Hazrat Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه
Aap ki Wiladat :
Aap ki wilaadat 4 Shawwaal 1114 Hijri (21 February 1703 A.D.) ko Phulat, Muzaffar Nagar (Uttar Pradesh) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Abdur Raheem Mohaddiṡ bin Shaikh Shaah Wajeeh-ud-deen رحمة الله عليه hai.
Aap Hazrat Umar Faarooq ﷺ رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.
Aap ke naana Husaini saadaat hain aur Hazrat Imaam Moosā Kaazim ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Shaikh Shams-ud-deen Mufti Hindustan aaye the aur Rothak me sukoonat ikhtiyaar ki.
Aap ke waalid Delhi ke mash’hoor Aalim aur Faqeeh the.
Aap ki Talimaat:
Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne 5 saal ki umr me Madrasa Raheemiya me daakhil hue.
7 saal ki umr me Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne Qur’ān majeed ki ta’aleem mukammal ki aur phir Haafiz e Qur’ān hue.
8 saal ki umr me Faarsi aur Arabi ki ta’aleem mukammal ki.
10 saal ki umr me Ilme Nahaw aur Ilme Sharf ki ta’aleem mukammal ki.
15 saal ki umr me Falsafa aur Kalaam ki ta’aleem mukammal ki.
Apne waalid se Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne Hadeeṡ, Fiq’h, Mantiq [Istadalaal], Ma’ana (Meaning), Taqreer [Khitaabat], Tasawwuf, Ilme Tibbb, Ilme Riyaazi ki ta’aleem haasil ki.
17 saal ki umr me apne waalid se Khilaafat haasil ki.
17 saal ki umr me Aap ke waalid ka inteqaal hua.
Is ke baad Aap Madrasa Raheemiya me Mudarris bane.
Aap ka Hajj:
1143 Hijri (1731 A.D.) me Sap Hajj ke liye tashreef le gaye. Aap 14 Zil Qa’ada (May1731 A.D.) ko Makka mukarrama pahunche.
Hajj ada karne ke baad Madeena munawwara tashreef le gaye. Madeena me qayaam ke dauraan Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne Hazrat Shaikh Abu Taahir Muhammad bin Ibrāheem Kurdi Madani رحمة الله عليه se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Phir wahi se dusre saal Makka mukarrama aakar hajj ada kiya.
Makka me qayaam ke dauraan Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne Hazrat Shaikh Wafadullāh Maaliki Makki رحمة الله عليه se Muwatta Imaam Maalik ki aur Hazrat Shaikh Taaj-ud-deen Hanafi Qala’i Makki رحمة الله عليه se Siha sitta ki ta’aleem haasil ki aur Shaikh Taaj-ud-deen se Sanad haasil ki.
Is tarah 14 mahine ke qayaam ke dauraan Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne 2 martba Hajj ada kiye aur Haramain shareefain ke Mohaddeeṡeen se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.
Makka me qayaam ke dauraan Huzoor ﷺ ne khwaab me Aap ko Hindustan jaakar logo ko Islaam ki sahi ta’aleem dekar Islaam ko taaza aur mazboot karne ke liye farmaaya.
Is ke baad Aap Hindustan ki jaanib rawaana hue aur 6 mahine baad Hindustan pahunche.
14 Rajab 1145 Hijri (January 1733 A.D.) ko Aap Hindustan waapas aye aur Delhi me talba ko aur logo ko ta’aleem dena shuru kiya.
Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne apni ta’aleemaat aur tasnnif [tehreer] ke zariye Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki.
Aap logo ko shariat ke paaband rehne ki aur Qur’ān aur Hadeeṡ par amal karne ki aur Sunnato ko apnaane ki aur buri Bid’ato se bachne ki ta’aleem dete.
Tasannif :
Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne Hindustan me sab se pehle Qur’ān majeed ka Faarsi tarjuma kiya, jo ‘Fat’h-ur-Rahmān fee Tarjumatul Qur’ān’ naam se mash’hoor hai.
Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne Arabi aur Faarsi me taqreeban 51 kitaaben likhi hain.
Aap ki mash’hoor kitaaben :
(1) Hujjatullāh al-Baaligha (2 Jild)
(2) Al-Khair-ul-Kaṡeer
(3) Al-Budur ul-Bazighah
(4) Husn-ul-Aqeedah
(5) Taawil-ul-Ahaadeeṡ
(6) Fat’h-ul-Wadud-li-Ma’arifata-al-Junud
(7) Fuyuz-ul-Haramain
(8 ) Insaaf fee Bayaan-e-Asbaab-ul-Ikhtilaaf
(9) Al-Fauz-ul-Kabeer fee Usool-ut-Tafseer (Faarsi)
(10) Al-Intibah-o-fee Salaasil-il-Aulia Allāh (Faarsi)
(11) Anfaas ul Aarifeen (Faarsi)
(12) Altaaf-ul-Quds (Faarsi)
(13) Shifa-ul-Quloob (Faarsi)
(14) Tuhfatul Muwahhideen (Faarsi)
(15) Al-Imdaad-o-fee Ma’aṡir al-Ajdaad (Faarsi)
(16) Al-Tafhimat al-Ilāhiyah
(17) Ad-Durrus Sameen
(18) Sata’at
(19) Lamahat.
Pariwaar :
Aap ki 2 biwiya aur 5 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hai.
(1) Shaikh Ubaidullāh bin Muhammad Phulti al-Barahawi ki saahabzaadi se :
1 saahabzaada : Shaikh Muhammad.
(2) Bibi Iraada binte Shaah Ṡanaullāh se
4 saahabzaade :
Shaah Abdul Azeez Mohaddiṡ,
Shaah Rafi-ud-deen,
Shaah Abdul Qaadir,
Shaah Abdul Ghani.
1 saahabzaadi : Ammatul Azeez.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Shaah Abdur Raheem Dehlawi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke waalid se Aap ko Naqshbandi, Qaadri, Suharwardi aur Chishti Siraaji silsila ki khilaafat mili hai.
Hazrat Shaikh Abu Taahir Madani ne Aap ko ‘Shattaari’ aur ‘Madaari’ silsila ki khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddiṡ Dehlawi رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Shaah Muhammad Ashiq Phulati رحمة الله عليه.
Aap ka Wisaal:
Apne wisaal se pehle Shah Qutubuddin Ahmed Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه ne wasiyat farmaai ke
“ALLĀH ke is aajiz bande ki aakhri wasiyat ye hai ke tumhare aqeede aur amal me hamesha Qur’ān aur Sunnat ko mazbooti se thaame rehna. In ki roshni me lagaatar khud ka mua’ina karte raho. Qur’ān majeed ki tilaawat karte raho aur agar tum tilaawat nahi kar sakte to kisi Qaari [tilaawat karne waale] se suno, roz kam az kam do safah.”
Aap ka wisaal 29 Moharram 1176 Hijri (20 August 1762 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Mehdiyan Qabrastan, Delhi me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Shah Qutubuddin Ahmad Waliullah Mohaddis Dehlawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se, Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.