Table of Contents
ToggleHazrat Makhdoom Sayyed Sikandar Jahaniya Tirmizi رحمة الله عليه
Sikandar Jahaniya Tirmizi ki Wiladat:
Aap ki wilaadat 750 Hijri (1349 A.D.) me Tirmiz (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayed Mas’ood Husaini hai.
Khalifa Maamoon Rasheed ke zamaane me Aap ke pardaada Arab se Tirmiz aaye.
Sikandar Jahaniya Tirmizi ki Talimaat:
Aap ne ibtidaai ta’aleem Tirmiz me apne waalide maajid se haasil ki.
9 saal ki umr me Aap Haafize Qur’ān hue.
20 saal ki umr me mazeed ta’aleem ke liye safar karke Uch tashreef laaye aur Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki aur Hazrat ki khidmat karte rahe.
Ek din Huzoor Rasool-Allāh ﷺ Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht ke khwaab me tashreef laaye aur irshaad farmaaya “Aap ke talba me ek Sayyedzaada bhi hai jin se Aap khidmat le rahe hain.”
Subah ko Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht ne tamaam talba ko jama kiya aur farmaaya “Aap logo me woh kaun sa taalibe ilm hai jo Sayyed hai?” Aap adab se aage badhe aur arz kiya ke “Huzoor! Main Sayyed hu.” Hazrat ne daryaaft farmaaya “Tum ne yeh baat kyun chhupaai?” Aap ne arz kiya “Agar main apna Sayyed hona zaahir kar deta to aap ki khidmat karne ka mauqa na milta.”
Hazrat yeh jawaab sunkar bahot khush hue. Aap se khidmat lena mauqoof kar diya aur Aap par Shafqat farmaate hue Aap ke khaane ka intazaam dars-gaah ke bajaay khaas apne ghar par kar diya.
Aap ki Qaabiliyat ko dekh kar Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht ne 775 Hijri (1373 A.D.) me Aap ko Khirqa e Khilaafat se nawaaza.
776 Hijri (1374 A.D.) me Hazrat ne Aap ko Khirqa e Ijaazat ata karke Mangrol jaane ke liye farmaaya. Aap ne Peer ki mohabbat me ba-adab arz kiya “Huzoor! Main aap ko chhod kar kahi jaana nahi chaahta, Main yahi Aap ki khidmat hi me rehna chaahta hu.” Lekin jab Hazrat ne Huzoor ﷺ ka farmaan aur bashaarat sunaai to Aap foran Mangrol jaane ke liye tayyaar ho gaye.
Phir Hazrat ne Aap ko paalki me bithakar Uch shareef se rawaana kiya aur khud paalki ko kandha dekar uthaaya. Aap ko yeh theek nahi laga ke khud paalki me baithe aur Peer o murshid paalki ko uthaaye. Is liye Aap paalki se utar gaye. Phir Hazrat ne farmaaya “Asa bhi Jahaaniya Tusa bhi Jahaaniya.”
Aur Aap ko ek khat likhkar diya ke “Main apne roohaani farzand Sayyed Sikandar bin Mas’ood ko Shahere Mangrol ki Wilaayat ataa karke bhej raha hu. Aap log har tarah se in ki madad karen aur in ka saath den aur Deene Islaam ki tabligh o ishaa’at me in ke saath rahen. Jo koi in ki mukhaalifat karega ALLĀH ta’ala ke yaha us ka koi maqaam o martaba nahi hai.”
Pehle Aap Karachi tashreef laaye aur yaha se Samandar ke raaste Mangrol tashreef laaye. Aap ke yaha aane ka khaas maqsad yaha ke Zaalim Raaja se musalmano ko najaat dilaana tha. Pehle Mangrol se 3 mile door Sheel naami Bandar par thehre. Aap apne Peer ke ataa karda jo Tabarrukaat apne saath laaye the un ko Sheel me hi kisi ko amaanat ke taur par de diye.
Us ke baad Aap Sheel se apne saathiyo ko lekar Mangrol ki taraf rawaana hue. ‘Daarvaav’ se hokar Mangrol ke maghribi darwaaze se Shaher me dakhil hue.
Us waqt Shahere Mangrol par Raaja Kunvar Paal Vaghela ka raaj tha jo bahot Zaalim tha. Aap ke tashreef laane ke baad us zaalim Raja ne Aap se jung ki. Is jung me Aap ke kai saathi aur dusre buzurgaane deen ne shahaadat ka jaam nosh kiya. 17 Shawwaal 777 Hijri ko ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap ko fatah haasil hui.
Sultaan Firoz Shaah Tughlaq ne Aap ko Mangrol ki hukoomat sambhaalne ki darkhwaast ki. Lekin Aap ne inkaar kiya aur ibaadat wa riyaazat me mashgool ho gaye.
Aap ne khaanqaah ki ta’ameer ki aur Sheel se tamaam tabarrukaat apni Khaanqaah me le aaye.
Mangrol me sukoonat pazeer hokar 48 Saal tak Aap ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
Aap ne Kai Masaajid aur Madaaris ki ta’ameer ki.
785 Hijri (1384 A.D.) me Aap ne Shaher me ek shaandaar Jaame Masjid ta’ameer karwaai.
Aap ki daawat par Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht رحمة الله عليه Mangrol tashreef laaye aur ek Hujre me Chilla kashi ki. Yaha par Aap ne ek masjid ta’ameer ki jis ka naam ‘Masjide Rahmat’ rakha.
Is ke baad Aap ne ‘Raavli Masjid’ ki ta’ameer ki.
Sikandar Jahaniya Tirmizi ka Wisaal:
Sikandar Jahaniya Tirmizi ka wisaal 10 Rabi-uṡ-Ṡaani 825 Hijri ko hua.
Sikandar Jahaniya Tirmizi ka mazaar Mangrol (Saurashtra, Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Makhdoom Sayyed sikandar jahaniya tirmizi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.