Nabi Sarware Har Rasool o Wali Hai Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
Woh naami ki naam e Khuda naam tera
Raoof o Raheem o ‘Aleem o ‘Ali hai
hai baytaab jis ke liye ‘arsh e aa’zam
Woh us rehrawe laa maqaan ki gali hai
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
Nakeerayn karte hain ta’zeem meri
Fida ho kar tujh par yeh izzat mili hai
Talaa tum hai kashti pen toofan e gham ka
Yah kaisi hawaa e mukhaalif chali hai
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
Na kyun kar kahoon yaa habibi aghisni
Isi naam se har musibat tali hai
Sabaa hai mujhe sar sar e dasht e Taybah
Isi se kali mere dil ki khili hai
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
Tere chaaron hum dum hai yakjaan yakdil
Abu Baqr Farooq ‘Usman ‘Ali hai
Khuda ne kiya tujh ko aagaah sab se
Do ‘aalam mein jo kuch khafi o jali hai
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
Karoon arz kya tujh se aay ‘aalimussir
Ke tujh par meri haalat e dil khuli hai
Tamanna hai farmaiye roz e mehshar
Yeh teri rihaayi ki chitthi mili hai
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
Jo maqsad ziyaarat ka bar aaye phir to
Na kuch qasd kijiye ye qasde dili hai
Tere dar ka darbaan hai Jibril e aa’zam
Tera madh khwaan har Nabi o Wali hai
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
Shafaa’at karein hashr mein jo Raza ki
Siwaa tere kis ko yeh qudrat mili hai
Nabi sarware har Rasool o wali hai
Nabi raaz daare ma’Allaahlee hai
نبی سرورِ ہر رسول و ولی ہے
نبی راز دارِ مَعَ اللہ لِی ہے
وہ نامی کہ نامِ خُدا نام تیرا
رؤف و رحیم و علیم و علی ہے
ہے بیتاب جس کے لئے عرشِ اعظم
وہ اس رہروِ لامکاں کی گلی ہے
نکیرین کرتے ہیں تعظیم میری
فِدا ہو کے تجھ پر یہ عزّت ملی ہے
طلاطُم ہے کشتی پہ طوفانِ غم کا
یہ کیسی ہوائے مخالف چلی ہے
نہ کیوں کر کہوں یا حبیبی اَغِثْنِی
اِسی نام سے ہر مصیبت ٹلی ہے
صبا ہے مجھے صرصرِ دشتِ طیبہ
اِسی سے کلی میرے دِل کی کِھلی ہے
تِرے چاروں ہمدم ہیں یک جانْ یک دِل
ابوبکر و فاروق و عثماں علی ہے
خدا نے کیا تجھ کو آگاہ سب سے
دو عالم میں جو کچھ خفی و جلی ہے
کروں عرض کیا تجھ سے اے عالِمُ السِّر
کہ تجھ پر مری حالتِ دِل کُھلی ہے
تمنّا ہے فرمایئے روزِ محشر
یہ تیری رِہائی کی چِٹھی مِلی ہے
جو مقصد زِیارت کا بر آئے پھر تو
نہ کچھ قصد کیجے یہ قصدِ دِلی ہے
تِرے در کا دَرباں ہے جبریلِ اعظم
تِرا مدحَ خواں ہر نبی و ولی ہے
شفاعت کرے حشر میں جو رضاؔ کی
سِوا تیرے کس کو یہ قُدرت مِلی ہے