Arsh Ki Aql Dang Hai Lyrics
By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan
Arsh ki aql dang hai charkh mein aasmaan hai
Jaan e muraad ab kidhar haaye tera makaan hai
Bazm e sanaa e zulf mein meri ‘uroos e fikr ko
Saari bahaar e hasht khuld chhota sa ‘itr daan hai
Arsh pe jaa ke murgh e aql thak ke gira ghash aa gaya
Aur abhi manzilon pare pehla hi aastaan hai
Arsh ki aql dang hai charkh mein aasmaan hai
Jaan e muraad ab kidhar haaye tera makaan hai
Arsh pe taazah cher chaar farsh mein tarfa dhoom dhaam
Kaan jidhar lagaaiye teri hi daastan hai
Ik tere rukh ki roshni chain hai do jahaan ki
Ins ka uns usi se hai jaan ki woh hi jaan hai
Arsh ki aql dang hai charkh mein aasmaan hai
Jaan e muraad ab kidhar haaye tera makaan hai
Woh jo na the to kuch na tha woh jo na ho to kuch na ho
Jaan hai woh jahaan ki jaan hai to jahaan hai
Gaud mein ‘aalam e shabaab haal e shabaab kuch na pooch
Gulbun e baagh e Noor ki aur hi kuch utthaan hai
Arsh ki aql dang hai charkh mein aasmaan hai
Jaan e muraad ab kidhar haaye tera makaan hai
Tujh sa siyaahkaar kaun un sa shafi’ hai kahaan
Phir woh tujhi ko bhool jaayein dil ye tera gumaan hai
Pesh e nazar wo nau bahaar sajde ko dil hai be qaraar
Rokiye sar ko rokiye haan yahi imtehaan hai
Arsh ki aql dang hai charkh mein aasmaan hai
Jaan e muraad ab kidhar haaye tera makaan hai
Shaan e Khuda na saath de unke kheraam ka woh baaz
Sidrah se taa zameen jise narm si ek uraan hai
Baare jalaal utthaa liya garche kalejaa shaq huwa
Yoon to ye maah e sabzah rang nazron mein dhaan paan hai
Khauf na rakh Raza zara tu to hai ‘abd e ‘Mustafa
Tere liye amaan hai tere liye amaan hai
Arsh ki aql dang hai charkh mein aasmaan hai
Jaan e muraad ab kidhar haaye tera makaan hai
عرش کی عقل دنگ ہے چرخ میں آسمان ہے
جانِ مُراد اب کدھر ہائے تِرا مکان ہے
بزمِ ثنائے زُلف میں میری عروسِ فکر کو
ساری بہارِ ہشت خلد چھوٹا سا عِطر دان ہے
عرش پہ جا کے مرغِ عقل تھک کے گِراغش آ گیا
اور ابھی منزلوں پَرے پہلا ہی آستان ہے
عرش پہ تازہ چھیڑ چھاڑ فرش میں طُرفہ دُھوم دَھام
کان جِدھر لگائیے تیری ہی داستان ہے
اِک ترے رُخ کی روشنی چین ہے دو جَہان کی
اِنس کا اُنس اُسی سے ہے جان کی وہ ہی جان ہے
وہ جو نہ تھے تو کچھ نہ تھا وہ جو نہ ہوں تو کچھ نہ ہو
جان ہیں وہ جہان کی جان ہے تو جہان ہے
گود میں عالمِ شباب حالِ شباب کچھ نہ پوچھ!
گلبنِ باغِ نور کی اور ہی کچھ اُٹھان ہے
تجھ سا سِیاہ کار کون اُن سا شفیع ہے کہاں
پھر وہ تجھی کو بُھول جائیں دِل یہ تِرا گمان ہے
پیشِ نظر وہ نو بہار سجدے کو دِل ہے بے قرار
روکیے سر کو روکیے ہاں یہی امتحان ہے
شانِ خدا نہ ساتھ دے اُن کے خرام کا وہ باز
سدرہ سے تا زمیں جسے نرم سی اِک اُڑان ہے
بارِ جلال اُٹھا لیا گرچہ کلیجا شق ہُوا
یُوں تو یہ ماہِ سبزہ رنگ نظروں میں دھان پان ہے
خوف نہ رکھ رضاؔ ذرا تو تو ہے عَبدِ مصطفٰی
تیرے لئے اَمان ہے تیرے لئے اَمان ہے
Pingback: 100+ Ala Hazrat Naat Lyrics in Urdu and English | Hadaiq e Bakhshish Lyrics - Islamic Images