Table of Contents
ToggleBanda Qadir Ka Bhi Hai Abdul Qadir Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Bandah Qadir ka bhi Qadir bhi hay Abdul Qadir
Sir e baatin bhi hay zaahir bhi hay Abdul Qadir
Mufti e shar’a bhi hay qaazi e millat bhi hay
Ilm e asraar sey maahir bhi hay Abdul Qadir
Manba’a faiz bhi hay majma’a afdaal bhi hay
Meher e irfaan ka munnawar bhi hay Abdul Qadir
Qutb e abdaal bhi hay mehwer e irshaad bhi hay
Markaze daairah e sir bhi hay Abdul Qadir
Salak e irfaan ki ziya hay yahi dur e mukhtaar
Fakhr e ashbaah wa nazair bhi hay Abdul Qadir
Bandah Qadir ka bhi Qadir bhi hay Abdul Qadir
Sir e baatin bhi hay zaahir bhi hay Abdul Qadir
Us key farmaan hain sab shaareh hukm e shaare’
Mazhare naa hi o aamir bhi hay Abdul Qadir
Zee tasarruf bhi hay maazoon bhi mukhtar bhi hay
Kaar e aalam ka muddabir bhi hay Abdul Qadir
Rashk e bulbul hay Raza laala e sad daagh bhi hay
Aap ka waasif o zaakir bhi hay Abdul Qadir
Bandah Qadir ka bhi Qadir bhi hay Abdul Qadir
Sir e baatin bhi hay zaahir bhi hay Abdul Qadir
بندہ قادر کا بھی قادر بھی ہے عبدالقادر
سرِّ باطن بھی ہے ظاہر بھی ہے عبدالقادر
مفتِی شرع بھی ہے قاضی مِلّت بھی ہے
علمِ اَسرار سے ماہر بھی ہے عبدالقادر
منبعِ فیض بھی ہے مجمعِ افضال بھی ہے
مہر عرفَاں کا منور بھی ہے عبدالقادر
قطب ابدال بھی ہے محورِ ارشاد بھی ہے
مرکزِ دائرئہ سِرّ بھی ہے عبدالقادر
سلکِ عرفاں کی ضیا ہے یہی دُرِّمختار
فخرِ اَشباہ و نظائر بھی ہے عبدالقادر
اس کے فرمان ہیں سب شارحِ حکمِ شارع
مظہرِ ناہی و آمر بھی ہے عبدالقادر
ذی تَصَرُّف بھی ہے ماذون بھی مختار بھی ہے
کارِ عالم کا مُدَبِّر بھی ہے عبدالقادر
رشکِ بُلبل ہے رضاؔ لالہ صَد داغ بھی ہے
آپ کا واصف و ذاکِر بھی ہے عبدالقادر