Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه
Aap ki Wiladat:
Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه ki wiladat 1250 Hijri (1834 A.D.) me Kohistan me hui.
Aap ke Walidain:
Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه ke waalid ka naam Muhammad Barkhurdar hai. Aap Khokhar Awan qabeele se hain.
Aap ki Ibtadai Zindagi:
Takmile uloom ke baad Aap 7 saal tak safar karke Kashmir, Pak Pattan, Multan, Delhi, Ajmer aur Kaliyar jaakar faiz haasil kiya. Phir Taunsa wapas aaye.
Kuchh arse baad phir siyaahat ke liye tashreef le gaye. Jab Pindi Ghep (Zila Atak) me Maqaame Maira par pahunche to Aap ki tabiyat ko bahot sukoon mila aur waha mustaqil qayaam pazeer ho gaye aur ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه ne sab se pehle yahan ek Deeni idaara qaayam kiya jaha door o nazdeek ke talba ta’aleem haasil karne aane lage. Phir Masjid aur Khanqah ta’ameer ki.
Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه haq parast wa haq go the.
Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه hamesha Sunnate Rasool ko apnane ki ta’aleem farmaate.
Angrezi hukumat aur us ke Hawaariyo ko Islam ka dushman samajhte the aur un ki tehzeeb se door rehne ki taaqid farmaate.
Aap Ki Talimaat:
Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه ne apne waalid se Qur’ān majeed ki ta’aleem hasil ki.
Unki wafaat ke baad Aap ke maamu Ali Khan ne Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه ki tarbiyat wa kafaalat ki. Aap ke waali aur maamu Hazrat Khwaja Shaah Sulaimān Taunsawi رحمة الله عليه ke mureed the. Is liye Aap ko un ke Aastaane me daakhil kar diya. Waha Aap ne 8 saal tak ta’aleem haasil ki. Is dauran Riyaazat bhi karte rahe.
Phir Multan tashreef le gaye aur ulama se iktisaabe faiz kiya. Phir Maulana Mamluk Ali ke shaagird bane.
Aapki Khilafat aur Mureedi:
Hazrat Peer Sayyed Meher Ali Shaah Golrawi رحمة الله عليه ke saath Aap ka bahut achha ta’alluq tha. Hazrat Aap ko Laalu [bhai)] keh kar bulaate.
Aap Hazrat Khwaja Shah Sulaimān Chishti Taunsawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Khwaja Shah Allāh-Bakhsh Taunsawi رحمة الله عليه aur Hazrat Khwaja Muhammad Faazil Shah رحمة الله عليه ne bhi Aap ko khilafat ata farmaye hai.
Aapka Wisaal:
Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه ka wisaal 5 Muharram 1330 Hijri (27 December 1911 A.D.) ko hua.
Aap ka Mazar Maira, Attock, Punjab (Pakistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Ahmad Chishti Mairawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmaye aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa akhirat mein kamyabi ata farmaye aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.