Shukr e Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai Lyric
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Garmi hai tapp hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr ye to dekh ‘azeemat kidhar ki hai
Kis khaak e paak ki tu banee khaak e paa shifa
Tujhko qasam janaab e maseeha ke sar ki hai
Aabe haiaat e ruh hai ‘zarqa’ ki boond boond
Akseer a’zam e mase dil khaak dar ki hai
Humko to apne saaye main aaram hi se laaye
Heele bahaane waalon ko ye raah dar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Lut te hain maare jaate hain yun hi suna kiye
Har baar di wo aman ke ghairat hadar ki aai
Wo dekho jagmagati hai shab aur qamar abhi
Pehron nahin ke bast o chaharum safar ki hai
Maah e Madinah apni tajalli ataa kare
Ye dhalti chandni to pehar do pehar Ki hai
Mann Zaara Turbatee Wajabat Lahu Shafaa’ati
Un par Durood jinse naveed in bushar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Usske tufail Hajj bhi Khuda ne kara diye
Asl e muraad haazri iss paak dar ki hai
Ka’abe ka naam tak na liya Taybah hi kaha
Poocha tha humse jisne ke nuhzat kidhar ki hai
Ka’aba bhi hai inhin ki tajalli ka aik zill
Roushan inhin ke aks se Putli hajar ki hai
Hote kahaan Khaleel o bina Ka’aba o Mina
Low laak waale Saahibi sab tere ghar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Maula Ali ne waari teri neend par Namaz
Aur woh bhi Asr sabse jo aa’la khatar ki hai
Siddeeq balke ghaar main jaan uss pe de chuke
Aur hifz e jaan to jaan furuz e ghurar ki hai
Haan tu ne unko jaan unhain pher di namaz
Par woh to kar chuke the jo karni bashar ki hai
Saabit hua ke jumla faraiz furu’u hain
Aslul usool bandagi uss taajwar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Shar khair, shor sur, sharar door, naar nur
Bushra ke baargaah ye khairul bashar ki hai
Mujrim bulaye aaye hain ‘Jaaooka’ hai gawah
Phir rad ho kab ye shaan kareemon ke dar ki hai
Bad hain magar unhi ke hain baaghi nahin hain hum
najdi na aaye usko ye manzil khatar ki hai
Tuf najdiyat na kufr na Islam sab pe haraf
Kafir idhar ki hai na udhar ki adhar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Haakim hakeem daado dawa dain ye kuch na dain
Mardood ye muraad kis aayat khabar ki hai
Shakl e bashar mein noor e Ilahi agar na ho
Kya qadr uss khameera e maao madar ki hai
Noor e Ilaah kya hai mahabbat Habeeb ki
Jis dil main ye na ho wo jagah khouk o khar ki hai
Zikre Khuda jo unse judaa chaaho najdiyo
Wallah zikre Haq nahin kunji saqqar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Be unke waaste ke Khuda kuch ‘ataa kare
Haashaa ghalat ghalat ye hawas be basar ki hai
Maqsood ye hai Aadam o Nooh o Khaleel Se
Tukhme karam main saari karaamat thamar ki hai
Unki Nubuwwat unki ubuwwat hai sabko aam
Ummul bashar aroos unhin ke pisar ki hai
Zaahir main mere phool Haqeeqat mein mere nakhl
Uss gul ki yaad main ye sadaa bul bashar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Pehle ho unki yaad keh paaye jila namaz
Yeh kehti hai azaan jo pichle pehar ki hai
Duniya mazaar hashr jahaan hain Ghafoor hain
Har manzil apne chaand ki manzil Ghafar ki hai
Un par Durood jinko hajar tak karain salaam
Un par Salaam jinko Tahiyyat shajar ki hai
Un par Durood jinko kasse be kasan kahain
Un par Salaam jinko khabar be khabar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Jinn o bashar salaam ko haazir hain assalaam
Yeh bargaah maalik e jinn o bashar ki hai
Shams o qamar salaam ko haazir hain assalaam
Khubi unhin ki jyot se shamso qamar ki hai
Sab bahr o bar salaam ko hazir hain assalaam
Tamlik unhin ke naam to har bahr o bar ki hai
Sang o shajar salaam ko haazir hain assalaam
Kalme se tar zabaan darakht o hajar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Arzo athar salaam ko hazir hain assalaam
Malja ye baargah dua o athar ki hai
Shorida sar salaam ko hazir hain assalaam
Raahat unhin ke qadmon main shorida sar ki hai
Khasta jiggar salaam ko hazir hain assalaam
Marham yahin ki khaak to khasta jigar ki hai
Sab khushk o tar salaam ko hazir hain assalaam
Ye jalwa gaah maalik e har khushk o tar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Sab karro far salaam ko hazir hain assalaam
Topi yahin to khaaq pe har karro far ki hai
Ahl e nazzar salaam ko hazir hain assalaam
Ye gard hi to surma sab ahl e nazzar ki hai
Aansu bahaa keh beh gaye kaale gunah ke dher
Haathi dubao jheel yahaan chashm e tar ki hai
Teri qaza khaleefa e ahkaame zil jalaal
Teri Raza haleef qaza o qadar ki hai
Yeh pyaari pyaari kyaari tere khaana baagh ki
Sard uski aab o taab se aatish saqar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Jannat main aa ke naar main jaata nahin koi
Shukr e Khuda naweed najaat o zafar ki hai
Mo’min hun mo’minon Pe Rauf o Raheem ho
Saa il hun saa ilon ko khushi laa nahar ki hai
Daaman ka waasta mujhe uss dhoop se bachaa
Mujhko to shaaq jaaron main iss dopehr ki hai
Maa donon bhai bete bhateeje azeez dost
Sab tujhko soumpe milk hi sab tere ghar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Jin jin muraadon ke liye ahbaab ne kaha
Peshe khabeer kya mujhe haajat khabar ki hai
Fazle Khuda se ghaib e shahadat hua unhe
Iss par shahaadat aayat o wahi o athar ki hai
Kehna na kehne waale the jab se to ittela’a
Maula ko Qowl o Qaail o har khushk o tar ki hai
Unn par kitaab utri bayaanan li Kulli Shai
Tafseel jis main maa abar wa maa ghabar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Aage rahi ‘ataa wo baqadr e talab to kya
‘Aadat yahaan ummeed se bhi beshtar ki hai
Be maange dene wale ki ne’mat me gharq hain
Maange se jo mile kise feham iss qadar ki hai
Ahbaab iss se barh ke to shaayad na paayein arz
Naa karda ‘arz ‘arz ye tarze digar ki hai
Dandaan kaa naat khwaan hoon na paayaab hogi aab
Naddi gale gale mere aab e guhar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
Dashte Haram main rehne de sayyaad agar tujhe
Mitti azeez bulbul e be baal o par ki hai
Yaa Rabb Raza na Ahmad e parina hoke jaay
Ye baargah tere Habeeb e Abar ki hai
Taufeeq de ke aage na paida ho khu e bad
Tabdeel kar jo khaslat e bad peshtar ki hai
Aa kuch sunaa de ishq ke bolon main aay Raza
Mushtaq tab e lazzat e soz e jigar ki hai
Shukr e khuda ki aaj ghadi us safar ki hai hai
Jis par nisaar jaan falaah o zafar ki hai
شکر خدا کہ آج گھڑی اُس سفر کی ہے
جس پر نِثار جان فلاح و ظفر کی ہے
گرمی ہے تپ ہے درد ہے کُلفت سفر کی ہے
ناشکر یہ تو دیکھ عزیمت کدھر کی ہے
کِس خاکِ پاک کی تو بنی خاکِ پا شفا
تجھ کو قسم جنابِ مسیحا کے سر کی ہے
آبِ حیات رُوح ہے زرقاکی بُوند بُوند
اکسیرِ اعظمْ مَسِّ دلْ خاکْ در کی ہے
ہم کو تو اپنے سائے میں آرام ہی سے لائے
حِیلے بہانے والوں کو یہ راہ ڈر کی ہے
لُٹتے ہیں مارے جاتے ہیں یُوں ہی سُنا کیے
ہر بار دی وہ امن کہ غیرت حضر کی ہے
وہ دیکھو جگمگاتی ہے شب اور قمر ابھی
پہروں نہیں کہ بِست و چَہارم صفر کی ہے
مَاہِ مَدینہ اپنی تجَلّی عطا کرے!
یہ ڈھلتی چاندنی تو پہر دو پہر کی ہے
مَنْ زَارَ تُرْبَتِیْ وَجَبَتْ لَہ ٗ شَفَاعَتِیْ
اُن پر درود جن سے نوید اِن بُشَر کی ہے
اس کے طفیل حج بھی خدا نے کرا دیے
اصلِ مُراد حاضری اس پاک در کی ہے
کعبہ کا نام تک نہ لیا طیبہ ہی کہا
پوچھا تھا ہم سے جس نے کہ نُہْضَت کدھر کی ہے
کعبہ بھی ہے اِنھیں کی تَجلی کا ایک ظل
روشن اِنہی کے عکس سے پُتلی حجر کی ہے
ہوتے کہاں خلیل و بِنا کعبہ و منیٰ
لولاک والے صَاحبی سب تیرے گھر کی ہے
مَولیٰ علی نے واری تِری نیند پر نماز
اور وہ بھی عصر سب سے جو اَعلیٰ خطرکی ہے
صِدیق بلکہ غار میں جاں اس پہ دے چکے
اور حفظِ جاں تو جان فروضِ غُرر کی ہے
ہاں تو نے اُن کو جان اِنھیں پھیر دی نماز
پَر وہ تو کر چکے تھے جو کرنی بشر کی ہے
ثابت ہوا کہ جملہ فرائض فروع ہیں
اصل الاصول بندگی اس تاجور کی ہے
شرخیر شور سُور شرر دور نار نور!
بشریٰ کہ بارگاہ یہ خیر البشر کی ہے
مجرم بُلائے آئے ہیں جَآؤُوكَ ہے گواہ
پھر رَد ہو کب یہ شان کریموں کے در کی ہے
بد ہیں مگر اُنہیں کے ہیں باغی نہیں ہیں ہم
نجدی نہ آئے اس کو یہ منزل خطر کی ہے
تف نجدیت نہ کفر نہ اسلام سب پہ حرف
کافر اِدھر کی ہے نہ اُدھر کی اَدھر کی ہے
حاکم حکیم داد و دَوا دیں، یہ کچھ نہ دیں؟
مَردُود یہ مُراد کِس آیت خبر کی ہے
شکل بشر میں نورِ الٰہی اگر نہ ہو!
کیا قدر اُس خمیرۂ مَا و مَدَر کی ہے
نُورِ اِلٰہ کیا ہے محبت حبیب کی
جس دل میں یہ نہ ہو وہ جگہ خوک و خر کی ہے
ذکرِ خدا جو اُن سے جدا چاہو نجدیو!
وَاللہ ذِکرِ حق نہیں کنجی سَقَرکی ہے
بے اُن کے واسطہ کے خدا کچھ عطا کرے
حاشا غلط غلط یہ ہوس بے بصر کی ہے
مقصود یہ ہیں آدم و نوح و خلیل سے
تُخمِ کرم میں ساری کرامت ثمر کی ہے
اُن کی نبوّت اُن کی اُبوّت ہے سب کو عام
اُمّ البشر عروس انہیں کے پِسر کی ہے
ظاہِر میں میرے پھول حقیقت میں میرے نخل
اس گل کی یاد میں یہ صَدا بوالبشر کی ہے
پہلےہو ان کی یاد کہ پائے جِلا نماز
یہ کہتی ہے اذان جو پچھلے پہر کی ہے
دُنیا، مزار، حشر، جہاں ہیں غفور ہیں
ہر منزل اپنے چاند کی منزل غَفَرکی ہے
اُن پر دُرود جن کو حجر تک کریں سلام
ان پر سلام جن کو تحیّت شجر کی ہے
اُن پر درود جن کو کَسِ بے کسَاں کہیں
اُن پر سلام جن کو خبر بے خبر کی ہے
جن و بشر سلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
یہ بارگاہ مالکِ جن و بشر کی ہے
شمس و قمر سَلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
خُوبی اِنہیں کی جوت سے شمس و قمر کی ہے
سب بحر و بر سلام کو حاضِر ہیں اَلسَّلام
تملیک اِنہیں کے نام تو ہر بحر و بر کی ہے
سنگ و شجر سلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
کلمے سے تر زبان درخت و حجر کی ہے
عرض و اثر سلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
ملجا یہ بارگاہ دُعا و اثر کی ہے
شورِیدہ سر سلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
راحت اِنھیں کے قدموں میں شورِیدہ سر کی ہے
خستہ جگر سَلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
مرہم یہیں کی خاک تو خستہ جگر کی ہے
سب خشک و تر سلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
یہ جلوہ گاہْ مالکِ ہر خشک و تر کی ہے
سب کَرّ و فر سلام کو حاضر ہیں السَّلام
ٹوپی یہیں تو خاک پہ ہر کرّو فر کی ہے
اہلِ نظر سَلام کو حاضر ہیں اَلسَّلام
یہ گرد ہی تو سُرمہ سَب اہلِ نظر کی ہے
آنسو بہا کہ بہہ گئے کالے گنہ کے ڈھیر
ہاتھی ڈوباؤ جِھیل یہاں چشمِ تر کی ہے
تیری قضا خلیفۂ اَحکامِ ذی الجلال
تیری رضا حلیفْ قضا و قدر کی ہے
یہ پیاری پیاری کیاری تِرے خانہ باغ کی
سَرد اس کی آب و تاب سے آتِش سقر کی ہے
جنت میں آ کے نار میں جاتا نہیں کوئی
شکرِ خدا نوید نجات و ظفر کی ہے
مومن ہوں مومنوں پہ رؤفٌ رحیم ہو
سائل ہوں سائلوں کو خوشی لَا نَہَرکی ہے
دامن کا واسطہ مجھے اُس دھوپ سے بچا
مجھ کو تو شاق جاڑوں میں اِس دوپہر کی ہے
ماں دونوں بھائی بیٹے بھتیجے عزیز دوست
سب تجھ کو سونپے مِلک ہی سب تیرے گھر کی ہے
جن جن مُرادوں کے لئے اَحباب نے کہا
پیش خبیر کیا مجھے حاجت خبر کی ہے
فضل خدا سے غیب شہادت ہوا اِنھیں
اس پر شہادت آیت و وحی و اَثر کی ہے
کہنا نہ کہنے والے تھے جب سے تو اطلاع
مولیٰ کو قول و قائل و ہر خشک و تر کی ہے
ان پر کتاب اُتری بَیَانًا لِّکُلِّ شَیْء
تفصیل جس میں مَا عَبَر و مَا غَبَر کی ہے
آگے رہی عطا وہ بقدر طلب تو کیا
عادت یہاں اُمید سے بھی بیشتر کی ہے
بے مانگے دینے والے کی نعمت میں غرق ہیں
مانگے سے جو ملے کِسے فہم اُس قدر کی ہے
اَحباب اس سے بڑھ کے تو شاید نہ پائیں عرض
ناکردہ عرض عرض یہ طرزِ دِگر کی ہے
دنداں کا نعت خواں ہوں نہ پایاب ہو گی آب
ندّی گلے گلے مِرے آبِ گُہر کی ہے
دشتِ حرم میں رہنے دے صیّاد اگر تجھے
مٹی عزیز بلبلِ بے بال و پر کی ہے
یاربّ رضا نہ احمد پارینہ ہو کے جائے
یہ بارگاہ تیرے حبیب اَبَر کی ہے
توفیق دے کہ آگے نہ پیدا ہو خوئے بد
تبدیل کر جو خصلت بد پیشتر کی ہے
آ کچھ سُنا دے عشق کے بولوں میں اے رضاؔ
مشتاقْ طبع لذّتِ سوزِ جگر کی ہے