Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad hai nafs ki badi se
Din bhar khelon mein khaak urraayi
Laaj aayi na zarron ki hansi se
Shab bhar sone hi se garaz thi
Taaron ne hazaar daant peese
Imaan pe maut behtar ow nafs
Teri naapaak zindagi se
Oo shahad numa e zehar dar jaam
Gum jaaoon kidhar teri badi se
Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad hai nafs ki badi se
Gahre pyaare pooraane dil soz
Guzra mein teri dosti se
Tujh se jo uthaaye maine sadme
Aise na mile kabhi kisi se
Uff re khud kaam e be murawwat
Parta hai kaam aadmi se
Tune hi kiya Khuda se naadim
Tune hi kiya khajil Nabi se
Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad hai nafs ki badi se
Kaise Aaqa ka hukm taala
Ham mar mite teri khud sari se
Aati na thi jab badi bhi tujh ko
Hum jaante hai tujhe jabhi se
Had ke laazim sitam ke kattar
Pathhar sharmaye tere jee se
Hum khaak mein mil chuke hain kab ke
Nikaala na ghubaar tere jee se
Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad hai nafs ki badi se
Hai zaalim mein niba hun tujh se
Allah bachaaye us ghari se
Jo tum ko na jaanta ho Hazrat
Chaalain chaliye us ajnabi se
Allah ke saamne woh gun the
Yaaron mein kaise muttaqi se
Rehzan ne loot li kamayi
Fariyaad hai khizr e hashmi se
Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad hai nafs ki badi se
Allah kuwe mein khud gira hun
Apni naalish karun tujhi se
Hain pusht panaah Ghaus e Aazam
Kyun darte ho tum Raza kisi se
Allah Allah Ke Nabi Se
Fariyaad hai nafs ki badi se
اللہ اللہ کے نبی سے
فریاد ہے نفس کی بدی سے
دِن بھر کھیلوں میں خاک اُڑائی
لاج آئی نہ ذرّوں کی ہنسی سے
شب بھر سونے ہی سے غرض تھی
تاروں نے ہزار دانت پیسے
ایمان پہ مَوت بہتر او نفس
تیری ناپاک زندگی سے
او شہد نمائے زہر دَر جام
گُم جاؤں کدھر تِری بدی سے
گہرے پیارے پرانے دِل سوز
گزرا میں تیری دوستی سے
تجھ سے جو اٹھائے میں نے صَدمے
ایسے نہ مِلے کبھی کسِی سے
اُف رے خودکام بے مروّت
پڑتا ہے کام آدمی سے
تُو نے ہی کیا خدا سے نادِم
تُو نے ہی کیا خجِل نبی سے
کیسے آقا کا حکم ٹالا
ہم مر مِٹے تیری خودسری سے
آتی نہ تھی جب بدی بھی تجھ کو
ہم جانتے ہیں تجھے جبھی سے
حد کے ظالم سِتم کے کٹّر
پتھر شرمائیں تیرے جی سے
ہم خاک میں مل چکے ہیں کب کے
نکلا نہ غبار تیرے جی سے
ہے ظالم! میں نِباہوں تجھ سے
اللہ بچائے اُس گھڑی سے
جو تم کو نہ جانتا ہو حضرت
چالیں چلیے اس اَجنبی سے
اللہ کے سَامنے وہ گن تھے
یاروں میں کیسے متقی سے
رہزن نے لُوٹ لی کمائی
فریاد ہے خضر ہاشمی سے
اللہ کنوئیں میں خود گِرا ہوں
اپنی نالِش کروں تجھی سے
ہیں پُشت پناہ غوثِ اعظم
کیوں ڈرتے ہو تم رضاؔ کسی سے
Pingback: 100+ Ala Hazrat Naat Lyrics in Urdu and English | Hadaiq e Bakhshish Lyrics - Islamic Images