Guzre jis raah se wo sayyid e waala ho kar
Reh gayi saari zameen anbar e saara ho kar
Rukh e anwar ki tajjali jo qamar ne dekhi
Reh gaya bosah dah e naqsh e kaf e paa ho kar
Waaye mehroomi e qismat ke main phir ab ki baras
Reh gaya hamrah e zawwaar e Madinah ho kar
Guzre jis raah se wo sayyid e waala ho kar
Reh gayi saari zameen anbar e saara ho kar
Chaman e Taiba hay wo baagh ke murgh e sidrah
Barson chehke hain jahan bulbul e shaida ho kar
Sar sar e dasht e Madinah ka magar aaya khyaal
Rashk e gulshan jo bana ghuncha e dil waa ho kar
Guzre jis raah se wo sayyid e waala ho kar
Reh gayi saari zameen anbar e saara ho kar
Gosh e sheh kehte hain faryaad rasi ko ham mein
Wada e chashm hay bakhshaain ge goyaa ho kar
Paaye sheh par gire Yaa Rab tapish e meher se jab
Dil e betaab ure hashr mein paara ho kar
Hay yeh ummeed Raza ko teri rahmat se shahaa
Na ho zandaani e dozakh tera bandah ho kar
Guzre jis raah se wo sayyid e waala ho kar
Reh gayi saari zameen anbar e saara ho kar
گزرے جس راہ سے وہ سیِّدِ والا ہو کر
رہ گئی ساری زَمیں عَنْبرِ سارا ہو کر
رُخِ اَنور کی تجلی جو قمر نے دیکھی
رہ گیا بوسہ دہِ نقشِ کفِ پا ہو کر
وَائے محرومیِ قسمَت کہ میں پھر اب کی برس
رہ گیا ہمرہِ زَوّارِ مدینہ ہو کر
چمنِ طیبہ ہے وہ باغ کہ مُرغِ سِدرہ
برسوں چہکے ہیں جہاں بلبلِ شیدا ہو کر
صَرْصَرِ دَشتِ مَدینہ کا مگر آیا خیال
رَشکِ گلشن جو بنا غُنْچۂ دِل وا ہو کر
گوشِ شہ کہتے ہیں فریاد رَسی کو ہم ہیں
وَعدۂ چشم ہے بخشائیں گے گویا ہو کر
پائے شہ پر گِرے یارب تپشِ مہر سے جب
دلِ بے تاب اُڑے حشر میں پارا ہو کر
ہے یہ امّید رضاؔ کو تِری رحمت سے شہا
نہ ہو زِندانیِ دوزخ تِرا بندہ ہو کر