Table of Contents
ToggleHazrat Sayyed Haji Waris Ali Shah رحمة الله عليه
Laqab:
Aalam panaah.
Aap ki wiladat :
Aap ki wiladat 1234 Hijri (1819 A.D.) me Dewa (Uttar Pradesh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Qurbaan Ali bin Sayyed Salaamat Ali aur waalida ka naam Bibi Sakeena (Chandan Bibi) binte Sayyed Sher Ali hai.
Aap Husaini saadat hain.
Aap ke par-daada Sayyed Ashraf Abi Taalib ibn Sayyed Mahrooq Nishapur (Iran) se Hindustan ke Kuntur (Barabanki) me aaye the.
2 baras ki umr me aap ke waalid ka aur phir 3 baras ki umr me aap ki waalida ka inteqal hua. Is ke baad aap ki daadi Hayaat-un-nisa ne aap ki parwarish ki.
Aap ko jab doodh pilaya jaata to aap aahista aahista peete aur thoda peene ke baad aap ko sukoon mil jaata.
Aap kabhi rote nahi balke khaamosh rehte the.
Bachpan me bhi aap sone ki jagah ko najis nahi karte the.
Raat me aasman ki taraf dekhte rehte.
Bahut kam sote aur jab jaagte to aap ke chehre par muskurat hoti.
Bachpan me aap khelne ke bajay Lukai Halwai ki dukaan par se meethai kharidkar bacho ko khilate aur gareebo ko khairaat karte rehte.
Aap ki Talimaaat:
5 baras ki umr me Hazrat Sayyed Haji Waris Ali Shah رحمة الله عليه ne apne chacha Hazrat Ameer Ali se Qur’an majeed ki taaleem shuru ki aur 7 baras ki umr me aap Haafize Qur’an hue.
Is ke baad Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shah ne Lucknow me aap ko majeed taaleem ata farmai.
Aap 11 baras ki umr me Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shah Qadri رحمة الله عليه ke mureed hue.
3 saal baad Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shah ka wisaal hua.
Aap 12 saal tak Arabia, Shaam (Syria), Palestine, Iraq (Mesopotamia), Iran, Turkey, Russia aur Germany ka safar karte rahe.
Is dauran aap Istanbul (Constantinople) me Sultan Abdul Majeed se aur Berlin me Prince Bismarck mile.
Aap ka Hajj:
Is safar ke dauran Hazrat Sayyed Haji Waris Ali Shah رحمة الله عليه ne 10 martaba Hajj e Baitullah ada kiye.
1253 Hijri (1838 A.D.) me Pehle Hajj ke baad Hazrat Sayyed Haji Waris Ali Shah رحمة الله عليه ne sile hue kapde pehanna band kar diya aur hamesha ehraam ki tarah sirf 2 kapde (tahaband aur chaadar) badan par daalte aur aap hamesha nange paanv aur paidal safar karte aur kisi sawari ka istemaal nahi karte.
Ek baar aap apne mureedo ke saath Bahraich ki taraf ja rahe the. Raaste me Hazrat Sayyed Haji Waris Ali Shah رحمة الله عليه ne Ghaghra nadi ko tairkar paar karne chaha. Ghaghra nadi me sailab ki wajah se bahut ziyada paani tha. Is liye mureed ghabhraye. Magar jab wo aap ke saath nadi me utre to laga ki jaise ghutno tak hi paani hai. Jab bahar aaye to sab ne dekha ki hazrat ke paanvo par mitti ka koi nishan bhi nahi aur jab maqaam par pahunchne ke baad chattai pair rakha to paani ka koi nishan bhi nahi pada.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Sayyed Khaadim Ali Shah Qadri رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke mureedo me Hazrat Haji Abul Hasan Shah Warsi (Etawah), Hazrat Haafiz Ahmad Shah (Agra), Fazihat Shah, Abdul Ad Shah, Maulana Mohammad Shafi Shah, Naamdar Shah, aur Ghulam Waaris mashhoor hain.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 1 Safar 1323 Hijri (6 April 1905 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Dewa shareef (Uttar Pradesh) me hai.
ALLAH ﷻ us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
aur Hazrat Waaris Ali Shaah رحمة الله عليه aur Ahle Bait aur Auliya Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farmae.
Aameen.