Biography of Hazrat Maulana Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismail Hasan urfe Shahji Miya Barkaati رحمة الله عليه | Download Free PDF

Aap ki Wiladat :

Aap ki wiladat 3 Moharram 1272 Hijri (16 September 1855 A.D.) ko Marehra me hui.

Maulana Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismail Hasan urfe Shahji Miya Barkaati رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Mohammad Saadiq bin Sayyed Shaah Aulaade Rasool Marehrawi رحمة الله عليه hai.
Aap Husaini saadaat hain.

Aap ne Maulana Abdul Qaadir Badayuni رحمة الله عليه se ta’aleem haasil ki.

Pariwaar:

Maulana Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismail Hasan urfe Shahji Miya Barkaati رحمة الله عليه ke 1 saahbzaade aur 1 saahabzaadi hain.
Saahabzaade:
Taaj-ul-Ulama Sayyed Shaah Aulaade Rasool Mohammad Miyan.
Saahabzaadi:
Sayyeda Ikraam Faatima Shahar Banu (Jin ka nikaah Sayyed Shaah Aale Ibaa Basheer Haidar Marehrawi se hua).

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Aap (apne naana) Hazrat Ameer-e-aalam Sayyed Shaah Ghulaam Mohiy-ud-deen ke mureed hain.
(Maulana Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismail Hasan urfe Shahji Miya Barkaati رحمة الله عليه ke waalid) Hazrat Sayyed Shaah Mohammad Saadiq رحمة الله عليه aur Hazrat Sayyed Abul Husain Ahmad-e-Noori Miyan رحمة الله عليه ne Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Maulana Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismail Hasan urfe Shahji Miya Barkaati رحمة الله عليه ke khulfa :

(1) Hazrat Taaj-ul-Ulama Mufti Sayyed Shaah Aulaade Rasool Mohammad Miyan رحمة الله عليه,
(2) Hazrat Ahsan-ul-Ulama Sayyed Shaah Mustafa Haidar Hasan Barkaati رحمة الله عليه,
(3) Hazrat Sayyed-ul-Ulama Sayyed Aale Mustafa Marehrwi رحمة الله عليه.

Aap ka Wisaal:

Aap ka wisaal 1 Safar 1367 Hijri (16 December 1947 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

Allah ﷻ us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Maulana Sayyed Shaah Ismāeel Hasan urfe Shaah Ji Miyan Barkaati رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *