Table of Contents
ToggleHazrat Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه
Aap ki Wiladat :
Aap ki wilaadat 1255 Hijri (1839 A.D.) me Dandara (Egypt) me hui.
Aap ki Talimaat:
Aap ne Dandara me Madrasa me Qur’ān majeed ki ta’aleem haasil ki aur phir kuchh waqt Mudarris rahe.
Aap ka Hajj:
Phir Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه ne Hajje Baitullāh ada kiya. Makka mukarrama me Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه ne Hazrat Shaikh Ibrāheem al-Rasheed رحمة الله عليه ki khidmat me rehkar ta’aleem haasil ki.
1291 Hijri (1874 A.D.) me Peer ke wisaal ke baad Aap Sudan tashreef le gaye aur kuchh arse tak Diyar al-Shayqiya me qayaam pazeer rahe.
Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه ne jaagte me Huzoor Rasoole akram ﷺ ki ziyarat ki.
Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه ne Arab, Africa aur Hindustan tak Shaazili silsila ki isha’at ki.
Aap farmaate hain ke “Mere mureedo ko faiz aur hidayat milta rahega meri hayaat ke dauraan bhi aur mere inteqaal ke baad bhi.”
Aap ki Karamat :
Ek martaba kuchh log ek zinda shakhs ko janaaze me rakhkar Aap ke paas laaye aur namaaze janaaza padhane ke liye kaha. Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه ne farmaaya “Is shakhs ko baahar nikaalo.
Zinda ki namaaze janaaza nahi padhi jaati.” Un logo ne israar kiya. Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه ne namaaze janaaza padhai. Jab un logo ne janaaza khol kar dekha to woh shakhs mar chuka tha.
Pariwaar :
Aap ke 2 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade :
(1) Abul Abbaas,
(2) Abdul Wahaab.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Shaikh Ibrāheem al-Rasheed رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ‘(Shaazili) Ahmadi-Idreesi’ silsila ke shaikh hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Abul Abbaas al-Dandarawi Rahmatullāhi Alaihi,
(2) Hazrat Shaikh Mustafa ibn Ahmad al-Shatti al-Dumi Rahmatullāhi Alaihi,
(3) Hazrat Shaikh Ahmad bin Muhammad Saeed al-‐Linggi Rahmatullāhi Alaihi
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 29 Moharram 1327 Hijri (20 February 1909 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Madeena munawwara me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Sayyid Muhammad al Dandarawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.