Table of Contents
ToggleMujda Bad Aye Aasiyo Shafaye Shah e Abrar Hai Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Mujda Bad Aye Aasiyo Shafaye Shah e Abrar Hai
Tahniyat aay mujrimo! Zaat e Khuda Ghaffaar hai
‘Arsh saa farsh e zamin hai, farsh paa ‘arsh e bareen
Kya niraali tarz ki naam e Khuda raftaar hai
Chaand shaq ho per bolein jaanwar sajdey karein
Baarak’Allah marja e a’alam yahi sarkaar hai
Mujda Bad Aye Aasiyo Shafaye Shah e Abrar Hai
Tahniyat aay mujrimo! Zaat e Khuda Ghaffaar hai
Jin ko soo e aasmaan phaila ke jal thal bhar diye
Sadqah un haathon ka pyaare hum ko bhi darkaar hai
Lab zulaal e chashmah e kun mein gundhey waqt e khameer
Murdey zindah karna aay jaan tum ko kya dushwaar hai
Mujda Bad Aye Aasiyo Shafaye Shah e Abrar Hai
Tahniyat aay mujrimo! Zaat e Khuda Ghaffaar hai
Gorey gorey paaun chamka do Khuda ke wastey
Noor ka tadka ho pyaare gor ki shab taar hai
Tere hi daman pe har ‘aasi ki parti hai nazar
Ek jaan e bey khata par do jahaan ka baar hai
Mujda Bad Aye Aasiyo Shafaye Shah e Abrar Hai
Tahniyat aay mujrimo! Zaat e Khuda Ghaffaar hai
Josh e tufaan bahr e bey paayaan hawaa naaa saazgaar
Nooh ke Mawla karam kar dey to beyrra paar hai
Rahmatul lil ‘aalameen teri duhaayi dab gaya
Ab to Maula bey tarah sar par gunaah ka baar hai
Mujda Bad Aye Aasiyo Shafaye Shah e Abrar Hai
Tahniyat aay mujrimo! Zaat e Khuda Ghaffaar hai
hairaten hain aayinah daar e wafur e wasf e gul
Un ke bulbul ki khamoshi bhi lab e izhaar hai
Goonj goonj utthey hain naghmaat e Raza se boostaan
Kyun na ho kis phool ki mid hat mein waa minqar hai
Mujda Bad Aye Aasiyo Shafaye Shah e Abrar Hai
Tahniyat aay mujrimo! Zaat e Khuda Ghaffaar hai
مژدہ باد اے عاصیو! شافِع شہِ اَبرار ہے
تَہْنِیت اے مجرمو! ذاتِ خدا غَفَّار ہے
عرش سا فرشِ زمیں ہے فرشِ پا عرشِ بریں
کیا نرالی طرز کی نامِ خُدا رَفتار ہے
چاند شق ہو پَیڑ بولیں جانور سجدے کریں
بَارَکَ اللہ مرجَع عالم یہی سرکار ہے
جن کو سُوئے آسماں پھیلا کے جل تھل بھر دئیے
صَدقہ اُن ہاتھوں کا پیارے ہم کو بھی درکار ہے
لَب زُلالِ چَشمَہ کن میں گندھے وقت خمیر
مردے زندہ کرنا اے جاں تم کو کیا دُشوار ہے
گورے گورے پاؤں چمکا دو خدا کے واسطے
نُور کا تڑکا ہو پیارے گور کی شب تار ہے
تیرے ہی دامن پہ ہر عاصِی کی پڑتی ہے نظر
ایک جانِ بے خطا پر دو جہاں کا بار ہے
جوشِ طُوفاں بحرِ بے پایاں ہوا ناسازگار
نُوح کے مولیٰ کرم کر لے تو بیڑا پار ہے
رَحْمَۃُ لِّلْعٰلَمِیں تیری دُہائی دَب گیا
اب تو مولیٰ بے طرح سر پر گنہ کا بار ہے
حیرتیں ہیں آئینہ دارِ وفورِ وَصفِ گُل
اُن کے بلبل کی خموشی بھی لبِ اِظہار ہے
گُونج گُونج اُٹھے ہیں نغماتِ رضاؔ سے بوستاں
کیوں نہ ہو کس پھول کی مدحت میں وَا مِنقار ہے