Hazrat Khwaja Sharf-ud-deen Abu Ishaq Shami Chishti رحمة الله عليه
Aqwaal:
Abu Ishaq Shami farmaate hain :
(1) Faaqa sab se badi Farhat wa Sa’adat hai.
(2) Dunyaawi log Maloos (na-khaalis) hote hain aur Sufi darwesh roohani taur par paak wa khaalis hote hain. Chunaanche ye dono alag alag fitrat ek dusre se mil nahi sakti.
Baghdad me jab aap ki mulaaqat Hazrat Mamshaad Dinwari رحمة الله عليه se hui tab unho ne aap se puchha ‘Aap ka naam kya hai?’ Aap ne adab ke saath kaha ‘Mera naam Abu Is’hāq Shaami hai.’ Hazrat Mamshaad Dinwari ne farmaaya ‘Aaj se tumhara naam Abu Is’hāq Chishti hai.’
Aap apne Peer ke farmaan par Chisht (Afghanistan) tashreef laaye aur waha qayaam pazeer hue.
Aap ne puri zindagi Ibaadat aur Mujaahida me guzaari.
Ek baar Chisht me Sultaan Faransafah ka shehzaade Abu Ahmad apne waalid ke saath shikaar ke liye gaye. Wo un se alag hokar ghum rahe the tab ek pahaad ke qareeb maidaan me pahunche to unho ne dekha ke 40 Auliya Allāh Khwaja Abu Is’hāq Shaami Chishti ke saamne ba-adab khade hain. Khwaja ki shaane wilaayat dekhkar Abu Ahmad foran apne ghode se neeche utre aur Khwaja ke qadmo me aa gaye aur phir apna shaahi libaas utaarkar saada libaas pehan liya aur khwaja ke mureed ban gaye.
Aap ne unhe mukammal taalim ata farmaai aur Khwaja Abu Ahmad Abdaal Chishti ko khilaafat ata farmai aur Shaam ki taraf rawaana hue.
Ek din baadshaah ne aap ki baargaah me aakar kaha ke ‘Qehat ki wajah se log bahot pareshaan hain. Aap baarish ke liye dua karen to badi maherbaani hogi.’ Aap ne baadshaah ko mehfil e sama munaaqid karne ke liye farmaaya. Jab mehfil e sama shuru hui to aalam e wajd me aap ki aankho se aansoo jaari ho gaye aur foranALLĀH ta’ala ke fazl se baarish shuru ho gai.
Dusre din baadshaah apni kisi zaroorat ke sabab phir se aap ke paas aaya. Us ne dekha ke Khwaja kuchh ranjeeda dikh rahe the. Us ne is ki wajah jaanne ke liye arz kiya. Aap ne farmaaya ‘Mujhe lagta hai ke mujh se koi gunaah ho gaya jis ki wajah se mujhe ameero ki sohbat me zyada rehna padta hai. Mujhe dar hai ke kahi mera khaatma ghareebo ki sohbat me hone ke bajaay ameero ki sohbat me na ho.’
Aap aksar ye dua karte
‘Aye ALLĀH! Mujhe faqeero me zinda rakh, faqeer ki maut ata kar aur Qayaamat ke din faqeero ke saath uthaana
Abu Ishaq Shami ki Mureedi aur Khilafat:
Abu Ishaq Shami Hazrat Mamshaad Dinwari رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Abu Ishaq Shami se Tareeqat ka ‘Chishti’ silsila jaari hai.
Abu Ishaq Shami ke khalifa Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad Abdaal Chishti رحمة الله عليه hain.
Abu Ishaq Shami ka Wisaal:
Aap ka wisaal 14 Rabi’ us Saani 329 Hijri (940 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Akka (Syria) me Jable Qasiyun par hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Khwaja Abu Is’hāq Shaami Chishti رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.