Table of Contents
ToggleHazrat Shaah Mahmood Sufi Sarmast رحمة الله عليه
Laqab:
Asad-ul-Aulia.
Mahmood Sufi Sarmast 7wi sadi Hijri me Sammarrah (Iraq) se Hind me tashreef laaye.
Mahmood Sufi Sarmast ki Mureedi aur Khilafat:
Mahmood Sufi Sarmast Hazrat Baaba Fareed-ud-deen Mas’ood Ganje Shakar رحمة الله عليه ke mureed hue.
Hazrat Baaba Fareed رحمة الله عليه ke farmaan par Mahmood Sufi Sarmast Deccan tashreef laaye.
Mahmood Sufi Sarmast apne mureedo ke saath Sagar tashreef laaye to waha Kumara Rama naami raaja ki hukoomat thi. Woh jaadoogar tha aur logo par bahot zulm karta ha. Us ne Mahmood Sufi Sarmast ko waha se nikaalne ke liye koshish ki.
Mahmood Sufi Sarmast ne apne saathiyo ke saath Raaja ke lashkar ke saath jung ki. Delhi se Lakhi Khan Afghan aur Ni’amat Khan bhi musalmano ki madad ke liye aaye. Jung me bahot saare ghair muslim maare gaye aur Mahmood Sufi Sarmast ke saahabzaade Munawwar Baasha samet bahot saare musalman bhi shaheed hue. Kumara Rama ki maut ke baad hinduo ne sulah kar li aur jiziya dene ke liye tayyaar hue.
Mahmood Sufi Sarmast ne Sagar me sukoonat ikhtiyaar karke logo ki islaam ki isha’at aur tableegh karna shuru kiya.
Mahmood Sufi Sarmast ki ta’aleem aur faiz se badi ta’adaad me log musalman hue.
Mahmood Sufi Sarmast ka Wisaal:
Mahmood Sufi Sarmast ka mazaar 5 Rabi-uṡ-ṡaani 680 Hijri (July 1281 A.D.) ko hua.
Mahmood Sufi Sarmast ka mazaar Sagar (Yadgir, Karnataka) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Shaah Mohammad Mahmood Mahmood Sufi Sarmast رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.