Biography of Hazrat Allama Maulana Mushtaq Ahmed Nizami Allahabadi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Allama Maulana Mushtaq Ahmed Nizami Allahabadi رحمة الله عليه

Alqaab:

Khateeb e Mashriq, Munaazir e Ahle Sunnat, Paasbaan e Millat.

Mushtaq Ahmed Nizami ki Wiladat:

Mushtaq Ahmed Nizami ki wilaadat 9 Rabi-ul-awwal 1348 Hijri (15 August 1929 A.D.) ko Phulpur, Allahabad me hui.

Mushtaq Ahmed Nizami ke waalid ka naam Haaji Muharram Ali hai.

10 saal ki umr me darja chahaarum paas karke Allahabad ke Madrasa Subhaaniya me daakhil hue aur Allama Nizaam-ud-deen Balyaawi se ma’aqool wa manqool ki imhaat kitaabo ka aur Saha Sitta ka daur kiya aur Sanad haasil ki.

Madrasa Subhaaniya ke Sadr-ul-Mudarriseen Hazrat Mujaahid-e-Millat Raees-ul-taarikeen Maulana Shaah Mohammad Habeeb-ur-Rahmān Qaadri رحمة الله عليه se bhi Mushtaq Ahmed Nizami ne chand kitaabo ki ta’aleem haasil ki. Aur Hazrat ke mureed hue.

Phir Madrasa Subhaaniya me Mudarris bane.
Phir Madrasa Misbaah-ul-uloom me mudarris bane.
Phir 1 saal tak Madrasa Jaame Habeebiya me mudarris rahe.

Dars-e-Nizaami ke jumla uloom wa funoon me Mushtaq Ahmed Nizami ko mahaarat aur baseerat haasil thi.

Kai bade bade jalso ki kaamyaabi Mushtaq Ahmed Nizami ki shirkat se munhasar hui.
Rabi-ul-awwal 1392 Hijri (May 1972 A.D.) me ‘Al Jaamiatul Ashrafia’ ke bunyaadi jalse me bhi Mushtaq Ahmed Nizami ne shirkat farmai.

Mushtaq Ahmed Nizami ne Allahabad me Daar-ul-Uloom Ghareeb Nawaaz ki bunyaad rakhi aur talba ko Ahle Sunnat wal Jama’at ki ta’aleem wa tadrees jaari rakhi.

Mushtaq Ahmed Nizami ne A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan رحمة الله عليه ki yaad me ek Maktab [library] qaa’im  kiya hai jis me ulama e Ahle Sunnat ki saari kitaaben Ahle qalam ko dastyaab hai.

Mushtaq Ahmed Nizami ne apne tehreer wa taqreer se Deobandi ulama ki be-adabiyo wa be-baakiyo ko radd kiya.

Mushtaq Ahmed Nizami ki ta’aleem se bahot saare log tauba karke phir se Ahle Sunnat wal Jama’at me daakhil hue.

Tasannif :

Mushtaq Ahmed Nizami ki likhi hui mash’hoor kitaaben :

(1) Aqaa’id e Ahle Sunnat

(2) Khutbaat e Nizaami

(3) Khoon ke Aansoo (2 hisse) 

(4) Karbala ka musaafir

(5) Naseem-e-Rahmat

(6) Firdaus-e-Adab

(7) Deoband ka naya deen

(8 ) Ulama-e-Deoband ki Angrez Dosti

(9) Jama’at-e-Islaami ka shish mahel.

Mushtaq Ahmed Nizami ki taqreer me ‘Deobandi bolta hai magar samajhta nahi’ mash’hoor hai.

Mushtaq Ahmed Nizami ki Mureedi aur Khilafat:

Hazrat Mujaahid-e-Millat Maulana Habeeb-ur-Rahmān رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Hujjat-ul-Islaam Muhammad Haamid Raza Khan Bareilwi رحمة الله عليه  aur Hazrat Mufti e aazam e Hind Muhammad Mustafa Raza Khan Bareilwi رحمة الله عليه ne bhi Mushtaq Ahmed Nizami ko khilaafat ata farmai hai.

Mushtaq Ahmed Nizami ka Wisaal:

Mushtaq Ahmed Nizami ka wisaal 9 Rabi-uṡ-Ṡaani 1411 Hijri (29 October 1990 A.D.) ko hua.

Mushtaq Ahmed Nizami ka mazaar Allahabad (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Allama Maulana Mushtaq Ahmed Nizami Allahabadi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.

Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *