Biography of Hazrat Shah Mahmood Sufi Sarmast رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Shaah Mahmood Sufi Sarmast رحمة الله عليه

Laqab:

Asad-ul-Aulia.

Mahmood Sufi Sarmast  7wi sadi Hijri me Sammarrah (Iraq) se Hind me tashreef laaye.

Mahmood Sufi Sarmast ki Mureedi aur Khilafat:

Mahmood Sufi Sarmast  Hazrat Baaba Fareed-ud-deen Mas’ood Ganje Shakar رحمة الله عليه ke mureed hue.

Hazrat Baaba Fareed رحمة الله عليه ke farmaan par Mahmood Sufi Sarmast  Deccan tashreef laaye.

Mahmood Sufi Sarmast  apne mureedo ke saath Sagar tashreef laaye to waha Kumara Rama naami raaja ki hukoomat thi. Woh jaadoogar tha aur logo par bahot zulm karta ha. Us ne Mahmood Sufi Sarmast  ko waha se nikaalne ke liye koshish ki.

Mahmood Sufi Sarmast  ne apne saathiyo ke saath Raaja ke lashkar ke saath jung ki. Delhi se Lakhi Khan Afghan aur Ni’amat Khan bhi musalmano ki madad ke liye aaye. Jung me bahot saare ghair muslim maare gaye aur Mahmood Sufi Sarmast  ke saahabzaade Munawwar Baasha samet bahot saare musalman bhi shaheed hue. Kumara Rama ki maut ke baad hinduo ne sulah kar li aur jiziya dene ke liye tayyaar hue.

Mahmood Sufi Sarmast  ne Sagar me sukoonat ikhtiyaar karke logo ki islaam ki isha’at aur tableegh karna shuru kiya.

Mahmood Sufi Sarmast  ki ta’aleem aur faiz se badi ta’adaad me log musalman hue.

Mahmood Sufi Sarmast ka Wisaal:

Mahmood Sufi Sarmast  ka mazaar 5 Rabi-uṡ-ṡaani 680 Hijri (July 1281 A.D.) ko hua.
Mahmood Sufi Sarmast  ka mazaar Sagar (Yadgir, Karnataka) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Shaah Mohammad Mahmood Mahmood Sufi Sarmast  رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *