Table of Contents
ToggleUmmul Mo’mineen Hazrate Umme Salma, Hind رضي الله عنها
Umme Salma ki Wiladat:
Umme Salma ki wilaadat 596 A.D. me Makka me hui.
Umme Salma ke waalid ka naam Abu Umayya Suhail ibn Mugheera al-Makhzumi aur waalida ka naam Atikah bint Amir ibn Rabi’ah hai. Aap ke waalid Quraish ke Banu Makhzum qabeele se hain.
Aap ke waalid ‘Zaad-ur-Rakib’ (the one who provides food to travellers) ke laqab se mash’hoor the.
Pariwaar:
Umme Salma ka nikaah Hazrat Abu Salma, Abdullāh ibn Abdul Asad al-Makhzumi رضي الله عنها se hua jo Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki phuphi Barrah ke bete the.
Abu Salma Abdullāh se aap ke 2 bete aur 2 betiya hue : Salma, Umar, Zainab aur Durra.
Aap as-Saabiqoon al-Awwaloon me shaamil hain.
Ailaan e nabuwwat ke baad Aap ne apne shohar ke saath Islaam apnaaya jab sirf chand log hi musalman hue the. Quraish ne Aap par zulm karna shuru kiya.
3 Nabwi (613 A.D.) me Huzoor ﷺ ke farmaan par Aap ne Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh (qaafile) me 11 musalman mard aur 4 aurte thi.
Kuchh arse baad Musalman Makka waapas aaye to Quraish ne phir se un ko takleef dena shuru kiya.
5 Nabawi (615 A.D.) me Aap ne dusri martaba Habasha (Abyssinia) ki taraf hijrat ki. Muhaajireen ke is giroh [qaafile] me 87 mard aur 17 aurten thi.
Kuchh arse baad Makka waapas aaye to Quraish ne phir se un ko takleef dena shuru kiya.
Jab Huzoor ﷺ ke farmaan par musalman Hijrat karke Yaṡrib [Madeena munawwara] jaane lage tab Aap ke qabeele waalo ne Aap ko rok liya aur Abu Salma ke qabeele waalo ne aap ke bete ko le liya. Chunaanche Abu Salma tanha hi hijrat karke Madeena aa gaye. Baad me Banu Umayya ek shakhs ke samjhaane par qabeele waalo ne Aap ko aazaad kiya aur jab Aap ko apna beta waapas mila to aap bhi hijrat karke Madeena aa gai.
Jab aap Makka se 3 mile door Uṡmaan ibn Talha se mulaaqaat hui. Us waqt woh musalman nahi hue the. Unho ne Aap ko pehchaan liya aur jab pata chala ke Aap tanha Madeena jaa rahi hain to woh aap ki aur bache ki hifaazat ke liye Makka se Madeena tak humraah aaye aur aap ko Quba me Banu Amr ibn Awf ki hifaazat me diya.
Jung e Uhad me Hazrat Abu Salma shadeed jakhmi hue.
Huzoor ﷺ ne Moharram 4 Hijri me Banu Abdul Asad ibn Khuzaymah ke khilaaf Junge Qatan me 150 musalmano ke saath muslim lashkar ke sardaar banaakar bheja. Jung ke dauraan puraane jakhm khul gaye aur un ke haalaat bahot aleel ho gaye aur bistar se uthna bhi mushkil ho gaya.
Abu Salma ne Aap se kaha ke “Huzoor ﷺ ne farmaaya hai ke jab kisi shakhs par koi museebat aaye to use kehna chaahiye ke Inaa lillāhi wa inna ilaihi raajioon [ya’ani Beshak hum ALLĀH hi ke hain aur hum bhi us ki taraf lautkar jaana hai.] Aur yeh dua karni chaahiye ke Aye ALLĀH, Mujhe is museebat se najaat ata farma aur is ke badle mujhe woh ata farma jo mere liye behtar hai jo sirf tu ata kar sakta hai.”
Huzoor ﷺ jab iyaadat ke liye tashreef laaye aur Abu Salma ke liye dua farmai. Huzoor ﷺ ki maujoodgi me Hazrat Abu Salma ka inteqaal hua.
Madeena ke Ansaar ashaaba ne Aap ki madad ki.
Iddat khatm hone ke baad Hazrat Abu Bakr Siddeeq aur Hazrat Umar faarooq رضي الله عنها ne Aap ko nikaah ke liye paighaam bheja to Aap ne inkaar kiya.
Jab Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne Aap ko nikaah ka paighaam bheja to Aap ne arz kiya “Mujhe dar hai ke mujh me aisi aadat ho jis se aap ko naraaz kar du aur ALLĀH ta’ala ke azaab me mubtila ho jaaun aur dusri baat yeh hai ke mere 4 bache hain.” Huzoor ﷺ ne farmaaya “Main ALLĀH ta’ala se dua karunga ke tumhari un aadato ko badal de aur tumhare pariwaar ab mera pariwaar hoga.”
4 Hijri (626 A.D.) me Huzoor ﷺ ke saath Aap ka nikaah hua tab Aap ki umr 29 saal ki thi aur Huzoor ﷺ ki umr 57 saal thi.
Aap bahot ibaadat guzaar aur parhezgaar thi.
Aap Ilm aur Husn e akhlaaq me be-miṡaal thi.
Aap Haafiz e Qur’ān thi.
Aap se 378 ahaadeeṡ marwi hai.
Hazrat Ali ki waalida Hazrate Faatima binte Asad ke inteqaal ke baad Huzoor ﷺ ne Sayyeda Faatima Zahra ki zimmedaari Aap ko ata faramai.
Aayat e Tat’heer Aap ke ghar me naazil hui.
Us waqt Huzoor ﷺ Sayyeda Faatima ke saath Aap ke ghar par tashreef farma the. Unho ne Hazrate Ali, Hazrate Hasan wa Husain ko bhi bulaaya. Aur sab saath milkar khaana khaa rahe the. Tab Hazrate Jibr’eel alaihis salaam ye aayat lekar aaye. Huzoor ﷺ ne Hazrate Ali, Sayyeda Faatima, Hazrate Hasan aur Husain ko apne paas bulaakar chaadar odhaai aur farmaaya “Aye ALLĀH! Ye mere Alhe bait hain. In par tera khaas karam ata farma.”
Umme Salma ranjeeda hui. Huzoor ﷺ ne wajah puchhi to aap ne farmaaya “Aap ne hume alag kar diya.” Huzoor ﷺ farmaaya “Tum bhi Ahle bait me se ho.”
Ek martaba Aap ne Huzoor ﷺ se arz kiya “Ya Rasool-Allāh ﷺ! Qur’ān majeed ki aayaten sirf mardo ke baare me hi naazil hoti hain, aurto ke baare me nahi.” Is par ALLĀH ta’ala ne aayat naazil farmaai (33 Soorah al-Ahzaab, Aayat 35) :
“Beshak musalman mard aur musalman aurte aur mo’min mard aur mo’min aurte aur farmaan bardaar mard aur farmaan bardaar aurte aur sache [sidq waale] mard aur sachi aurte aur sabr waale mard aur sabr waali aurte aur aajizi waale mard aur aajizi waali aurte aur sadqa [khairaat] karne waale mard aur sadqa karne waali aurte aur rozadaar mard aur rozadaar aurte aur apni sharmgaaho ki hifaazat karne waale mard aur hifaazat karne waali aurte aur kasrta se ALLĀH ka zikr karne waale mard aur zikr karne waali aurate ALLĀH ne in sab ke liye bakhshish aur azeem ajr tayyaar farma rakha hai.”
Ek martaba Aap ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh ﷺ! Dunya ki khaatoon afzal hai ya jannat ki hoor?” Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya “Dunya ki khaatoon ko jannat ki hoor par wohi fazeelat haasil hogi jo abre [baahar waala kapda] ko astar [andar waala kapda] par haasil hoti hai.” Umme Salma ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh ﷺ! Uski kya wajah hai?” Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya “Un ki namaaze, roze aur doosri ibaadaten jo unho ne ALLĀH azza wa jall ke liye ki hogi.”
(Tabraani, Majmua-uz-Zawaaid, Juzz e Aashir, Safa -417/418)
Ek martaba Huzoor ﷺ Umme Salma ke makaan me tashreef farma the. Itne me ek shakhs mulaaqaat ke liye aaya. Aap ne Huzoor ﷺ ke saath us shakhs ke saath guftagu ki. Jab woh chala gaya to Huzoor ﷺ ne Aap se puchha “Aap ne us shakhs ko pehchaana?” Aap ne farmaaya “Woh Dihyah al-Kalbi the.” Huzoor ﷺ ne farmaaya “Woh Jibr’eel alaihis salaam the.”
Ek roz Hazrate Husain رضي الله عنها Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ki god me tashreef farma the.
Hazrate Umme Fazl binte Haariṡ رضي الله عنها bhi paas baithi thi. Unho ne dekha ki Huzoor ﷺ ki dono chashmaane mubarak se aansoo beh rahe the.
Hazrate Umme Fazl ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh ﷺ! Yeh aansoo kaise hai?”
To Huzoor ﷺ ne farmaaya ki “Jibr’eel ne mujhe khabar di hai ki mere is bache ko meri ummat qatl kar degi. Jibr’eel ne jaha yeh shaheed hoga us sar-zameen ki surkh mitti laakar mujhe di hai.”
Huzoor ﷺ ne us mitti ko sungha aur farmaaya “Is mitti se mujhe boo e Ard e Taf (Karbala) aati hai.”
Phir wo mitti Huzoor ﷺ ne Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ko de di aur farmaaya “Is mitti ko apne paas rakho jab yeh mitti khoon ban jaaye to samajh lena mera beta shaheed ho gaya.”
Hazrat Umme Salma رضي الله عنها ne us mitti ko ek shishi me band kar liya phir jis din Hazrat Imaam Husain رضي الله عنها Karbala me shaheed hue usi roz yeh mitti band shishi me khoon ban gai.
Huzoor ﷺ ne kai mauqe par Aap se mashwara kiya tha.
Aap Sulah Hudaibiyah ke mauqe par Huzoor ﷺ ke saath thi.
Aap Junge Khaibar, Fateh Makka, Jung e Taa’if, aur dusri jung me Huzoor ﷺ ke saath thi. Hajjatul wida me bhi Aap Huzoor ﷺ ke saath thi. Aap ta’aleem e deen karti thi aur logo ke mas’ale ke faisle bhi farmaati thi.
Umme Salma Riwaayat Farmaati Hain Ki:
Huzoor Rasool-Allāh ﷺ ne farmaaya,
“Kisi musalman ko koi takleef pahunche ya nuqsaan ho to woh yeh dua padh le
Inna lillāhi wa inna ilaihi raajioon Allāhumma ajirni fee museebati wakhlif lee khairam minha.”
[Tarjuma : Beshak hum ALLĀH hi ke hain aur hum bhi us ki taraf lautkar jaana hai. Aye ALLĀH, Mujhe is museebat se najaat ata farma aur is ke badle mujhe woh ata farma jo mere liye behtar hai.]
to ALLĀH ta’ala us musalman ko zaaya-shuda cheez se behtar cheez ataa farmaaega.”
Tamaam Azwaaj e mutahhirat me Aap ka wisaal sab se aakhir me hua
Umme Salma ka Wisaal:
Aap ka wisaal 3 Rabi-uṡ-Ṡaani 64 Hijri (683 A.D.) ko hua.
Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Abu Huraira رضي الله عنها ne padhai.
Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Ummul mo’mineen Hazarte Umme Salma رضي الله عنها aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.