Table of Contents
ToggleArsh e Haq Hai Masnad e Rifat Rasoolallah ki ﷺ Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Arsh e Haq Hai masnad e rifat Rasoolallah ki
Dekhni hai hashr mein ‘izzat Rasool allah ki
Qabr mein lehraayenge taa hashr chashme Noor ke
Jalwah farmaa hogi jab tal’at Rasool Allah ki
Kaafiron par taigh waalaa se giri barq e ghazab
Abr aasaa chaa gayi haibat Rasool Allah ki
Laa wa Rabbil ‘arsh jisko jo mila unse mila
Bat ti hai kaunain mein ne’mat Rasool Allah ki
Woh jahannum mein gaya jo unse mustaghni huwa
hai Khaleelullah ko haajat Rasool Allah ki
Arsh e Haq Hai masnad e rifat Rasoolallah ki
Dekhni hai hashr mein ‘izzat Rasool allah ki
Sooraj ulte paaon palte chaand ishaare se ho chaak
Andhe najdi dekh le qudrat Rasool Allah ki
Tujh se aur Jannat se kiya matlab wahabi door ho
Hum Rasoolallah ke Jannat Rasool Allah ki
Zikr roke fazl kaate naqs ka jooyaan rahey
Phir kahe mardak ke hoon ummat Rasool Allah ki
Najdi usne tujh ko mohlat di ki is ‘aalam mein hai
Kaafir o murtad pe bhi rehmat Rasool Allah ki
Arsh e Haq Hai masnad e rifat Rasoolallah ki
Dekhni hai hashr mein ‘izzat Rasool allah ki
Hum bheekhaari woh kareem unka Khuda unse fuzoo
Aur naa kehna nahi aadat Rasool Allah ki
Ahl e Sunnat ka hai bera paar ashaabe Huzoor
Najm hai aur naaw hai ‘itrat Rasool Allah ki
Khaak hokar ishq mein aaraam se sona mila
Jaan ki akseer hai ulfat Rasool Allah ki
Toot jaayenge gunahgaaro ke fauran qaid o bandh
Hashr ko khul jaayegi taaqat Rasool Allah ki
Arsh e Haq Hai masnad e rifat Rasoolallah ki
Dekhni hai hashr mein ‘izzat Rasool allah ki
Ya Rabb ek sa’at mein dhool jayein siyaahkaro ke jurm
Josh mein aajaaye ab rahmat Rasool Allah ki
Hai gul e baagh e qudus rukhsaar zebaaye Huzoor
Sarwe gulzaare qadam qaamat Rasool Allah ki
Aay Raza khud Saahib e Qur’an hai maddaah e Huzoor
Tujh se kab mumkin hai phir midhat Rasool Allah ki
Arsh e Haq Hai masnad e rifat Rasoolallah ki
Dekhni hai hashr mein ‘izzat Rasool allah ki
عرشِ حق ہے مسندِ رِفعت رسول اللہ کی
دیکھنی ہے حشر میں عزّت رسول اللہ کی
قبر میں لہرائیں گے تا حشر چشمے نُور کے
جلوہ فرما ہوگی جب طلعت رسول اللہ کی
کافروں پر تیغِ والا سے گِری برقِ غضب
اَبر آسا چھا گئی ہیبت رسول اللہ کی
لَا وَرَبِّ الْعَرْش جس کو جو مِلا ان سے ملا
بٹتی ہے کونین میں نعمت رسول اللہ کی
وہ جہنم میں گیا جو اُن سے مستغنی ہوا
ہے خلیل اللہ کو حاجت رسول اللہ کی
سُورج اُلٹے پاؤں پلٹے چاند اِشارے سے ہو چاک
اندھے نجدی دیکھ لے قدرت رسول اللہ کی
تجھ سے اور جنّت سے کیا مطلب وہابی دُور ہو
ہم رسول اللہ کے جنّت رسول اللہ کی
ذِکر روکے فضل کاٹے نقص کا جویاں رہے
پھر کہے مردَک کہ ہوں امّت رسول اللہ کی
نجدی اُس نے تجھ کو مہلت دی کہ اس عالم میں ہے
کافر و مرتَد پہ بھی رحمت رسول اللہ کی
ہم بھکاری وہ کریم اُن کا خدا اُن سے فُزُوں
اور نا کہنا نہیں عادت رسول اللہ کی
اہلِ سنّت کا ہے بیڑا پار اَصحابِ حضور
نجم ہیں اور ناؤ ہے عترت رسول اللہ کی
خاک ہو کر عشق میں آرام سے سونا مِلا
جان کی اِکسیر ہے اُلفت رسول اللہ کی
ٹُوٹ جائیں گے گنہگاروں کے فوراً قید و بند
حشر کو کھل جائے گی طاقت رسول اللہ کی
یا ربّ اِک ساعت میں دُھل جائیں سیہ کاروں کے جرم
جوش میں آجائے اب رحمت رسول اللہ کی
ہے گلِ باغِ قُدُس رُخسارِ زَیبائے حضور!
سر وِ گلزارِ قدم قامت رسول اللہ کی
اے رضاؔ خود صاحبِ قرآں ہے مَدَّاحِ حضور
تجھ سے کب ممکن ہے پھر مِدحت رسول اللہ کی
Pingback: 100+ Ala Hazrat Naat Lyrics in Urdu and English | Hadaiq e Bakhshish Lyrics - Islamic Images