Hazrat Khwaja Sayyed Haafiz Bahadur Ali Shah رحمة الله عليه
Laqab :
Daada Miyan Sarkaar.
Sayyed Haafiz Bahadur Ali Shah رحمة الله عليه Ambetha se Jabalpur tashreef laaye aur Moti Naala me qayaam farmakar ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
Moti Naala me Aap ne Masjid e Sulaimāni ta’ameer ki.
Aap logo ko namaaz ki paabandi ki talqeen karte the
Aap ki Karamaat:
Ek baar Sayyed Haafiz Bahadur Ali Shah رحمة الله عليه hajaamat banva rahe the. Hajaam ne hajaamat banaate banaate rote hue bataaya ke uska ladka gum ho gaya hai aur bahot talaash karne pa bhi nahi mil raha hai. Abhi hajaamat puri hui thi ke ALLĀH ke fazl se Hajaam ka ladka dukaan par aa gaya. Hajaam khush ho gaya. Usne ladke ko puchha to ladke ne bataaya ke “Yeh baaba jo yaha baithe hain wohi mujhe yaha lekar aaye hain.”
Bahot saare be-aulaad ne Sayyed Haafiz Bahadur Ali Shah رحمة الله عليه ki dua se aulaad paai
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Sayyed Haafiz Bahadur Ali Shah رحمة الله عليه Hazrat Khwaja Shaah Sulaimān Taunsawi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Sayyed Haafiz Ghulaam Muhiy-ud-deen Rahmatullāhi Alaihi,
(2) (Aap ke bhatije) Hazrat Sayyed Haafiz Abdul Majeed Shaah Rahmatullāhi Alaihi,
(3) Hazrat Shaikh-ul-Mashaa’ikh Sayyed Baadshaah Miyan Haloli Rahmatullāhi Alaihi,.
Aap ka Wisaal:
Sayyed Haafiz Bahadur Ali Shah رحمة الله عليه ka wisaal 18 Moharram 1321 Hijri (16 April 1903 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Madaar Tekri Qabrastan, Jabalpur (Madhya Pradesh) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Sayyed Haafiz Bahadur Ali Shah رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.