Biography of Hazrat Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه | Download Free PDF

Aap ki Wiladat:

Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه ki wiladat 16 Shawwaal 846 Hijri (17/18 February 1443 A.D.) ko hui.
Aap Hazrat Khwaja Muhammad Zaahid Vakhshi ke bhaanje hain.

Aap apne Peer Khwaja Muhammad Zaahid Vakhshi Rahmatullāhi Alaihi ke har hukm ki taamil karte.

Ek martaba aap ke Peer o murshid ne Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه ko kuchh door ek pahaadi par jaakar thehrne ke liye farmaaya aur farmaaya ke “Main baad me waha aaunga.” Aap foran us pahaadi ki jaanib rawaana ho gaye. Waha pahunchkar apne Peer saahab ka intazaar karne lage. Waqt guzarte asr ka waqt ho gaya phir maghrib ka waqt ho gaya. Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه ka nafs keh raha tha 

Shaayad Peer bhul gaye hain. Tumhe waapas jaana chaahiye.” Magar Aap ka yaqeen keh raha tha ke “Mujhe yaha par intezar karna chaahiye. Mere Peer saahab kuchh der me aa jaayenge.’ Raat ke waqt bahot thand shuru ho gai. Aap ke paas odhne ke liye koi cheez nahi thi. Aap ne ‘Laă ilāha illallāh’ ka zikr karte hue puri raat guzaari. Subah ko Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه ko bhuk lagi to aap ne darakht se phal todkar khaaye. Dusre din phir se kashmkash shuru hui. Aap ne apne nafs se kaha “Agar mere peer Shaikh e saadiq hain to woh mera haal dekh rahe hain.”

Isi tarah ek mahina guzar gaya. Aap 5 waqt namaaz ada karte rahe aur zikre ilāhi karte rahe. Jaanwar aakar aap ke paas baithte aur aap ke saath zikr me saamil hone lage. Aap ne socha ke “Yeh zaroor mere peer ka faiz hai.”

Isi tarah thandi ka mausam aa gaya. Jab khaane ke liye koi cheez nahi rahi to Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه darakhto ke patte aur tehniya chabaakar khaane lage. ALLĀH ke fazl se Aap baatini faiz se maalamaal hote rahe. Phir ek hirni waha aai aur Aap ne bakriyo ko hirni ka doodh pilaana shuru kiya. Bakriya ek ke baad ek aakar doodh piti rehti. Isi tarh Aap roohaaniyat ke aala maqaam par faa’iz hote rahe.

Kuchh arse baad Aap ke Peer waha aaye to Aap ne kaha “Agar main aap ke farmaan par yaha aakar na theharta to Huzoor Sarware kaunain sallallāhu alaihi wa salaam ke farmaan par aap yaha nahi aate.”

Khwaja Muhammad Zaahid Wakhshi muskuraaye aur Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه ko apne saath aane ke liye farmaaya aur tamaam faizaan ata farmaaye aur khilaafat ata farmai.

Aap hamesha saadgi ke saath rehte the taake log aap ko pehchaan na sake.

Aap ke saahabzaade Khwaja Muhammad Amkanaki Rahmatullāhi Alaihi bayaan karte hain ke

“Ek martaba ek durwesh ne mere waalid ke saamne Hazrat Noor-ud-deen Khwaafi Rahmatullāhi Alaihi ka zikr kiya. Mere waalid ne mujh se farmaaya ‘Bete! Hazrat Noor-ud-deen Khwaafi is zamaane ke ek bade wali hain. Jab bhi wo yaha aaye to un se zaroor mulaaqaat karna.’

Kuchh dino baad Hazrat Noor-ud-deen Khwaafi hamare gaanv se guzre. Mere waalid ko jab is ke baare me pata chala to wo apne saath tohfe lekar Hazrat ke istaqbaal ke liye gaye. Main bhi un ke saath gaya.

Jab hum waha pahunche to Hazrat ne bhi mere waalid ka istaqbaal kiya. Jab unho ne muaneka kiya to kuchh der tak ek dusre se lipte rahe. Phir dono ne saath me taweel muraaqaba kiya. Jab mere waalid waha se rawaana hue to Hazrat kuchh door tak un ke saath me chale aur phir alwida kaha.

Jab mere waalid chale gaye to Hazrat ne waha maujood logo se kaha ke : “Is ilaaqe ke taalibaane faiz ko Khwaja Durwesh Muhammad ko zaroor milna chaahiye.” Logo ne kaha ke : “Woh koi shaikh nahi hain. Woh to Mulla hain jo bacho ko Qur’an sikhaate hain.” Yeh sunkar Hazrat Shaikh Noor-ud-deen ne farmaaya ke : “Ye log kitne andhe aur murda dil hain jo ek azeem buzurg se faiz haasil nahi karte.

Is ke baad badi ta’adaad me log aap ki baargaah me aakar faiz aur ta’aleem haasil karne lage. Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه ke faiz wa ta’aleem se bahot saare log Tasawwuf me aala maqaam par pahunch gaye.

Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه itna ilm o kamaal rakhte ke gustaakho aur baatilo ki gumraahi ko zaahir kar dete.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Sharf-ud-deen Muhammad Zaahid Vakhshi Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aur ‘Naqshbandi Ahraari’ silsila ke Shaikh hain.

Aap ke khulfa :

(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Khwaja Muhammad Amkanaki Rahmatullāhi Alaihi,

(2) Hazrat Khwaja Meerak Gunbaz-Sabzi Rahmatullāhi Alaihi,

(3) Hazrat Khwaja Muhammad Raza Rahmatullāhi Alaihi,

(4) Hazrat Maulana Sher Muhammad Rahmatullāhi Alaihi,

(5) Hazrat Shaikh Salawati Rahmatullāhi Alaihi.

Aap ka Wisaal:

Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه ka wisaal 19 Moharram 970 Hijri (17 September 1562 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Shahrisabz ke qareeb Asqarar (Uzbekistan) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ  ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Durwesh Muhammad Bukhari رحمة الله عليه  aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *