Unki Mahek Ne Dil Ke Lyrics Urdu/English

Unki Mahek Ne Dil Ke Lyrics

Unki Mahek Ne Dil Ke Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Unki mahek ne dil ke gunche khila diye hai
Jis raah chal gaye hain, kooche basa diye hain

Jab aa gayee hai josh e rehmat pe unki ankhen
Jalte bujha diye hain, rote hansa diye hain

Ik dil hamara kya hai, aazaar uska kitna
tum ne to chalte phirte, murde jila diye hain

Unke nisar koi kaise hi ranj mein ho
Jab yaad aa gaye hain, sab gham bhula diye hain

Hum se faqir bhi ab pheri ko uthte honge
Ab to Ghani ke dar par, bistar jama diye hain

Unki mahek ne dil ke gunche khila diye hai
Jis raah chal gaye hain, kooche basa diye hain

Asra mein guzre jis dam bere pe qudsiyon ke
Hone lagi salaami, parcham jhuka diye hain

Aane do ya dubo do ab to tumhari jaanib
Kashti tum hi pe chori, langar utha diye hain

Dulha se itna kehdo pyare sawari roko
Mushkil mein hain baraati, purkhaar baa diye hain

Allah kya jahannam ab bhi na sard hog a
Ro, ro ke Mustafa ne, dariya baha diye hain

Unki mahek ne dil ke gunche khila diye hai
Jis raah chal gaye hain, kooche basa diye hain

Mere Karim se gar qatra kisi ne maanga
Dariya baha diye hain, durbe baha diye hain

Mulk e sukhan ki shahi tum ko Raza musallam
Jis simt aa gaye ho, sikke bitha diye hain

Unki mahek ne dil ke gunche khila diye hai
Jis raah chal gaye hain, kooche basa diye hain

اُن کی مہک نے دِل کے غُنچے کِھلا دئیے ہیں 

جس راہ چل گئے ہیں کُوچے بَسا دیے ہیں


جب آگئی ہیں جوشِ رحمت پہ اُن کی آنکھیں 

جلتے بُجھا دیے ہیں روتے ہنسا دیے ہیں


اِک دل ہمارا کیا ہے آزار اس کا کتنا

تم نے تو چلتے پِھرتے مُردے جِلا دیے ہیں


ان کے نثار کوئی کیسے ہی رنج میں ہو

جب یاد آگئے ہیں سب غم بُھلا دیے ہیں


ہم سے فقیر بھی اب پھیری کو اُٹھتے ہوں گے

اب تو غنی کے دَر پر بِستر جما دیے ہیں


اَسرا میں گزرے جس دم بیڑے پہ قُدسیوں کے

ہونے لگی سَلامی پرچَم جھکا دیے ہیں


آنے دو یا ڈُبو دو اب تو تمہاری جانِب

کَشتی تمہیں پہ چھوڑی لنگر اُٹھا دیے ہیں


دُولہا سے اِتنا کہہ دو پیارے سَواری روکو

مشکل میں ہیں براتی پُرخار بادیے ہیں


اللہ کیا جہنّم اب بھی نہ سَرد ہوگا

رو رو کے مصطفیٰ نے دریا بہا دیے ہیں


میرے کریم سے گر قطرہ کِسی نے مانگا

دریا بہا دیے ہیں دُر بے بہا دیے ہیں


مُلکِ سُخَن کی شاہی تم کو رضاؔ مُسلَّم

جس سِمت آ گئے ہو سِکّے بٹھا دیے ہیں

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *