Biography of Hazrat Khwaja Haafiz Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Khwaja Haafiz Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه

Aap ki Wiladat:

 Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه ki wilaadat Basal (Punjab, Maujooda Pakistan) me hui. Aap Hasani saadaat hain.
Aap ke pardaada Badakhshan (Afghanistan) se Hindustan tashreef laaye the.

Bachpan me hi Aap ke waalid ka inteqaal hua.
Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه bachpan me bhi khel-kood se door rehte aur yaade ilāhi me mashgool rehte.

Aap ki Talimaat:

 Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه ne ibtidaai ta’aleem Basal me haasil ki.
Phir Hazrat Maadhu Laal Husain Lahori Rahmatullāhi Alaihi se ilme zaahiri wa baatini ki ta’aleem haasil ki.

Phir Hazrat se bai’at ki aur khilaafat o ijaazat haasil ki aur Hazrat ke farmaan par khidmate deen ke liye rawaana hue aur mukhtalif ilaaqo ka safar karte rahe.

Gwalior me qayaam ke dauraan Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه majdoob ho gaye aur kai martaba aalam e wajd wa istigharaaq me haath me sharaab ki botal aur god me khinzir ka bacha lekar mimbar par baith jaate. Ek martaba Hazrat Haafiz Sayyed Bahaadur Ali Shaah urfe Daada miyan (Jabalpur) Gwalior se guzre to logo ne is ke baare me Hazrat se baat ki. Hazrat Daada miyan ne farmaaya “Aye logo! Zara wuzu karke aao, phir dekhte hain.” Jab logo ne wuzu karke dekha to ta’ajjub hua ke Hazrat ki god me sher ka bacha hai aur botal me shirka bhara hua hai.

Phir kuchh waqt baad Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه  apne bhai Hazrat Sayyed Qurbaan Ali Shaah Rahmatullāhi Alaihi ke bulaane par Gwalior se Rajgarh tashreef laaye aur logo ko faiz ata farmaate rahe

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

 Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه Hazrat Maadhu Laal Husain Lahori Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Sayyed Qurbaan Ali Shaah Badakhshani Rahmatullāhi Alaihi (Rajgarh) ne Aap ko ‘Chishti Niyaazi’ silsila ki khilafaat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :

(1) Hazrat Khwaja Sayyed Inayat Husain Rahmatullāhi Alaihi (Rajgarh) (Sajjaada nasheen)

(2) Hazrat Rangeele Shaah Rahmatullāhi Alaihi (Kota, Rajasthan)

(3) Hazrat Zaahid Ali Shaah Rahmatullāhi Alaihi

(4) Hazrat Aabid Husain Rahmatullāhi Alaihi (Pakistan)

Aap ka Wisaal:

 Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه  ka wisaal 19 Moharram ko hua.

Aap ka mazaar Rajgarh (Madhya Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ  ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Haafiz Sayyed Mohsin Ali Shah رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *