Hazrat Meer Sayyed Nooruddin Mubarak Ghaznavi رحمة الله عليه
Alqaab:
Shaikh-ul-Islaam, Meer-e-Delhi.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ke Walidain:
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ke waalid ka naam Hazrat Abdullāh bin Sharf-ud-deen al-Husaini hai.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi Husaini saadaat hain.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ne Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.
Phir Nooruddin Mubarak Ghaznavi Baghdad se Delhi tashreef laaye the.
Sultaan Shams-ud-deen Altamash ne Nooruddin Mubarak Ghaznavi ko Delhi ke ‘Shaikh-ul-Islaam’ muqarrar kiya tha.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ne ‘Deen Panaahi’ ke liye Sultaan ko 4 Qaanoon bataaye the :
(1) Kufr o Shirk (But-parasti) ko door karna chaahiye.
(2) Badkaari, ayyaashi aur gunaah ko rokna chaahiye.
(3) Shara’i qaanoon laagu karne ke liye nek aur muttaqi logo ko muqarrar karna chaahiye.
(4) Mulk me Adl o insaaf qaa’im rakhna chaahiye.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ki Mureedi aur Khilafat:
Nooruddin Mubarak Ghaznavi Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ne Hazrat Shaikh Muhammad Ajal Shirazi رحمة الله عليه se bhi faiz haasil kiya hai.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ke khalifa Hazrat Sayyed Najm-ud-deen Shaah Qalandar رحمة الله عليه hain.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ka Wisaal:
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ka wisaal 13 Rabi uṡ Ṡaani 632 Hijri (January 1235 A.D.) ko hua.
Nooruddin Mubarak Ghaznavi ka mazaar Shamsi Hauz ke qareeb Mehrauli, Delhi me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Meer Sayyed Nooruddin Mubarak Ghaznavi Ghaznawi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.
Pingback: Biography of Hazrat Khwaja Sharf-ud-deen Abu Ishaq Shami Chishti رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images
Pingback: Biography of Hazrat Sayyed Ahmed Mohiyuddin Noorishah Jilani رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images
Pingback: Biography of Hazrat Peer Sayyed Shah Shamsuddeen Sabzwari رحمة الله عليه | Download Free PDF - Islamic Images