Rukh Din Hai Ya Mehr e Sama Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Rukh din hai ya mehr e sama, ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushke khuta, ye bhi nahi wo bhi nahi
Mumkin main ye qudrat kaha, waajib men abdiyat kaha
Hairaan hoon ye bhi hai khata, ye bhi nahi wo bhi nahi
Haq ye ke hai ‘abd e Ilah aur ‘aalam e imkaan ke shaah
Barzakh hai woh sirre Khuda, ye bhi nahi wo bhi nahi
Bulbul ne gul unko kaha, qumree ne sarv e jaan fiza
Hairat ne jhunjhla kar kaha ye bhi nahi wo bhi nahi
Rukh din hai ya mehr e sama, ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushke khuta, ye bhi nahi wo bhi nahi
Khursheed tha kis zour par kya barh ke chamka tha qamar
Be parda jab wo rukh hua ye bhi nahi wo bhi nahi
Dar tha ke isyaan ki saza ab hogi ya rouze jaza
Dee unki rehmat ne sadaa ye bhi nahi wo bhi nahi
Rukh din hai ya mehr e sama, ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushke khuta, ye bhi nahi wo bhi nahi
Koyi hai naazo zuhad par ya husne tauba hai sipar
Yaan hai faqat teri ataa ye bhi nahi wo bhi nahi
Din lahv me khona tujhe, shab subha tak sona tujhe
Sharme Nabi khaufe Khuda ye bhi nahi wo bhi nahi
Rukh din hai ya mehr e sama, ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushke khuta, ye bhi nahi wo bhi nahi
Rizq e Khuda khaaya kiya, farmaan e Haq taala kiya
Shukre karam tarse saza ye bhi nahi wo bhi nahi
Hai bulbule rangeen Razaya tutiye naghma saraa
Haq yeh ke waasif hai tera ye bhi nahi wo bhi nahi
Rukh din hai ya mehr e sama, ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushke khuta, ye bhi nahi wo bhi nahi
رُخ دن ہے یا مہرِ سَما یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
شب زُلف یا مُشکِ ختا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
ممکن میں یہ قدرت کہاں واجب میں عبدیت کہاں
حیراں ہوں یہ بھی ہے خطا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
حق یہ کہ ہیں عبدِ الٰہ اور عالمِ امکاں کے شاہ
برزخ ہیں وہ سِّرِ خدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
بُلبل نے گُل اُن کو کہا قُمری نے سروِ جانفزا
حیرت نے جھنجھلا کر کہا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
خورشید تھا کس زور پر کیا بڑھ کے چمکا تھا قمر
بے پردہ جب وہ رُخ ہوا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
ڈر تھا کہ عصیاں کی سزا اب ہو گی یا روزِ جزا
دی اُن کی رحمت نے صدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
کوئی ہے نازاں زُہد پر یا حسنِ توبہ ہے سِپر
یاں ہے فقط تیری عطا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
دن لَہْو میں کھونا تجھے شب صبح تک سونا تجھے
شرمِ نبی خوفِ خدا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
رزقِ خدا کھایا کیا فرمانِ حق ٹالا کیا
شکرِ کرم ترسِ سزا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں
ہے بلبُل رنگیں رضاؔ یا طُوطی نغمَہ سرا
حق یہ کہ واصِف ہے تِرا یہ بھی نہیں وہ بھی نہیں