Biography of Hazrat Sayyed Ahmed Mohiyuddin Noorishah Jilani رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Ahmed Mohiyuddin Noorishah Jilani رحمة الله عليه

Laqab:

Noor-ul-Masha’ikh.

Noorishah Jilani ki Wiladat:

Aap ki wilaadat 29 Zil Qa’ada 1333 Hijri (8 October 1915 A.D.) ko Dabirpur (Hyderabad) me hui.

Aap Hasani saadaat hain aur Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain.

Aap ne Pattikkad (Kerala) me Jaamia Nooriya College shuru kiya.

40 mumaalik me Aap ke silsile ke mureedeen hain.

Noorishah Jilani ki likhi hui mash'oor kitaaben:

(1) Tafseer-e-Noori

(2) Asraar e Laa ilāha illallāh

(3) Ehmiyat-e-Tareeqat

(4) Ta’aruf-e-Muhammad.

Noorishah Jilani ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Kanz-ul-Irfaan Haaji Maulana Shaikh Ghauṡi Shaah Chishti رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Jin se Aap ko Chishti aur Qaadri silsila ki khilaafat mili hai.

Aap se ‘Silsila e Nooriya’ jaari hai.

Aap ke khalifa (aap ke saahabzaade) Hazrat Sayyed Aarif-ud-deen Jilani رحمة الله عليه hain.

Noorishah Jilani ka Wisaal:

Aap ka wisaal 14 Rabi-uṡ-Ṡaani  1411 Hijri (3 November 1990 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Bandlaguda, Hyderabad (Telangana) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Sayyed Ahmad Mohiy-ud-deen Noori Shaah al-Jilani رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen

.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *