Hazrat Shah Abdullah Hussaini Qadri Shattari
Aap ki Wiladat:
Hazrat Shah Abdullah Hussaini Qadri Shattari رحمة الله عليه ki wilaadat 930 Hijri (1524 A.D.) me Ahmedabad (Gujarat) me hui
Aap ne apne waalid se ta’aleem wa tarbiyat haasil ki.
Aap Ke Ustaad:
Phir Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Alwi Gujarati rahmatullāhi alaihise mazeed ta’aleem wa faiz haasil kiya.
Aap Ki Talimat:
Hazrat Shah Abdullah Hussaini Qadri Shattari رحمة الله عليه jayyad Aalim aur Shaikh e kaamil the. Aap Madrasa me ta’aleem wa tadrees karte.
Hazrat Shah Abdullah Husaini Kadri Shattari رحمة الله عليه bahot muttaqi aur parhezgaar the. Kabhi kisi se koi tohfa ya nazraana nahi lete aur the.
Aap hamesha ghareebo, mohtaajo aur yateemo ko imdaad karte the.
Hazrat Shah Abdullah Husaini Kadri Shattari رحمة الله عليه paabandi se namaaze tahajjud ada karte the aur akṡar roza rakhte the aur nimbu paani se iftaar karte the aur kaṡrat se tilaawate Qur’ān karte the.
Aap ke Sahabzaade:
(1) Shaikh Asadullāh
(2) Shaikh Haidar.
Aape ki mureedi aur khilafat:
Hazrat Shah Abdullah Hussaini Qadri Shattari رحمة الله عليه Hazrat Sayyed Shaah Wajeeh-ud-deen Alwi Gujarati rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat) ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Shah Abdullah Hussaini Qadri Shattari رحمة الله عليه ke khalifa Hazrat Sayyed Haashim Peer Dastageer rahmatullāhi alaihi (Bijapur, Karnataka) hain.
Aapka Wisaal:
Hazrat Shah Abdullah Husaini Kadri Shattari رحمة الله عليه ka wisaal 5 Moharram 1018 Hijri (11 April 1609 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Khanpur, Ahmedabad (Gujarat) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeebﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Shah Abdullah Husaini Kadri Shattari رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.