur Qutub e Dhoraji ka chehra surkh ho gaya.
Qutub e Dhoraji ne us ki taraf tawajjoh ki aur farmaaya ke “Tum ne mujhe ranga hai, aao hum bhi tumhe rang den.” Foran woh shakhs Qutub e Dhoraji ke qadmo gir kar islaam se musharraf ho gaya.
(4) Ek martaba Qutub e Dhoraji safar karte hue Singalgadh naami maqaam par pahunche jo ek pahaadi ilaaqa tha. Us gaanv me ek Saadhu apni jagah jamaae hue baitha tha. Qutub e Dhoraji ko aata dekhkar us Saadhu ne Qutub e Dhoraji ko bulaaya. Qutub e Dhoraji uske paas tashreef le gae. Saadhu ne kaha ke “Agar Qutub e Dhoraji mujhe Wali ho to mujhe apni koi Karaamat dikhaao.” Qutub e Dhoraji ne farmaaya “Main to ek Faqeer hu. Agar tumhare paas koi kamaal ho to wo hame dikhaao.”
Us Saadhu ne kaha ke “Dekho, Abhi main tumhare saamne baitha hu. Mujh par nazar jamaae rakho.”. Dekhte hi dekhte woh Saadhu nazro se gaa’ib ho gaya aur kuchh der baad phir apni jagah par maujood tha.
Qutub e Dhoraji ne us ko puchha ke “Tujhe yeh taaqat kaise haasil hui?” Us ne kaha “Apni khwashishaate nafsaani ko maar dene se.” Qutub e Dhoraji ne farmaaya ke “Main tujhe Islaam ki daawat deta hu. Bataao yeh tumhare nafs ke mutaabiq achha hai ya bura?” Saadhu ne kaha ke “Mere Nafs ke mutaabiq to bura hai.” Qutub e Dhoraji ne farmaya “Phir to apne hi zaabte ke hisaab se tumhe Islaam qubool kar lena chaahiye. Kyun ki tum keh rahe ho ke tumhe yeh kamaal tumhari khwaahishaat ke khilaaf kaam karne par haasil hua hai aur tumhara nafs ye chaahta hai ke tum abhi Islaam qubool na karo to tumhe uski mukhaalifat karte hue qubool kar lena chaahiye.” Ye sun kar woh Saadhu khaamosh ho gaya.
Phir Qutub e Dhorajiane farmaaya ke “Ab phir se tum tumhara kuchh kamaal dikhaao.” Us ne bahot koshish ki lekin kuchh na kar saka. Aakhir thak kar woh Qutub e Dhoraji ke qadmo me gir pada aur musharraf ba Islaam ho gaya. Qutub e Dhoraji ne us ka naam Abdus Salaam rakha. Baad me woh Qutub e Dhoraji ke Khalifa hue.
(5) Ek martaba dauraane safar Qutub e Dhoraji ne ek masjid me qayaam kiya. Qutub e Dhoraji ka Oont ne masjid ki Jhaadiyo me charne laga. Masjid ke ek Khaadim ne aa kar Qutub e Dhoraji ko yeh baat bataai to Qutub e Dhoraji ne Masjid me hi baithe baithe oont ki jaanib dekh kar farmaaya ke “Durgaahi! Yeh Jhaadi masjid ki hai, kya ise khaana durust hai?” Jaise hi oont ne yeh suna woh foran hi charna chhod kar masjid ke sahen se baahar nikal gaya.
Qutub e Dhoraji ki Mureedi aur Khilafat:
Qutub e Dhoraji Hazrat Khwaja Qutb-e-Aalam Abdul Khaaliq Qaadri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Qutub e Dhoraji ke khalifa: Hazrat Khwaja Abdus Salaam رحمة الله عليه.
Qutub e Dhoraji ka Wisaal:
Qutub e Dhoraji ka wisaal 5 Rabi-uṡ-ṡaani 1197 Hijri (1776 A.D.) ko hua.
Qutub e Dhoraji ka mazaar Dhoraji (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Mohkam-ud-deen Abdullāh Sairani رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.