Shore Mahe Nau Sun Kar Lyrics Urdu/English

Shore Mahe Nau Sun Kar Lyrics

Shore Mahe Nau Sun Kar Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Shore Mahe Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya

Is gul ke siwa har phool ba gosh e giraan aaya
Dekhe hi gayee aay bulbul jab waqt e fughaan aaya

Jab baam e tajalli par woh nayyar e jaan aaya
Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapaan aaya

Shore Mahe Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya

Jannat ko Haram samjha aate to yahan aaya
Ab tak ke har ek ka munh kehta hoon kahaan aaya

Taiba ke siwa sab baagh paa maal e fanaa honge
Dekhoge chaman waalo jab ‘ahd e khizaan aaya

Shore Mahe Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya

Sar aur woh sang e dar aankh aur woh bazm e noor
Zaalim ko watan ka dhyaan aaya to kahaan aaya

Kuch na’at ke tabqe ka ‘aalam hi niraala hai
Sakte mein pari hai aql chakkar mein gumaan aaya

Shore Mahe Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya

Jalti thi zameen kaisi thee dhoop kari kaisi
Lo woh qad e be saaya ab saaya kinan aaya

Taiba se ham aate hain kahiye to jinan waalo
Kya dekh ke jeeta hai jo waan se yahan aaya

Shore Mahe Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya

Le toq e alam se ab aazad ho aay qumri
Chithi liye bakhshish ki woh sarwe rawaan aaya

Naamah se Raza ke ab mit jaao bure kaamo
Dekho mere palle par woh ache miyaan aaya

Shore Mahe Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya

Badkaar Raza khush ho badkaam bhale honge
Woh ache miyaan pyaara achon ka miyaan aaya

Shore Mahe Nau Sun Kar Tujh Tak Main Dawaan Aaya
Saaqi mai tere sadqe mai de Ramadaan aaya

شورِ مہِ نو سن کر تجھ تک میں دَواں آیا

ساقی میں ترے صدقے مے دے رمضاں آیا


اس گل کے سوا ہر پھول باگوش گراں آیا

دیکھے ہی گی اے بلبل جب وقتِ فغاں آیا


جب بامِ تجَلّی پر وہ نیّرِ جاں آیا

سر تھا جو گرا جھک کر دل تھا جو تپاں آیا


جنّت کو حَرم سمجھا آتے تو یہاں آیا

اب تک کے ہر اک کا منھ کہتا ہوں کہاں آیا


طیبہ کے سوا سب باغ پامالِ فنا ہوں گے

دیکھو گے چمن والو! جب عَہْدِ خزاں آیا


سر اور وہ سنگِ در آنکھ اور وہ بزمِ نور

ظالم کو وطن کا دھیان آیا تو کہاں آیا


کچھ نعت کے طبقے کا عَالم ہی نرالا ہے

سکتہ میں پڑی ہے عقل چکر میں گماں آیا


جلتی تھی زمیں کیسی تھی دھوپ کڑی کیسی

لو وہ قدِ بے سایہ اب سایہ کناں آیا


طیبہ سے ہم آتے ہیں کہیے تو جناں والو

کیا دیکھ کے جیتا ہے جو واں سے یہاں آیا


لے طوقِ اَلم سے اَب آزاد ہو اے قُمری

چٹھی لیے بخشِش کی وہ سَروِ رواں آیا


نامہ سے رضاؔ کے اَب مٹ جاؤ بُرے کامو

دیکھو مِرے پلّہ پَر وہ اَچھے میاں آیا


بدکار رضاؔ خوش ہو بدکام بھلے ہوں گے

وہ اَچھے میاں پیارا اَچھوں کا میاں آیا

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *