Rounak e Bazm e Jahan Hai Lyrics Urdu/English

Rounak e Bazm e Jahan Hai Lyrics

Rounak e Bazm e Jahan Hai Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Rounak e bazm e jahan hai aashiqan e sokhta
Keh rahi hai sham’a ki goyaa zabaan e sokhta

Jisko qurse mehr samjha hai jahaan ay mun’imo
Unke khwaan e jood se hai ek naan e sokhta

Maah e mann yeh nayyar e mehshar ki garmi ta bake
Aatish e isyaan me khud jalti hai jaan e sokhta

Rounak e bazm e jahan hai aashiqan e sokhta
Keh rahi hai sham’a ki goyaa zabaan e sokhta

Barq e angusht e Nabi chamki thi uss par ek baar
Aaj tak hai seena e maah me nishaan e sokhta

Mehr e ‘aalam taab jhukta hai paye tasleem roz
Peshe zarraate mazaar e bedlaan e sokhta

Rounak e bazm e jahan hai aashiqan e sokhta
Keh rahi hai sham’a ki goyaa zabaan e sokhta

Koocha e gesu e jaanaan se chale thandi naseem
Baal o par afshaan ho Yaa Rab bulbulaan e sokhta

Bahre Haq aay bahre rehmat ik nigah e lutfbaar
Taa ba ke be aab tadpe maahiyaane sokhta

Rounak e bazm e jahan hai aashiqan e sokhta
Keh rahi hai sham’a ki goyaa zabaan e sokhta

Ru kashe khursheede mehshar ho tumhare faiz se
Ik sharaare seena e shaidaiyaane sokhta

Aatishe tar daamani ne dil kiye kya kya kabaab
Khizr ki jaan ho jila do maahiyaane sokhta

Rounak e bazm e jahan hai aashiqan e sokhta
Keh rahi hai sham’a ki goyaa zabaan e sokhta

Aatish e gulhaa e Taibah par jalaane ke liye
Jaan ke taalib hain pyaare bulbulaane sokhta

Lutf e barqe jalwa e meraj laaya wajd me
Sho’la e jaww aala saan hai aasmaan e sokhta

Aay Raza mazmoon soz e dil ki rif’at ne kiya
Is zameen e sokhta ko aasmaan e sokhta

Rounak e bazm e jahan hai aashiqan e sokhta
Keh rahi hai sham’a ki goyaa zabaan e sokhta

رونقِ بزمِ جہاں ہیں عاشقانِ سوختہ

کہہ رہی ہے شمع کی گویا زبانِ سوختہ


جس کو قرصِ مہر سمجھا ہے جہاں اے مُنعمو!

اُن کے خوانِ جُود سے ہے ایک نانِ سوختہ


ماہِ من یہ نیّرِ محشر کی گرمی تابکے

آتشِ عصیاں میں خود جلتی ہے جانِ سوختہ


برقِ انگشتِ نبی چمکی تھی اس پر ایک بار

آج تک ہے سینۂ مہ میں نشانِ سوختہ


مہر عالم تاب جھکتا ہے پئے تسلیم روز

پیشِ ذرّاتِ مزارِ بیدلانِ سوختہ


کُوچۂ گیسوئے جاناں سے چلے ٹھنڈی نسیم

بال و پر افشاں ہوں یاربّ بلبلانِ سوختہ


بہرِ حق اے بحرِ رَحمت اِک نگاہِ لطف بار

تابکے بے آب تڑپیں ماہیانِ سوختہ


رُوکش خورشید محشر ہو تمہارے فیض سے

اِک شرارِ سینۂ شیدائیانِ سوختہ


آتشِ تردامنی نے دل کیے کیا کیا کباب

خِضْر کی جاں ہو جِلا دو ماہیانِ سوختہ


آتشِ گلہائے طیبہ پر جلانے کے لئے

جان کے طالب ہیں پیارے بلبلانِ سوختہ


لطفِ برقِ جلوۂ معراج لایا وجد میں 

شعلۂ جوالہ ساں ہے آسمانِ سوختہ


اے رضاؔ مضمون سوزِ دِل کی رِفعت نے کیا

اس زمینِ سوختہ کو آسمانِ سوختہ

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *