Table of Contents
ToggleHazrat Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه
Aap ki wilaadat :
Aap ki wilaadat 520 Hijri (1126 A.D.) me Seville ke qareeb Cantillana (Andalusia) me hui.
Aap ke waalid ka naam Husain al-Ansaari hai.
Aap ka pariwaar bahot ghareeb tha.
Aap bachpan me hi yateem ho gaye.
Bade hokar Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne kapde bunne ka kaam sikhkar shuru kiya.
Magar Aap ke bhai Aap ko jaanwar charaane bhejte the. Aap kisi ko tilaawate Qur’ān karte sunte to Aap bahot ranj hota ke kaash main bhi Qur’ān ki tilaawat karna jaanta hota.
Ek martaba Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne waha se bhaagne koshish ki magar aap ke bhai ne Aap ko pakad liya aur apna neja aage karke kaha “Agar phir se tum ne bhaagne ki koshish ki to main tumhe jaan se maar dunga.” Kuchh din baad Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne dobaara raat ko bhaagne ki koshish ki magar subah hone se pehle aap ke bhai ne Aap ko pakad liya aur talwaar se Aap par hamla kiya.
Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne khud ko bachaane ke liye ek lakdi uthaai. Jaise hi talwaar us lakdi se takraai to wo talwaar toot gai aur ALLĀH ta’ala ke fazl se Aap mehfooz rahe. Yeh dekhkar Aap ke bhai ne Aap ko chhod diya.
Phir Aap Marrakech gaye aur waha lashkar me shaamil hue aur shaher ki hifaazat ka kaam karne lage.
Magar Aap ko ilm ki aisi talab thi ke Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne Qur’ān majeed ki aur deegar bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Phir Aap Fes aaye aur Hazrat Abu Yaaza Yalnoor, Hazrat Abul Hasan Ali ibn Harzihim aur Hazrat Abu Abdullāh al-Daqqaq رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.
Shaikh Abu Madyan, Shoaib Ansaari al Maghribi رحمة الله عليه ne Hazrat Muhammad al-Ghazaali رحمة الله عليه ki kitaabo ki ta’aleem haasil ki.
Aap Hazrat Shaikh Ali ibn Harzihim رحمة الله عليه ki khidmat me rehkar ibaadat wa riyaazat karte rahe.
Phir Aap safar karke Makka mukarrama tashreef laaye. Yaha Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Sayyed Shaikh Muhiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki sohbat me rehkar faiz wa ta’aleem haasil ki.
Phir Aap Bejaia (Algeria) tashreef laaye. Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne ek khaanqaah ‘Rabitat az-Zayyat’ ta’ameer ki aur ibaadat wa riyaazat karte rahe aur logo ta’aleem wa tadrees karte rahe. Log Aap ki mehfil me wa’az aur taqreer sunne ke liye aur Aap ki baargaah se faiz haasil karne aane lage.
Jab Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Baghdad me farmaaya ke “Qadami haazee hi ala raqabati kulli Waliyillāh ya’ni Mera qadam tamaam Auliya Allāh ki gardano par hai” tab Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne Dayaare Maghrib me apni gardan jhuka li aur kehne lage ke “Ilahi! Main tujh ko is baat par gawaah karta hu ke maine un ka qaul suna hai aur un ki itaa’at karta hu.”
Aap Ghauṡ-e-zamaan, Aarif billāh, aur Imaam-ul-Asfiya the.
Aqwaal :
Aap irshaad farmaate hain ke
(1) Soofi ke liye har waqt sirf Mujaahida aur Muraaqaba hi zaroori nahi balke logo se ta’alluq rakhna aur un ko ta’aleem dena bhi zaroori hai.
(2) Nafsaani khwaahisaat aur takabbur roohaani kaamyaabi me rookaawat banti hai. Is ke khilaaf sab se muṡir hathiyaar Nafs ko bhuka rakhna hai. Chunaanche Roza ke zariye nafs kamzor karke kaamyaabi haasil karo.
(3) Gunaahgaar ki Nadaamat Ibaadat guzaar ke Ghuroor se behtar hai.
(4) Insaan ka qalb jab ek simt rooju karta hai to us ke liye dusri tamaam simt par parda ho jaata hai.
Tasannif :
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Bidaayt-ul-Mureedeen
(2) Uns-ul-Waheed
(3) Tuhfat-ul-Areeb
(4) Deewaan.
Aap ki Karaamat:
(1) Ek roz Aap dariya ke kinaare par jaa rahe the ke Firangi kaafiro ke giroh ne Aap ko giraftaar kar liya aur ek kashti me bithane lage. Us kashti me kuchh aur Musalman bhi qaidi the. Jab Aap kashti par baithe to kaafiro ne jaane ke liye kashti ke baadhaan (rassiya) khole.
Un logo ne bahot koshish ki magar kashti apni jagah se zarra bhar bhi na hil saki jab ke hawa bahot tez thi. Wo Aap ka martaba jaan gaye. Unho ne Aap ko kashti se utaara aur jaane ke liye kaha. Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne farmaaya ke “Jab tak tum log in sab musalmano ko rihaa nahi karoge main hargiz kashti se baahar nahi jaaunga.”
Aakhir kaar un kaafiro ne sab Musalmano ko chhod diya. Us ke baad kashti chalne lagi.
(2) Ek din Aap samundar ke kinaare baithkar wuzu kar rahe the. Aap ki angoothi paani me gir gai. Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne bargaahe Rab me dua ki ke “Ya Rab! Meri Angoothi mujhe waapas de de.”
Foran samundar se ek machhli apne munh me Aap ki angoothi lekar zaahir hui. Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه ne us se apni angoothi le li aur machhli waapas paani me chali gai.
Aap ki Mureedi aur Khilafat:
Aap Hazrat Shaikh Ali ibn Harzihim رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ, Hazrat Shaikh Abu Saeed Andalusi رحمة الله عليه, Abu Ayyoob ibn Abi Sa’eed al-Sanhaji al-Armuzi, Hazrat Shaikh Abu Abdullāh al-Daqqaq رحمة الله عليه ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap se ‘Maghribi’ silsila jaari hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Abu Mohammad Saalih al-Majiri رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Mohammad ibn Qaasim al-Tameemi رحمة الله عليه,
(3) Hazrat Abdur Rahmān Attaar az-Zayyaat al-Madani رحمة الله عليه,
(4) Hazrat Abu Abdullāh Mohammad ibn Harzihim al-Quraishi رحمة الله عليه,
(5) Hazrat Abdur Razzaaq al-Jazuli رحمة الله عليه,
(6) Hazrat Malik Baqqiwi Rifa’i رحمة الله عليه,
(7) Hazrat Yousuf al-Qumi رحمة الله عليه,
(8) Hazrat Sayyed Jamaal-ud-deen Muhammad bin Ali Ba-Alawi رحمة الله عليه.
Aap ki shohrat badhne lagi to Al-Mohad khalifa Ya’aqoob al-Mansoor ne Aap ko Marrakech apne darbaar me bulaaya. Raaste me Aap beemaar hue aur Yasser nadi ke qareeb inteqaal farmaaya.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 28 Moharram 594 Hijri (10 December 1197 A.D.) me hua.
Aap ka mazaar al-Ubbad, Tlemcen (Algeria) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Abu Madyan Shoaib Ansari al Maghribi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.