Hazrat Sultan Nasiruddin Ahmad Shah Biography | Download Free PDF

Hazrat Sultan Nasiruddin Ahmad Shah Biography رحمة الله عليه

Aap ki Wiladat:

Aap ki wilaadat 19 Zil Hijja 793 Hijri (18 November 1391 A.D.) ko hui.
Aap ke waalid ka naam Sultaan Ja’afar Khan urfe Muzaffar Shaah bin Wajeeh-ul-Mulk hai.
Aap ke daada Tanka Rajput the aur musalman hue the.

Aap ke waalid Delhi Saltanat me Gujarat ke governor the. 800 Hijri (1398 A.D.) me Baadshaah Taimur ke hamle ke baad Delhi Saltanat kamzor hui to woh Gujarat ke Sultaan ban gaye aur Muzaffari saltanat ki shuruat ki.

813 Hijri (1411 A.D.) me Ja’afar Khan ke intiqaal ke baad Nasiruddin Ahmad Shah Gujarat ke Sultaan bane.

Zil Hijja 813 Hijri (4 March 1411 A.D.) me Aap ne Asawal me Hazrat Shaikh Ahmad Ganj bakhsh Khattu Maghribi, Qaazi Ahmad Jood aur Malik Ahmad رحمة الله عليه ke saath Ahmadabad shaher ki bunyaad rakhi. Aur in ki yaad me is shaher ka naam ‘Ahmadabad’ rakha. 12 durwesho ne bhi Aap ke liye aur shaher ke liye dua farmai.

Aap ne Ahmadabad ko Daar ul hukoomat banaaya.
829 Hijri (1426 A.D.) me Aap ne Ahmadnagar (Himatnagar) shaher bhi basaaya.

Nasiruddin Ahmad Shah ki Mureedi aur Khilafat:

Nasiruddin Ahmad Shah ko Hazrat Shaikh Ahmad Ganj bakhsh Khattu Maghribi رحمة الله عليه ke mureed the. Hazrat Khwaja Ahmad Hankori Chishti رحمة الله عليه se bhi Nasiruddin Ahmad Shah ne faiz haasil kiya.

Nasiruddin Ahmad Shah bahot bahaadur aur aadil baadshaah the. Nasiruddin Ahmad Shah ki riaya Nasiruddin Ahmad Shah se bahot khush thi.

Nasiruddin Ahmad Shah ke zamaana e saltanat me 2 logo ke siwa koi naa haq qatl na kiya gaya. Aur un do mauqe par bhi Nasiruddin Ahmad Shah ne bemiṡaal adl pesh kiya.

(1) Ek roz Sultaan mahel ke jharokhe se dariya e Saabarmati ka nazaara kar rahe the. Barsaat ke din the, Dariya tugyaani par tha. Door se kaali kaali koi cheez Nasiruddin Ahmad Shah ko dikhaai di. Hukm diya ke tairaaq jaakar us behti cheez ko nikaal laaye. Hasb e hukm chand tairaaq bheje gae. Ek bada matka mila jis ko Nasiruddin Ahmad Shah ke huzur pesh kiya gaya.

Jab us matke ko khola gaya to us me se kisi ki laash bar aamad hui. Sultaan ye dekhkar muta’ajjib hue. Laash bilkul anjaani thi. Kisi dusri aur na maaloom jagah ek anjaane shakhs ka qatl hua tha. Jis ka Qatl hua hai wo kaun hai aur kis jagah ka rehne wala hai aur Qaatil kaun hai aur Qatl kaha hua hai is baat ka kisi ko kuchh pata na tha. Lekin pata lagana bhi zaroori tha.

Baadshaah ne hukm saadir farmaaya aur foran saare shaher ke kumbhaar haazir kiye gae. Hukm hua ke “Dekho ye matka kis ka banaaya hua hai? Aur kis ko becha gaya hai?” Hebat e Sultaani itni ghaalib hui ke ek kumbhaar ne qubool kiya ke “Ye matka mera banaaya hua he aur falaan jagah ke falaan muqaaddam ko becha gaya hai”

Jab wo Muqaaddam darbaar me haazir hua to tehqeeqaat ke baad pata chala ke falaan Baqaal ko daulat ki laalach me qatl karke dariya me baha diya tha.

Jab jurm saabit hua to mujrim Daar ul Qaza me pahonchaaya gaya. Qaazi saahab Sharai taur par sazaa jaari ki.

(2) Ek din Nasiruddin Ahmad Shah ke Daamaad ne jawaani ke josh Aur Sultaan se rishtedaari rakhne ke zaum me kisi ghareeb ko naa haq qatl kar diya. Sultaan ne mujrimo ki tarah use adaalat me bhijva diya.

Qaazi ne maqtool ke waariṡo ko Khoon bahaa (Khoon ke badle di jaane waali raqam ya maal) dene par raazi kar liya. Aur 200 oont ya us ki qeemat dena tay hua. Qaazi ne ye faisla likhkar baadshaah ke huzur bhijwa diya.

Faisla dekhkar Nasiruddin Ahmad Shah ne farmaaya ke ‘Mere daamaad ne jo qatl kiya hai us ka Khoon bahaa is ke waariṡo ko dilwaane se jo shareer qism ke maaldaar hain un ke hosle badh jaayenge aur un ki jurrat aur badh jaaegi ke ghareebo ko maarkar wo khoon bahaa dekar wo chhut jaaya karenge. Chunaanche meri raay me insaaf ka taqaaza ye nahi ke khoon bahaa dilaakar qaatil ko chhod diya jaaye balke saza dena afzal hoga.’

Qaazi ne hukm ki taamil karte hue mujrim ko sare baazar sooli par latka diya. Murda pura ek din aur raat yunhi latakta raha taake use dekh kar log ibrat haasil kare. Phir dusre roz dafn kiya gaya.

Badshaah ke adl o insaaf ka ye haal dekhkar tamaam badmaasho me aisa khauf wa haibat paida hua ke jab tak Nasiruddin Ahmad Shah Sultaan rahe shaher me koi dusra qatl na hua.

Nasiruddin Ahmad Shah ke baad Nasiruddin Ahmad Shah ka saahabzaada Kareem Khan urfe Mohammad Shah Gujarat ka Sultan bana.

Nasiruddin Ahmad Shah ka Wisaal:

Nasiruddin Ahmad Shah ka wisaal 4 Rabi uṡ ṡaani 847 Hijri (1 August 1443 A.D.) ko hua.
Nasiruddin Ahmad Shah ka mazaar Ahmedabad (Gujarat) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sultan Nasiruddin Ahmad Shah رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *