Utha do parda dikha do chehra ke Noor e Baari hijaab mein hai
Zamaana taareek ho raha hai ke mehr kab se niqaab mein hai
Nahin woh meethi nigaah waala Khuda ki rehmat hai jalwa farma
Ghazab se unke Khuda bachaaye jalaal e baari ‘etaab mein hai
Jali jali bu se uski paida hai sozish e ‘ishq e chashme waala
Kabaab e aahu me bhi na paaya mazah jo dil ke kabaab mein hai
Unheen ki bu maaya e saman hai unheen ka jalwa chaman chaman hai
Unheen se gulshan mehek rahe hain unheen ki rangat gulaab mein hai
Teri julu mein hai maah e Taibah hilaal har marg o zindagi ka!
haiaat jaan ka rikaab mein hai mamaate aa’da ka daab mein hai
Siyaah libaasaan e daar dunya wa sabz poshaan e ‘arshe aa’laa
Har ik hai unke karam ka pyaasa ye faiz unki janaab mein hai
Woh gul hai lab haaye naazuk unke hazaaron jharte hain phool jinse
Gulaab gulshan mein dekhe bulbul yeh dekh gulshan gulaab mein hai
Utha do parda dikha do chehra ke Noor e Baari hijaab mein hai
Zamaana taareek ho raha hai ke mehr kab se niqaab mein hai
Jali hai soz e jigar se jaan tak hai taalib e jalwa e mubaarak
Dikha do wo lab ke aab e haiwaan ke lutf jinke khitaab mein hai
Khare hain Munkar Nakeer sar par na koi haami na koi yaavar!
Bataa do aakar mere Payambar ke sakht mushkil jawaab mein hai
Khuda e qahhaar hai ghazab par khule hein bad kaariyon ke daftar
Bachaa lo aa kar shafi’ e mehshar tumhaara bandah ‘azaab mein hai
Kareem aisa mila ke jiske khule hain haath aur bhare khazaane
Batao aay mufliso! keh phir kyun tumhaara dil izteraab mein hai
Gunaah ki taareekiyaan ye chaayien umand ke kaali ghataaein aaein
Khuda kay khursheed mehr farmaa ke zarra bas izteraab mein hai
Kareem apne karam ka sadqa la eeme be qadr ko na sharmaa
Tu aur Raza se hisaab lena Raza bhi koi hisaab mein hai
Utha do parda dikha do chehra ke Noor e Baari hijaab mein hai
Zamaana taareek ho raha hai ke mehr kab se niqaab mein hai
اُٹھا دو پردہ دِکھا دو چہرہ کہ نُورِ باری حجاب میں ہے
زمانہ تاریک ہو رہا ہے کہ مہر کب سے نقاب میں ہے
نہیں وہ میٹھی نگاہ والا خدا کی رحمت ہے جلوہ فرما
غضب سے اُن کے خدا بچائے جلال باری عِتاب میں ہے
جلی جلی بُو سے اُس کی پیدا ہے سوزش عشقِ چشم والا
کبابِ آہُو میں بھی نہ پایا مزہ جو دل کے کباب میں ہے
اُنہیں کی بُو مایۂ سمن ہے اُنہیں کا جلوہ چمن چمن ہے
اُنہیں سے گلشن مہک رہے ہیں اُنہیں کی رنگت گُلاب میں ہے
تِری جِلو میں ہے ماہِ طیبہ ہلال ہر مرگ و زندگی کا!
حیاتِ جاں کا رکاب میں ہے مماتِ اعدا کا ڈاب میں ہے
سیہ لباسانِ دار دنیا و سبز پوشانِ عرش اعلیٰ
ہر اِک ہے ان کے کرم کا پیاسا یہ فیض اُن کی جناب میں ہے
وہ گل ہیں لب ہائے نازک ان کے ہزاروں جھڑتے ہیں پھول جن سے
گلاب گلشن میں دیکھے بلبل یہ دیکھ گلشن گلاب میں ہے
جلی ہے سوز جگر سے جاں تک ہے طالب جلوۂ مُبارک
دکھا دو وہ لب کہ آب حیواں کا لطف جن کے خطاب میں ہے
کھڑے ہیں مُنْکَر نَکِیْر سر پر نہ کوئی حامی نہ کوئی یاور!
بتا دو آ کر مِرے پیمبر کہ سخت مشکِل جواب میں ہے
خدائے قہّار ہے غضب پر کُھلے ہیں بدکاریوں کے دفتر
بچا لو آکر شفیعِ محشر تمہَارا بندہ عذاب میں ہے
کریم ایسا مِلا کہ جس کے کُھلے ہیں ہاتھ اور بھرے خزانے
بتاؤ اے مفلِسو! کہ پھر کیوں تمہارا دل اِضطراب میں ہے
گنہ کی تاریکیاں یہ چھائیں اُمنڈ کے کالی گھٹائیں آئیں
خدا کے خورشید مہر فرما کہ ذرّہ بس اِضطراب میں ہے
کریم اپنے کرم کا صدقہ لئیمِ بے قدر کو نہ شرما
تُو اور رضاؔ سے حساب لینا رضاؔ بھی کوئی حساب میں ہے