Bartar Qayas Se Hai Maqaame Abul Hussain Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Bartar qayas se hai maqaam e Abul Hussain
Sidrah se poocho rifa’at baam e Abul Hussain
Waa rasta paaye basta daam e Abul Hussain
Aazad naar se hai ghulaam e Abul Hussain
Khat e siyah mein noor e Ilaahi ki taabishen
Kya subhe noor baar hai shaam e Abul Hussain
Saaqi suna de sheesha e Baghdad ki tapak
Mehki hai booye gul se madaam e Abul Hussain
Booye kabaab sowkhta aati hai maikasho
Chhalka sharaab e Chisht se jaam e Abul Hussain
Bartar qayas se hai maqaam e Abul Hussain
Sidrah se poocho rifa’at baam e Abul Hussain
Gulgon seher ko hai sahar soz e dil se aankh
Sultaan e Sohorward hai naam e Abul Hussain
Kursi nasheen hai naqsh e muraad un ke faiz se
Mawla e Naqshband hai naam e Abul Hussain
Jis nakhl e paak mein hain cheyaalis daaliyaan
Ek shaakh un mein se banaam e Abul Hussain
Maston ko aye Kareem bachaaye khumaar se
Taa door hashr daurah e jaam e Abul Hussain
Bartar qayas se hai maqaam e Abul Hussain
Sidrah se poocho rifa’at baam e Abul Hussain
Un ke bhale se laakhon ghareebon ka hai bhala
Yaa Rab zamaana baad e bakaam e Abul Hussain
Mela laga hai shaan e maseeha ki deed hai
Murde jilaa raha hai khiraam e Abul Hussain
Sar gashta mehr o mah hain par ab tak khula nahin
Kis charkh par hai maah tamaam e Abul Hussain
Itna pata mila hai ke yeh charkh chambari
hai haft paaya e zeena e baam e Abul Hussain
Bartar qayas se hai maqaam e Abul Hussain
Sidrah se poocho rifa’at baam e Abul Hussain
Zarrah ko meher qatreh ko darya kare abhi
Gar josh zan ho bakhshish ‘aam e Abul Hussain
Yahyaa ka sadqa waaris e Iqbaal mand paaye
Sajjaadah shuyookh kiraam e Abul Hussain
Inaa’am lein bahaar e jinaan tehniyat likhain
Phoole phalle to nakhl e maraam e Abul Hussain
Allah ham bhi dekh lein shehzada ki bahaar
Soonghe gule muraad mashaam e Abul Hussain
Bartar qayas se hai maqaam e Abul Hussain
Sidrah se poocho rifa’at baam e Abul Hussain
Aaqa se mere suthre miyan ka hua hai naam
Us ache suthre se rahe naam e Abul Hussain
Yaa Rab woh chaand jo falak e izz o jaah par
Har sair mein ho gaam bagaam e Abul Hussain
Aao tumhein hilaal sip har sharf dikhaiein
Gardan jhukaein behr salaam e Abul Hussain
Qudrat Khuda ki hai ke talaatum kinaan uthi
Behr fanaa se mauj dawaam e Abul Hussain
Bartar qayas se hai maqaam e Abul Hussain
Sidrah se poocho rifa’at baam e Abul Hussain
Yaa Rab hamain bhi chaashni us apni yaad ki
Jis se hai shakrein lab o kaam e Abul Hussain
Haan taal’ e Raza teri Allah re yaawari
Aye banda e jadood kiraam e Abul Hussain
Bartar qayas se hai maqaam e Abul Hussain
Sidrah se poocho rifa’at baam e Abul Hussain
بر تر قیاس سے ہے مقامِ ابو الحسین
سدرہ سے پوچھو رفعتِ بام ابو الحسین
وارستہ پائے بستۂ دامِ ابو الحسین
آزاد نار سے ہے غلامِ ابو الحسین
خطِّ سیہ میں نورِ الٰہی کی تابشیں
کیا صبحِ نور بار ہے شام ابو الحسین
ساقی سنادے شیشۂ بغداد کی ٹپک
مہکی ہے بوئے گل سے مَدامِ ابو الحسین
بوئے کبابِ سوختہ آتی ہے مے کشو!
چھلکا شرابِ چشت سے جامِ ابو الحسین
گُلگوں سَحر کو ہے سَہر سوزِ دل سے آنکھ
سلطانِ سہرورد ہے نامِ ابو الحسین
کرسی نشیں ہے نقشِ مراد اُن کے فیض سے
مولائے نقش بند ہے نامِ ابو الحسین
جس نخلِ پاک میں ہیں چھیالیس ڈالیاں
اک شاخ ان میں سے ہے بنامِ ابو الحسین
مستوں کو اے کریم بچائے خمار سے
تا دورِ حشر دورۂ جامِ ابو الحسین
اُن کے بھلے سے لاکھوں غریبوں کا ہے بھلا
یا رب زمانہ باد بَکامِ ابو الحسین
میلا لگا ہے شانِ مسیحا کی دید ہے
مُردے جِلا رہا ہے خِرامِ ابو الحسین
(ق) سر گشتہ مہر و مہ ہیں پر اب تک کھلا نہیں
کس چرخ پر ہے ماہِ تمامِ ابو الحسین
اتنا پتا ملا ہے کہ یہ چرخِ چنبری
ہے ہفت پایہ زینۂ بامِ ابو الحسین
ذرّے کو مہر، قطرے کو دریا کرے ابھی
گر جوش زن ہو بخششِ عامِ ابو الحسین
یحییٰ کا صدقہ وارث اقبال مند پائے
سجادۂ شیوخِ کرامِ ابو الحسین
انعام لیں بہارْ جناں تہنیت لکھیں
پھولے پھلے تو نخل مَرامِ ابو الحسین
اللہ ہم بھی دیکھ لیں شہزادہ کی بہار
سونگھے گلِ مراد مشامِ ابو الحسین
آقا سے میرے ستھرے میاں کا ہوا ہے نام
اس اچھے ستھرے سے رہے نامِ ابو الحسین
یا رب وہ چاند جو فلکِ عزّ و جاہ پر
ہر سیر میں ہو گامْ بگامِ ابو الحسین
آؤ تمھیں ہلالِ سپہرِ شرف دکھائیں
گردن جھکائیں بہرِ سلامِ ابو الحسین
قدرت خدا کی ہے کہ طلاطم کُناں اٹھی
بحرِ فَنا سے موجِ دوامِ ابو الحسین
یا رب ہمیں بھی چاشنی اس اپنی یاد کی
جس سے ہے شکّریں لب و کامِ ابو الحسین
ہاں طالعِ رؔضا تِری اللہ رے یاوری
اے بندۂ جُدودِ کرامِ ابو الحسین