Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Nah dil e bashar hi figaar hai ke malak bhi us kaa shikaar hai
Yeh jahaan ke hazdah hazaar hai jise dekho us ka hazaar hai
Nahin sar ke sajdah kunaan nah ho nah zubaan ke zamzamah khwaan nah ho
Nah woh dil ke us pe tapaan nah ho nah wo seena jis ko qaraar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Woh hai bheeni bheeni wahaan mehek ke basaa hai ‘arsh se farsh tak
Woh hai pyaari pyaari wahaan chamak ke wahaan ki shab bhi nahaar hai
Koi aur phool kahaan khile nah jagah hai joshish e husn se
Nah bahaar aur pe rukh kare ke jhapak palak ki to khaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Yeh saman yeh sosan o yaa saman yeh banafshah sunbul o nastaran
Gul o sarw o laalah bharaa chaman wohi ek jalwah hazaar hai
Yeh sabaa sanak woh kali chatak yeh zabaan chehek lab e joo chhalak
Yeh mehek jhalak yeh chamak damak sab usi ke dam ki bahaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Wohi jalwah sheher ba sheher hai wohi asl e ‘aalam o dahr hai
Wohi behr hai wohi lehr hai wohi paat hai wohi dhaar hai
Woh nah thaa toh baagh mein kuch nah thaa woh nah ho to baagh ho sab fanaa
Woh hai jaan, jaan se hai baqaa wohi bun hai ban se hi baar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Yeh adab ke bulbul e be nawaa kabhi khul ke kar nah sake nawaa
Nah sabaa ko tez rawish rawaa nah chalakti nehron ki dhaar hai
Ba adab jhukaa lo sar e wilaa, ke mein naam loon gul o baagh kaa
Gul e tar Muhammad e Mustafa chaman un kaa paak diyaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Wohi aankh un ka jo moonh take wohi lab ke mehw hown na’at ke
Wohi dil jo un ke liye jhuke wohi sar jo un pe nisaar hai
Yeh kisi ka husn hai jalwahgar ke tapaan hain khoobon ke dil jigar
Nahin chaak jayb e gul o sahar ke qamr bhi seenah fagaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Wohi nazr e sheh mein zare nekoo jo ho unke ‘ishq mein zard roo
Gul e khuld us se ho rang joo yeh khazaan woh tazah bahaar hai
Jise teri saff e ni’aal se mile do niwaal e nawaal se
Woh bana ke us ke ugaal se bhari saltanat ka udhaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Woh utthein chamak ke tajalliyaan ke mita dein sab ki ta’alliyaan
Dil o jaan ko bakhshein tasalliyaan tera noor baarid o haar hai
Rusul o Malak peh Durood ho wohi jaane un ke shumaar ko
Magar eik aisa dikhaa to do jo shafee’ e roz shumaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Nah hijaab charkh o maseeh par nah kaleem o toor nihaan magar
Jo gaya hai ‘arsh se bhi udhar wo ‘arab kaa naaqah sawaar hai
Woh teri tajjali e dil nasheen ke jhalak rahe hain falak zameen
Tere sadqe mere mah e mubeen meri raat kyun abhi taar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Meri zulmatein hain sitam magar tera mah nah mehr keh mehr gar
Agar ek cheent pare idhar shab e daaj abhi to nahaar hai
Gunahe Raza ka hisaab kya woh agar che laakhon se hain siwaa
Magar aay ‘afuw tere ‘afw ka nah hisaab hai nah shumaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Tere Deen e paak ki woh ziyaa ke chamak uthi rah e istaafa
Jo nah maane aap saqar gaya kahin noor hai kahin naar hai
Koi jaan has ke mehek rahi kisi dil mein us se khatak rahi
Nahin us ke jalwe mein yak rahi kahin phool hai kahin khaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Woh jise wahaabiya ne diya hai laqab shaheed o zabeeh ka
Woh shaheed laila e najd thaa woh zabeeh e taigh e khiyaar hai
Yeh hai deen ki taqwiyat us ke ghar yeh hai mustaqeem siraat e shar
Jo shaqi ke dil mein hai gaaw khar toh zabaan pe choorhaa chamaar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
Woh Habeeb pyaara toh umr bhar kare faiz o jood hi sar basar
Are tujh ko khaaye tap e saqar tere dil mein kis se bukhaar hai
Woh Raza ke neze ki maar hai ke ‘aduw ke seene mein ghaar hai
Rise chaarah joyi ka waar hai ke yeh waar waar se paar hai
Nazar ek chaman se do char hai nah chaman chaman bhi nisaar hai
Ajab us ke gul ki bahaar hai ke bahaar bulbul e zaar hai
نظر اِک چمن سے دو چار ہے نہ چمن چمن بھی نثار ہے
عجب اُس کے گل کی بہار ہے کہ بہار بلبلِ زار ہے
نہ دلِ بشر ہی فِگار ہے کہ مَلک بھی اس کا شکار ہے
یہ جہاں کہ ہَژدَہ ہزار ہے جسے دیکھو اس کا ہزار ہے
نہیں سر کہ سجدہ کُناں نہ ہو نہ زباں کہ زَمزَمَہ خواں نہ ہو
نہ وہ دل کہ اس پہ تَپاں نہ ہو نہ وہ سینہ جس کو قرار ہے
وہ ہے بھینی بھینی وہاں مہک کہ بسا ہے عرش سے فرش تک
وہ ہے پیاری پیاری وہاں چمک کہ وہاں کی شب بھی نَہار ہے
کوئی اور پھول کہاں کھلے نہ جگہ ہے جوشِشِ حسن سے
نہ بہار اور پہ رُخ کرے کہ جھپک پلک کی تو خار ہے
یہ سَمَن یہ سوسَن و یاسمن یہ بنفْشَہ سُنبُل و نَسْتَرَن
گل و سَرْوْ و لالہ بھرا چمن وہی ایک جلوہ ہزار ہے
یہ صبا سنک وہ کلی چٹک یہ زباں چہک لبِ جُو چھلک
یہ مہک جھلک یہ چمک دمک سب اسی کے دم کی بہار ہے
وہی جلوہ شہر بَشہر ہے وہی اصلِ عالَم و دَہر ہے
وہی بحر ہے وہی لہر ہے وہی پاٹ ہے وہی دھار ہے
وہ نہ تھا تو باغ میں کچھ نہ تھا وہ نہ ہو تو باغ ہو سب فنا
وہ ہے جان، جان سے ہے بقا وہی بُن ہے بن سے ہی بار ہے
یہ ادب کہ بلبلِ بے نوا کبھی کھل کے کر نہ سکے نوا
نہ صبا کو تیز رَوِش روا نہ چھلکتی نہروں کی دھار ہے
بہ ادب جھکا لو سرِ وِلا کہ میں نام لوں گل و باغ کا
گلِ تر محمّدِ مصطفٰی چمن اُن کا پاک دَیار ہے
وہی آنکھ اُن کا جو مُنہ تکے وہی لب کہ محو ہوں نعت کے
وہی دل جو اُن کے لئے جھکے وہی سر جو اُن پہ نثار ہے
[کچھ نسخوں میں ‘وہی سر جو اُن کے لئے جھکے وہی دل جو اُن پہ نثار ہے’ لکھا ہے مگر تاج الشریعہ نے اس کی تصحیح فرمائی ہے]
یہ کسی کا حسن ہے جلوہ گر کہ تَپاں ہیں خوبوں کے دل جگر
نہیں چاک جَیبِ گل و سحر کہ قَمر بھی سینہ فِگار ہے
وہی نذرِ شہ میں زرِ نکو جو ہو اُن کے عشق میں زَردْ رُو
گلِ خلد اس سے ہو رنگ جو یہ خزاں وہ تازہ بہار ہے
جسے تیری صفِّ نِعال سے ملے دو نوالے نَوال سے
وہ بنا کہ اس کے اُگال سے بھری سلطنت کا اَدھار ہے
وہ اٹِھیں چمک کے تجلِّیّاں کہ مٹا دِیں سب کی تعلِّیّاں
دل و جاں کو بخشِیں تَسلّیاں ترا نور بارِد و حار ہے
رُسُل و مَلک پہ درود ہو وہی جانے اُن کے شمار کو
مگر ایک ایسا دکھا تو دو جو شفیعِ روزِ شُمار ہے
نہ حجابْ چَرخ و مَسِیح پر نہ کلیم و طُور نِہاں مگر
جو گیا ہے عرش سے بھی اُدھر وہ عرب کا ناقَہ سَوار ہے
وہ تری تجلّیِ دل نشیں کہ جھلک رہے ہیں فلک زمیں
ترے صدقے میرے مَہِ مبیں مری رات کیوں ابھی تار ہے
مِری ظلمتیں ہیں سِتم مگر ترا مَہ نہ مِہر کہ مِہرْگَر
اگر ایک چھینٹ پڑے ادھر شبِ داج ابھی تو نَہار ہے
گنہِ رضاؔ کا حساب کیا وہ اگرچہ لاکھوں سے ہیں سِوا
مگر اے عَفُوّ ترے عَفْو کا نہ حساب ہے نہ شمار ہے
تِرے دینِ پاک کی وہ ضیا کہ چمک اٹھی رہِ اِصطَفا
جو نہ مانے آپ سقر گیا کہیں نور ہے کہیں نار ہے
کوئی جان بس کے مہک رہی کسی دل میں اس سے کھٹک رہی
نہیں اس کے جلوے میں یک رہی کہیں پھول ہے کہیں خار ہے
وہ جسے وہابیہ نے دیا ہے لقب شہید و ذبیح کا
وہ شہیدِ لیلیِ نَجد تھا وہ ذَبیحِ تیغِ خِیار ہے
یہ ہے دیں کی تَقْوِیَت اُس کے گھر یہ ہے مستقیم صراطِ شر
جو شقی کے دل میں ہے گاؤ خر تو زباں پہ چوڑھا چمار ہے
وہ حبیب پیارا تو عمر بھر کرے فیض و جُود ہی سر بسر
ارے تجھ کو کھائے تپِ سقر ترے دل میں کس سے بخار ہے
وہ رضاؔ کے نیزہ کی مار ہے کہ عَدُوّ کے سینہ میں غار ہے
کسے چارہ جوئی کا وار ہے کہ یہ وار وار سے پار ہے