Biography of Hazrat Maulana Mufti Sayyed Shaah Rafaqat Hussain Kanpuri رحمة الله عليه | Download Free PDF

Alqaab:

Ameene Shariat, Sher-e-Sunniyat, Mufti-e-Aazam-e-Kanpur.
Aap Hazrat Jalaal-ud-deen Jarhawi رحمة الله عليه ki nasl se hain.

Rafaqat Hussain Kanpuri ki Talimaat:

Rafaqat Hussain Kanpuri ne Maulwi Taahir Hussain se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Phir Jaamia Moeenia, Ajmer me Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazami رحمة الله عليه aur Maulana Hakeen Sayyed Abdul Hayy رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.

Aap ne Kichhauchha me Hazrat Maulana Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan رحمة الله عليه se aur Bareilly me Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan رحمة الله عليه se bhi ta’aleem wa faiz haasil kiya.

Aap azeem Munaazir the. Aap ne Lucknow me Shia firqe ka muqaabala karke unhe shikast di.
Apni ta’aleemaat aur fatawa ke zariye Aap ne Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki hai.

Tasannif :

Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben:
1) Tafseer Surah Baqarah
2) Qadiani Kazzaab
3) Tareeq-e-Hanafia
4) Aurat ki Namaaz

Rafaqat Hussain Kanpuri ki Mureedi aur Khilafat:

Aap Hazrat Maulana Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi رحمة الله عليه, Hazrat Hujjat-ul-Islaam Maulana Muhammad Haamid Raza Khan Bareilwi رحمة الله عليه, aur Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani Razawi رحمة الله عليه ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Rafaqat Hussain Kanpuri ka Wisaal:

Aap ka wisaal 3 Rabi uṡ ṡaani ko hua.
Aap ka mazaar Muzaffarpur (Bihar) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Maulana Mufti Rafaqat Hussain Kanpuri رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *