Hazrat Khwaja Ghulam Fareed Chishti رحمة الله عليه
Alqaab:
Malik-ush-Shuara, Fard-e-Fareed, Qaadir-ul-Kalaam.
Ghulam Fareed Chishti ki Wiladat:
Aap ki wilaadat 26 Zil Hijja 1261 Hijri (25 November 1845 A.D.) me Peer ke roz Chacharan me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Khuda Bakhsh bin Khwaja Ahmad Ali hai.
Aap Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Arab fauj ke saath ke Hind me aaye the.
Aap 5 saal ke the tab aap ki waalida ka inteqaal hua.
12 saal ki umr me aap ke waalid ka inteqaal hua.
Is ke baad Aap ke bhaai Khwaja Ghulaam Fakhr-ud-deen ne aap ki parwarish aur tarbiyat ki.
8 saal ki umr me Haafiz e Qura’n hue.
Is ke baad Nawaab Saadiq Muhammad Khan Aap ko Ahmadpur Sharqia apne mahel me le gaye aur ulama ke paas aap ko taaleem shuru ki.
13 saal ki umr me Aap apne bhaai Khwaja Fakhr-ud-deen رحمة الله عليه ke mureed hue.
28 saal ki umr me Aap ke bhaai aur Peer o murshid ka wisaal hua.
Is ke baad Aap Ruhi tasheef le gaye aur 18 saal tak waha muqeem rahe.
1292 Hijri (1876 A.D.) me Aap ne Hajje Baitullāh ada kiya.
Aap bahot parhezgaar aur ibaadat guzaar the.
Aap Arabi, Faarsi, Urdu, Punjabi (Saraiki), Sindhi, Braj Bhasha, aur Sanskrit ke maahir the.
Ghulam Fareed Chishti ke mash'hoor kalaam:
(1) Deewaan-e-Fareed (Saraiki [1882 A.D.], Punjabi [1883 A.D.], Urdu [1884 A.D.])
(2) Manaaqabe Mehboobia (Faarsi Nashr)
(3) Fawa’id Fareedia (Faarsi Nashr).
Ghulam Fareed Chishti ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Khwaja Ghulaam Fakhr-ud-deen Fakhr-e-Jahaan Chishti رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Chishti Nizaami’ silsila ke Shaikh hain.
Aap ke khalifa Khwaja Moeen-ud-deen Koreja hain.
Nawaab Qaisar Khan Magassi Balochistani, Nawaab Saadiq Khan Bahawalpuri, aur Mirza Ahmad Akhtar Mughal Aap ke mureed the.
Ghulam Fareed Chishti ka Wisaal:
Aap ka wisaal 9 Rabi uṡ Ṡaani 1319 Hijri (July 1901 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Chachran ke qareeb Mithan Kot (Punjab / Pakistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Ghulam Fareed Chishti رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.