Aaya Hai Ye Tera Deewana Lyrics
By Allama Ibrahim Khushtar Siddique
Aaya hai ye tera deewana Shai’an Lillah Shai’an Lillah Kehta hai ye har dam mastaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Khaalee hai meri jholi bhar do Ay Ghaus mujhe boli bhar do Darbaar hai tera shahaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Tu jaan e wali hai kaan e sakhi darbaar main teray kya hai kami Bhar day meray saaqee paymaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Hai hukm tera hukm e rabbi eik dam main jo chahai kar day wohi Ye daur hai tera shahaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Main bad hi sahi main chor hi sahi main mujrim o khaati kuch hi sahi Par tera houn jaan e jaanaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Aaya hai ye tera deewana Shai’an Lillah Shai’an Lillah Kehta hai ye har dam mastaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Tu peer mera laathani hai aur Ghaus mera Jeelani hai Main tera mureed e deewaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Chaahoun jo agar tujh ko chaahoun dekhoun jo agar tujh ko dekhoun Kar day mujhe sab se beegaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Islaam ka main eik saa il houn aur naam ka teray Shaaghil houn Parhta howa tera do gaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Chootay na kabhi tu aur Ahmad, mushkil jo paray ho teri madad Gar waqt naz’a ho aajaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Main saail o kam-himmat zaayir aur naam tera Abdul Qaadir Aur Qaadri tera kaashaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Aaya hai ye tera deewana Shai’an Lillah Shai’an Lillah Kehta hai ye har dam mastaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Tu Qaasim ibnul qaasim hai har nai’mat tujhse qaaim hai Aalam hai tera langar khana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Sab teray mazaare anwar par hotay hain nichaa war aa aa kar Tu sham’a hai aalam parwaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Main aur meray ehbaab pisar aur bhaai bahen beewi dukhtar Sab ka ho wazeefa rowzaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Laitay rahein ham sab naam tera kartay rahein mil kar kaam tera Baghdaad sey ho aab o daana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Tum dil main jo jalwah farma ho phir kya kahay ye kya kya ho Abaad karo ye weeraana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Khushtar ko bulaya rawze par ummeed sey dee nai’mat barh kar Ho lutf o karam ye saalana Shai’an Lillah Shai’an Lillah
Aaya hai ye tera deewana Shai’an Lillah Shai’an Lillah Kehta hai ye har dam mastaana Shai’an Lillah Shai’an Lillah