Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi keh faqat aani hai
Phir usi aan ke baad un ki haiaat
Misle saabiq wohi jismaani hai
Rooh toh sab ki hai zinda un kaa
Jism e purnoor bhi roohaani hai
Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi keh faqat aani hai
Auron ki rooh ho kitni hi lateef
Un ke ajsaam ki kab saani hai
Paaun jis khaak pe rakh dein woh bhi
Rooh hai paak hai nooraani hai
Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi keh faqat aani hai
Uski azwaaj ko jaaiz hai nikaah
Us ka tarkah bate jo faani hai
Yeh hain haiyi abadi un ko Raza
Sidq e waa’da ki qazaa maani hai
Ambiya ko bhi ajal aani hai
Magar aisi keh faqat aani hai
اَنبیا کو بھی اَجل آنی ہے
مگر ایسی کہ فقط آنی ہے
پھر اُسی آن کے بعد اُن کی حیات
مثلِ سابق وہی جسمانی ہے
روح تو سب کی ہے زندہ ان کا
جسمِ پُرنور بھی روحانی ہے
اوروں کی روح ہو کتنی ہی لطیف
اُن کے اَجسام کی کب ثانی ہے
پاؤں جس خاک پہ رکھ دیں وہ بھی
روح ہے پاک ہے نورانی ہے
اُس کی اَزواج کو جائز ہے نکاح
اُس کا ترکہ بٹے جو فانی ہے
یہ ہیں حَیِّ اَبدی ان کو رضاؔ
صدقِ وعدہ کی قضا مانی ہے
Pingback: 100+ Ala Hazrat Naat Lyrics in Urdu and English | Hadaiq e Bakhshish Lyrics - Islamic Images