Gham ho gaye beshumar Aaqa
Bandah tere nisaar Aaqa
Bigraa jaata hai khel mera
Aaqa Aaqa sanwaar Aaqa
Manjhdaar pe aake naaw tooti
De haath ke hoon main paar Aaqa
Tooti jaati hai peeth meri
Lillah ye bojh utaar Aaqa
Halka hai agar hamara palla
Bhaari hai tera waqaar Aaqa
Gham ho gaye beshumar Aaqa
Bandah tere nisaar Aaqa
Majboor hain ham to fikr kya hai
tum ko to hai ikhtiyaar Aaqa
Main door hoon tum to ho mere paas
Sun lo meri pukaar Aaqa
Mujh sa koi ghamzadah na hoga
tum sa nahin gham gusaar Aaqa
Girdaab me par gayi hai kashti
Dooba dooba utaar Aaqa
Gham ho gaye beshumar Aaqa
Bandah tere nisaar Aaqa
Tum woh ke karam ko naaz tum se
Main woh ke badi ko aar Aaqa
Phir munh na pare kabhi khizaan ka
De de aisi bahaar Aaqa
Jis ki marzi Khuda na taale
Mera hai woh naamdaar Aaqa
Gham ho gaye beshumar Aaqa
Bandah tere nisaar Aaqa
Hai mulk e Khuda pe jiska qabza
Mera hai woh kaamgaar Aaqa
Soya kiye naabakaar bande
Roya kiye zaar zaar Aaqa
Kya bhool hai unke hote kehlaaein
Duniya ke yeh Taajdaar Aaqa
Unke adna gadaa pe mit jaayein
Aise aise hazaar Aaqa
Gham ho gaye beshumar Aaqa
Bandah tere nisaar Aaqa
Be abr e karam ke mere dhabbe
La taghsiluhaa al bihaar Aaqa
Itni rehmat Raza pe kar lo
La yaqrubuhu ul bawaar Aaqa
Gham ho gaye beshumar Aaqa
Bandah tere nisaar Aaqa
غم ہو گئے بے شمار آقا
بندہ تیرے نثار آقا
بگڑا جاتا ہے کھیل میرا
آقا آقا سنوار آقا
منجدھار پہ آ کے ناؤ ٹوٹی
دے ہاتھ کہ ہُوں میں پار آقا
ٹوٹی جاتی ہے پیٹھ میری
لِلّٰہ یہ بوجھ اُتار آقا
ہلکا ہے اگر ہمارا پلّہ
بھاری ہے تِرا وقار آقا
مجبور ہیں ہم تو فِکر کیا ہے
تم کو تو ہے اِختیار آقا
میں دُور ہوں تم تو ہو مِرے پاس
سُن لو میری پکار آقا
مجھ سا کوئی غمزَدہ نہ ہوگا
تم سا نہیں غم گُسار آقا
گرداب میں پڑ گئی ہے کشتی
ڈُوبا ڈُوبا، اُتار آقا
تُم وہ کہ کرم کو ناز تم سے
میں وہ کہ بدی کو عار آقا
پھر منھ نہ پڑے کبھی خزاں کا
دے دے ایسی بہار آقا
جس کی مرضی خدا نہ ٹالے
میرا ہے وہ نامدار آقا
ہے ملکِ خدا پہ جس کا قبضہ
میرا ہے وہ کامگار آقا
سویا کیے نابکار بندے
رَویا کیے زار زار آقا
کیا بھول ہے ان کے ہوتے کہلائیں
دُنیا کے یہ تاجدار آقا
اُن کے ادنی گدا پہ مِٹ جائیں
ایسے ایسے ہزار آقا
بے ابرِ کرم کے میرے دھبّے
لَا تَغْسِلُھَ الْبِحَار آقا
اتنی رحمت رضاؔ پہ کر لو
لَا یَقْرُبُہُ الْبَوَار آقا