Biography of Imam Malik Ibn Anas رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab:

Imaam e Daar-ul-Hijrah (Imaam of The Emigration Land), Shaikh-ul-Islaam.

Malik Ibn Anas ki Wiladat:

Malik Ibn Anas ki wilaadat 93 Hijri (711 A.D.) me Madeena Munawwara me hui.
Malik Ibn Anas ke waalid Anas ibn Maalik ibn Abi Aamir رحمة الله عليه aur waalida ka naam Aaliyah binte Shuraik al-Azdiyya hai.

Malik Ibn Anas Yemen ke Asbaahi qabeele ta’alluq rakhte hain.
Malik Ibn Anas ke Daada Islaam apnaane ke baad Hazrat Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Yemen se Madeena aa gaye the.

Malik Ibn Anas Tabe taabi’een hain.
Malik Ibn Anas ne Imaam Naafi ibn Abdur Rahmān رحمة الله عليه se Qur’an ki ta’aleem haasil ki aur Haafiz e Qur’an hue aur un se Sanad haasil karke ta’aleem dena shuru kiya.

Malik Ibn Anas ne Hazrat Abdur Rahmān ibn Hurmuz, Safwaan ibn Sulaim, Ibn Shihaab al-Zuhri, Naafi Maula ibn Umar, Abdullāh bin Zakwaan, Imaam e aazam Abu Haneefa, Imam Jaafar al-Saadiq, Aamir ibn Abdullāh ibn Zubair, Zaid ibn Aslam, Saeed Maqbaree, Abu Haazim, Salama ibn Deenaar, Saalih ibn Qay’saan, Shareek ibn Abdullāh ibn Abu Numair, Rabi’ah al-Ra’ee, Hishaam ibn Urwah, Ayyoob al-Sikhtiyani, Humaid al-Sawil, Muhammad ibn Munkadir, aur Asa’ al-Khurasani se bhi ta’aleem haasil ki.

Malik Ibn Anas ke shaagirdo me Imaam Muhammad al-Shafi’i, Abdullāh ibn Mubarak, Sufyaan al-Ṡawri, Muhammad ibn Muslim ibn Shihaab al-Zuhri, Abu Yousuf, Muhammad al-Shaybani, Abdur Rahmān ibn Mahadi, Abdullāh ibn Wahab, Ibne Qaasim, Al-Qa’nabi, Sa’eed ibn Manshur, Qutaibah, Yahyā ibn Sa’eed, Yazeed Ibn Abdullāh, aur Yahyā ibn Bukair رحمة الله عليه mash’hoor hain.

Malik Ibn Anas Hadeeṡ aur Fiq’h ke maahir hue.
17 saal ki umr me Malik Ibn Anas ne Fatawa dena shuru kiya.
Malik Ibn Anas Fatawa dene me bahot khayaal rakha karte the.

Malik Ibn Anas farmaate hain ke “Aalim ko agar kisi mas’ale ka jawaab sahi ma’aloom na ho to use ‘mujhe pata nahi’ yeh kehne me sharmaana nahi chahiye. Yeh aalim ki dhaal hai aur agar woh use bhool gaya (ya’ani galat fatawa de diya) to yeh use na-kaami ki taraf le jaayega.”

Malik Ibn Anas farmaate hain ke “Ilm zyada bayaan karne ka naam nahi hai magar yeh woh noor hai jo ALLĀH ta’ala bande ke dil me rakhta hai.”

Malik Ibn Anas Aa’imma e Araba me se hain.
Malik Ibn Anas ka mazhab e fiq’h ‘Maaliki’ naam se mash’hoor hai.

Tasannif :

Malik Ibn Anas ki mash’hoor kitaaben:

(1) Al-Muwatta (Sahi ahadeeṡ)

(2) Tafseer ul Ghareebil Qur’an

(3) Risaalatul Maalik Ilaa Ibn Wahab Fil Qadr

(4) Risaalatul Maalik Fil Aq’ziyah

(5) Risaalatul Maalik Ilaa Gassaan Ibn Muhammad Ibn Mutarrif Fil Fatwaa

(6) Risaalatul Maalik Ilaa Haaroonir Rasheed Al’ Mash’ hooratu Fil Aadaabi Wal Mawaa’ iz

(7) Risaalatul Maalik Ilaa Lays Fi Ijmaa’i Ahlil Madeenah

(8) Kitaab us Sirr.

♦ Hazrat Sahnun ibn Saeed ibn Habeeb al-Tanukhi ne Malik Ibn Anas ke fataawa ko ‘Al-Mudawwanatul Kubra’ naami kitaab me jama kiye hain.

Malik Ibn Anas ne puri zindagi mukammal ishq e Rasool ﷺ ka muzaahira kiya.
Malik Ibn Anas har amal Sunnat e Rasool ke mutaabiq karte. Aur logo ko hamesha Sunnato ko apnane ki aur buri Bid’ato se door rehne ki ta’aleem dete the.

Malik Ibn Anas ne logo tak sahi hadeeṡ pahunchane ke liye mahenat karke sahi ahaadeeṡ jama karke ek kitaab tayyaar ki, jise ‘al-Muwatta’ naam diya gaya.

Malik Ibn Anas ka riwaayat e Hadeeṡ ka silsila ‘Silsilat ul-Zahab (Golden Chain of Narration)’ maana jaata hai.

Malik Ibn Anas puri zindagi logo ko hadeeṡ ki ta’aleem dete rahe.
Jab koi Hadeeṡe Nabawi sunne ke liye aata to Malik Ibn Anas pehle jaakar Ghusl karte aur phir Hadeeṡ shareef bayaan farmate.

Malik Ibn Anas puri zindagi nange paanv rehte the. Kyun ki Malik Ibn Anas Huzoor Nabi e kareem ﷺ ke muqaddas shaher me joote pehankar chalna khilaaf e adab maante the.

Ek baar Malik Ibn Anas ke paanv me kaanta lag gaya. Malik Ibn Anas ko zyada takleef na ho is liye logo ne Malik Ibn Anas ko us kaante ko nikalne ke liye kaha. Magar Malik Ibn Anas ne mana farmaaya aur kaha ke “Jab ALLĀH mujh se puchhega ke kya lekar aaye ho to main keh dunga ke tere Habeeb ke shaher ka kaanta saath lekar aaya hu.”

Malik Ibn Anas ne sirf ek baar Hajj ada kiya. 

Wajah puchhi gai to farmaaya “Ek hajj farz tha is liye kiya. Ab main nahi chaahta ke Nabi e kareem ﷺ ke muqaddas shaher ko chhodkar jaau aur ALLĀH na kare ke meri maut kisi dusre maqaam par ho.”

Ek martaba khalifa Hāroon Rasheed ne Imaam Maalik رحمة الله عليه se kaha “Dunya me kisi jagah Rasool-Allāh ﷺ ki gustaakhi ho jaaye to Rasool-Allāh ﷺ ki ummat ki kya zimmedaari hai?”

Malik Ibn Anas ne farmaaya “Ummat e Muslima badla le.”

Phir puchha “Agar woh aisa na kare to?”

Malik Ibn Anas ne farmaaya “Phir Rasool-Allāh ﷺ ki saari ummat mar jaaye us ko jeene ka koi haq nahi hai.”

Pariwaar:

Malik Ibn Anas ke 2 bete aur 1 beti hain.
Saahabzaade : Yahyā aur Muhammad.
Saahabzaadi : Faatima.

Malik Ibn Anas ko katre ki takleef ho gai (ya’ani paishaab rookta nahi tha) to Malik Ibn Anas ne Masjid e Nabawi me jaan band kar diya ke na-paaki ki haalat me waha jaana gustakhi hogi.

Malik Ibn Anas ne is takleef me 22 din guzaare. Is dauraan Malik Ibn Anas ne tanha rehte the aur kisi ke saamne is ki fariyaad nahi karte the.

Wisaal se pehle Malik Ibn Anas ne Tashah’hood padha aur phir Surah al-Room ki Aayat tilaawat farmai ‘ALLĀH hi ka amr [hukm] hai pehle bhi aur ba’ad me bhi.’

Malik Ibn Anas ka Wisaal:

Malik Ibn Anas ka wisaal 7 Rabi uṡ Ṡaani 179 Hijri (795 A.D.) ko hua.
Malik Ibn Anas ki namaaz e janaaza Ameer e Madeena Abdul Azeez ibn Muhammad ibn Ibrāheem ne padhaai.

Malik Ibn Anas ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Imaam Maalik bin Anas رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *