Wo suye lalazar phirte hain
Tere din aay bahaar phirte hain
Jo tere dar se yaar phirte hain
Dar ba dar yoon hi khaar phirte hain
Aah kal’ aysh to kiye hum ne
Aaj woh be qaraar phirte hain
Un ke eemaa se donon baagon par
Khail e layl o nahaar phirte hain
Har charaaghe mazaar par qudsee
Kayse parwaanah waar phirte hain
Us gali kaa gadaa hun main jis mein
Maangte taajdaar phirte hain
Wo suye lalazar phirte hain
Tere din aay bahaar phirte hain
Jaan hain jaan kya nazar aaye
Kyun ‘adu gird e ghaar phirte hain
Phool kya dekhoon meri aankhon mein
Dasht e Taibah ke khaar phirte hain
Laakhon qudsi hain kaam e khidmat par
Laakhon gird e mazaar phirte hain
Wardiyaan bolte hain har kaare
Pehra dete sawaar phirte hain
Rakhiye jaise hain khaana zaad hain hum
Mol ke ayb daar phirte hain
Wo suye lalazar phirte hain
Tere din aay bahaar phirte hain
Haaye ghaafil woh kya jagaah hai jahaan
Paanch jaate hain chaar phirte hain
Bayen raste na jaa musaafir sun
Maal he raah maar phirte hain
Jaag sunsaan ban hai raat aayee
Gurg behr e shikaar phirte hain
Nafs ye koyi chaal hai zaalim
Jayse khaase bijaar phirte hain
Koyi kyun pooche teri baat Raza
Tujh se kutte hazaar phirte hain
Wo suye lalazar phirte hain
Tere din aay bahaar phirte hain
وہ سُوئے لالہ زار پِھرتے ہیں
تیرے دِن اے بہار پِھرتے ہیں
جو تِرے در سے یار پِھرتے ہیں
در بدر یُوں ہی خوار پِھرتے ہیں
آہ کل عیش تو کیے ہم نے
آج وہ بے قرار پِھرتے ہیں
ان کے اِیما سے دونوں باگوں پر
خیلِ لیل و نہار پِھرتے ہیں
ہر چراغِ مزار پر قُدسی
کیسے پروانہ وار پِھرتے ہیں
اُس گلی کا گدا ہوں میں جس میں
مانگتے تاجدار پِھرتے ہیں
جان ہیں جان کیا نظر آئے
کیوں عَدو گِردِ غار پِھرتے ہیں
پُھول کیا دیکھوں میری آنکھوں میں
دشتِ طیبہ کے خار پِھرتے ہیں
لاکھوں قُدسی ہیں کام خدمت پر
لاکھوں گِردِ مزار پِھرتے ہیں
وردیاں بولتے ہیں ہرکارے
پہرہ دیتے سوار پِھرتے ہیں
رکھیے جیسے ہیں خانہ زاد ہیں ہم
مَوْل کے عیب دار پِھرتے ہیں
ہائے غافِل وہ کیا جگہ ہے جہاں
پانچ جاتے ہیں چار پِھرتے ہیں
بائیں رستے نہ جا مسافِر سُن
مال ہے راہ مار پِھرتے ہیں
جاگ سنسان بن ہے رات آئی
گُرگ بہرِ شِکار پِھرتے ہیں
نفس یہ کوئی چال ہے ظالم
جیسے خاصے بِجار پِھرتے ہیں
کوئی کیوں پُوچھے تیری بات رضاؔ
تجھ سے کتّے ہزار پِھرتے ہیں