Hazrat Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه
Laqab:
Meeran Daataar.
Aap ki wiladat :
Aap ki wilaadat 29 Ramazaan 879 Hijri (4 August 1426 A.D.) ko Khanpur, Ahmedabad (Gujarat) me hui.
Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke waalid ka naam Sayyed Dost Mohammad bin Sayyed Ilm-ud-deen aur waalida ka naam Aa’isha bibi urfe Raasti maa hai.
Aap Husaini saadaat hain aur Hazrat Imaam Sayyed Ali an-Naqi رحمة الله عليه ki nasl se hain.
Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke daada Bukhara (Uzbekistan) se Lucknow aaye the. Aur phir Sultaan Ahmad Shaah ke saahabzaade Sultaan Mahmood Begada ke zamaane me Ahmedabad (Gujarat) tashreef laaye aur fauj me bharti hue. Sultaan jab zaroorat hoti to Hazrat se mashawara karta.
Aap ki umr jab 10 mahine aur 16 din ki thi tab aap ki waalida ka inteqaal ho gaya.
Ek baar jab Aap bhuk ki wajah se ro rahe the the to Daulat bibi urfe Daama amma ne ALLĀH ta’ala se dua ki ke agar mujhe doodh aa raha hota to main is bache ko pilaati. Foran ALLĀH ke fazl se un ko doodh aana shuru ho gaya aur unho ne Sayyed Ali ko doodh pilaaya. Baad me Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke waalid Sayyed Dost Mohammad ne Daulat bibi urfe Daama amma se nikaah kiya.
Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke waalid ke inteqaal ke baad Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke Daada jaan, Daadi amma aur Daulat bibi urfe Daama amma ne Aap ki parwarish ki.
Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ne Qur’ān aur Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Aap bachpan se hi paband e shariat the aur hamesha sunnat e Rasool par amal karte the.
Mandavgadh (Madhya Pradesh) ka Raaja Mehandi Raj bahot zaalim tha. Us ne apne darbaar me taantriko aur jaadoogaro ko jama kiye the aur apne mahel me ek 15 feet ooncha but banaakar rakha tha. Aur woh be-qasoor logo ko ek qile me qaid karke rakhta tha aur roz ek aadami ka qatl karke us ke khoon se tilak karta tha. Log us ke zulm se tang aa gaye the.
Ek roz ek shakhs kisi tarah qile me se bhaagkar Delhi Sultaan Lodi ke darbaar me pahuncha aur ye sab baaten bataai. Sultaan Lodi ne use tasalli di aur foran ek qaasid ko Gujarat ke Sultaan Mahmood Begada ke paas bheja.
Sultaan Mahmood Begada ko jab yeh khabar mili unho ne foran apne sipaah saalaaro aur afsaro ko bulaakar Mandavgadh par hamle ki tayyaari ki aur ek bahot bade lashkar ke saath Mandavgadh par hamla kiya. Kai saal tak jung karne ka baad bhi un ko Mandavgadh par fateh na mili tab unho ne baargaahe ilāhi me Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ke waseele se dua ki. Sultaan ko khwaab me yeh bashaarat hui ke “Sayyed Ilm-ud-deen ke pote Sayyed Ali ki madad se hi Mandavgadh par fateh mil sakti hai aur wohi Mehandi Raj ko hara sakta hai kyun ki hum ne Sayyed Ali ko Hazrat Ali al-Murtaza ki shuja’at ata farmai hai.”
Sultaan Mahmood Begada ne Sayyed Ilm-ud-deen ko bulaakar ye sab baaten bataai. Unho ne foran Sayyed Ali ko aane ke liye khat likha. Leki Sayyed Ali ko jab khat mila tab aap ki shaadi ki tayyari ho rahi thi. Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ne foran Sultaan Mehmood Begada ki madad ke liye jaane ki tayyaari ki. Apne pariwaar waalo ko samjhaaya ke “Hum Husaini saadaat hain. Aur mazloomo ko madad karna hamara farz hai.”
Safar ke dauraan Aap Lilapur me thehre aur waha miswaak aur wuzu karke namaaz ada ki. Aap ko ye jagah pasand aai aur dil me yeh khwaahish hui ke agar main jung me shaheed ho jaaun to mujhe is maqaam par dafn kiya jaaye. Aap wuzu ke waqt miswaak karke apni miswaak zameen me gaad di.
Jab Aap Mandavgadh ke qareeb pahunchkar wuquoof kiya to us raat ek tez toofaan aaya. Us me tamaam khaime nikal gaye siwa e Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke khaime ke. Aap apne khaime me tilaawat e Qur’ān kar rahe the. Sultaan Mahmood Begada ne jab yeh dekha to use yaqeen ho gaya ke in shaa Allāh ab is wali ke sadqe me hum zaroor Mehandi Raj ko hara sakenge.
Phir Aap 125 ghud sawaar aur dusre sipaahiyo ke saath Mandavgadh ke liye rawaana hue. Mandavgadh ke qareeb ek nadi aai to Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ne ALLĀH ta’ala se Hazrat Moosā alaihis salaam ke waseele se dua ki to ALLĀH ke fazl se nadi me aage jaane ke liye raasta ho gaya.
Aap apne lashkar ke saath Mandavgadh pahunche. Qile ki deewaar bahot oonchi thi to Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ne ALLĀH ta’ala se dua ki to ALLĀH ke fazl se aap ka ghoda hawa me itna ooncha kooda ke Aap ghode ke saath qile me daakhil ho gaye.
Mehandi Raj ke lashkar ke saath Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke lashkar ki jung shuru hui. Aap jung ke dauraan namaaz ada karne ke liye rookte tab bhi koi Aap ko kisi bhi tarah ka nuqsaan nahi kar paata tha. Mehandi Raj ne Aap ko haraane ki bahot koshish ki magar jab woh kaamyaab na ho saka to us ne apne jaadoo se Aap ko haraane ki koshish ki. Is me bhi woh nakaam hua.
Chunaanche Mehandi Raj darkar bhaaga aur Lohaani ghaar me chala gaya. Aap bhi us ka pichha karte hue ghaar me pahunche aur us se jang karne lage. Mehandi Raj ne rote hue muafi maangne ka dikhaawa kiya aur apni talwaar neeche rakh di aur apni choti kaatkar aap ko de di. Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ne bhi use ek mauqa diya aur apni talwaar miyaan me rakhne lage. Mehandi Raj ne mauqa dekhkar foran talwaar uthaakar Aap par hamla kar diya aur aap ki gardan par waar kiya. Aap jakhmi hokar shahaadat ke qareeb the magar aap ki roohaani taaqat ki wajah se aap ladte rahe aur Mehandi Raj ki ke tukde karke qatl kar diya. Aur Aap bhi shaheed ho gaye.
Is tarah Aap jawaani me mazloomo ki madad ke liye zaalim raja se jung karte hue shaheed ho gaye.
Shahaadat ke baad Aap apne daada Sayyed Ilm-ud-deen ke khwaab me tashreef laaye aur bataaya ke “Hum ne Mandavgadh fateh kar liya hai aur main shaheed ho gaya hu.”
Sayyed Ilm-ud-deen Sultaan Mahmood Begada ke saath Mandavgadh aaye aur Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke jism paak ko ek sandooq me rakha aur us sandooq ko oont par rakhkar Gujarat ki taraf rawaana hua. Jab qaafila Lilapur (Unava) me pahuncha to woh oontni waha rook gaya. Jab bahot koshish karne ke baad oontni aage na badhi to sab samajh gaye ke yeh wohi maqaam hai jaha Aap ko dafn karna hai. Aap ki wasiyat ke mutaabiq Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ke qadam ki jaanib Mehandi Raj ki choti ko bhi dafn kiya gaya.
Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه ne Mandavgadh jaate waqt jo miswaak gaadi thi us me se ek darakht nikal aaya.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 29 Moharram 897 Hijri (2 December 1491 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.
Aap ka mazaar Unava (Gujarat) me hai.
Aap ka aastaana ek aisa Daar-ush-shifa hai jaha museebatzada ko museebat se najaat milti hai. Badi ta’adaad me log Shareer jinn wa aaseb, jaadoo tona, junoon aur deemaaghi beemaariyo se najaat paane ke liye yaha aate hain aur faiz haasil karte hain.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Saiyed Ali Mira Datar رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Pingback: Biography of Hazrat Khwaja Khuda bakhsh Khairpuri رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images