Biography of Hazrat Sayyed Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Sayyed Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati رحمة الله عليه

Laqab:

Ahsan-ul-Ulama.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ki Wiladat:

Aap ki wiladat 10 Sha’abaan 1345 Hijri (13 February 1927 A.D.) ko Itwaar ko Marehra me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Aale Ibaa Basheer Haidar bin bin Sayyed Husain Haidar Barkaati رحمة الله عليه aur waalida ka naam Ikraam Faatima Shahar Banu binte Sayyed Shaah Abul Qaasim Ismāeel Hasan Barkaati hai.

Aap Husaini saadaat hai.

Aur Hazrat Sayyed Zaid bin Imaam Zain-ul-Aabideen رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki nasl se hain

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ki Talimaat:

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ne Madrasa Qaasim-ul-Barkaat, Marehra me ta’aleem haasil ki.
Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati Haafize Qur’an hue aur Faarsi ki ta’aleem haasil ki.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ne apne maamu Hazrat Taaj-ul-Ulama Mufti Sayyed Shaah Aulaade Rasool Mohammad Miyan رحمة الله عليه se majeed ta’aleem haasil ki.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ne Hazrat Khaleel-ul-Ummat Allama Maulana Mufti Mohammad Khaleel Khan Barkaati رحمة الله عليه se Ilme Nahaw, Ilme Istadalaal aur deegar kai uloom ki ta’aleem haasil ki.

Hazrat Taaj-ul-Ulama Taqreeri jalse ke liye safar par jaate to Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ko apne saath le jaate.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati bahot hi aala aur umda Khateeb wa Muqarrir the.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ne ta’aleem wa faiz ke zariye Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki hai.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati bade achhe Shaa’ir bhi the. Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ne kai Na’at e paak wa Manqabat likhi hai.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati apni guftagu me bich bich me Anvari, Khaaqani, Sauda, Meer Taqi Meer, Meer Dard, Aala Hazrat aur Marehra ke Sho’ara ke Sher bhi hasbe mauqa padha karte the.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati paabande shariat the aur har amal sunnate Rasool ke mutaabiq karte.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati hamesha saadgi pasand farmaate aur apne kaam me ya kisi se mulaaqaat me waqt ki paabandi ka khayaal rakhte.

Ulama aur buzurgo ka ehtaraam karte.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati Khaanqaah ke khuddaam, Imaam aur Muazzin ka khaas khayaal rakhte. Un ko tohfe dete the aur un ke bacho ko khilaune dete the.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ki baargaah me aane waalo ko imdaad farmaate.
Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati raat me uthkar fajr ki azaan tak Waza’if padhte.
Subah ko naasta karne ke baad mureedo aur moataqido ke khato ke jawaab likhte.

Qaul:

Sabr aur Taqwa apnaao. Khud ki roohaani taraqqi ka khayaal rakho. Apna har qaul wa fail shariat ke mutaabiq karo. ALLĀH aur us ke Rasool ke sache ghulaam ban jaao. Isi me sachi kaamyaabi aur najaat hai. Isi se musalman zulm o sitam se hifaazat paa sakte hain aur aakhirat ke azaab se bhi najaat paa sakte hain

Tasannif:

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ki likhi hui mash’hoor kitaaben:

(1) Dawa e Dil (Ahle Sunnat ke Aqaa’id ka bayaan aur daleel aur baatini kharaabi ko door karke Ahle Sunnat ke tareeqe par qaa’im rehne ka faa’ida)

(2) Madaah e Murshid (Masha’ikh e Marehra ki shaan me mukhtalif Shoara ki likhi hui Manqabat ka majmua)

Majmua e Mazaameen’ me kai mauzu par Aap ki ta’aleemaat ko jama kiya gaya hai.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ki Karaamat:

(1) Ek martaba Aap ke ek mureed ke ghar me kuch chor daakhi hue. Us mureed ki aankh khui to chor ko dekhkar ghabharaaya aur kehne laga ‘Ya Peer Hasan Miyan al-Madad.’ Yeh sunkar woh chor kuchh bhi liye baghair waha se chale gaye.

(2) Aap ke ek mureed ne Aap ki baargaah me arz ki ke us ka Passport aur Visa ke kaam me kuchh pareshaani hai. Aap ne apni ungli se us ki peshaani par kuchh likha aur farmaaya ‘Jaao, tumhara kaam ho gaya hai.’ Jab woh Paasport office gaya to jo afsar us ki arzi na-manzoor kar raha tha usi ne manzoor kar liya aur usi din us ka Passport bana diya.

(3) Maulana Basheer Ahmad Barkaati bayaan karte hain ki

“Masjide Orai ki bagal me ek Peepal ka ped tha, jis ki ek shaakh masjid ki sahen me aa gai thi aur masjid ko badhaane ke kaam me rookaawat paida kar rahi thi. Magar log is ko kaatne se dar rahe the ke kahi Hinduo ke saath fasaad na ho jaaye.

Ek martaba Hazrat Ahsan-ul-Ulama tashreef laaye to logo ne is mas’ale ke baare me baat ki. Aap us peepal ke ped ke paas tashreef le gaye aur us shaakh par apna daste mubarak phera aur irshaad farmaaya ke tum kyun ALLĀH ki raah me rookaawat ban rahe ho? Usi deen se woh shaakh sookhne lagi aur kuchh hi din me woh sukhkar ped se alag hokar neeche gir gai.”

(4) Ek martaba Abdul Waahid naami aap ke ek mureed Aap ki baargaah me aaye to Aap ne un se puchha “Tumhara beta kaisa hai?” Unho ne arz kiya “Huzoor! Maasha Allāh mera beta bilkul theek hai.”

Kuchh der baad dobaara Aap ne un se yehi sawaal puchha aur unho ne wohi jawaab diya. Kuchh der baad Aap ne un se farmaaya “Apne ghar jaao aur dekho ke bacha kya kar raha hai.” Abdul Waahid foran apne ghar gaye to dekha ke un ke bete ko tez bukhaar hai aur un ki biwi bache ko chup karaane ki koshish kar rahi hai. Ye dekhkar woh jaan gaye ke hazrat khaanqaah me baithkar bhi apne mureed ke ghar ke haal ki khabar rakhte hain.

Pariwaar:

Aap ka nikaah Sayyeda  Mehboob Faatimah binte Sayyed Is’hāq Sitapuri se hua.
Aap ke 4 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :

(1) Sayyed Muhammad Ameen Miyan (Sajjaada nasheen)

(2) Sayyed Muhammad Ashraf miyan

(3) Sayyed Muhammad Afzal miyan

(4) Sayyed Muhammad Najeeb Haidar

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ki Mureedi aur Khilafat:

Aap (apne naana) Hazrat Sayyed Shaah Ismāeel Hasan urfe Shaah Ji Miyan Barkaati رحمة الله عليه ke mureed aur khalifa hain.

(Aap ke maamu) Hazrat Taaj-ul-Ulama Mufti Sayyed Shaah Aulaade Rasool Mohammad Miyan رحمة الله عليه ne bhi (1362 Hijri me) Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ke khulfa:

(1) Hazrat Ameen-e-Millat Dr. Sayyed Muhammad Ameen Miyan Barkaati

(2) Hazrat Rafeeq-e-Millat Sayyed Muhammad Najeeb Haidar Barkaati

(3) Hazrat Sharf-e-Millat Sayyed Muhammad Ashraf miyan Barkaati

(4) Hazrat Sayyed Shaah Zia-ud-deen Barkaati

(5) Hazrat Soofi Nizaam-ud-deen Barkaati  

(6) Hazrat Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi رحمة الله عليه

(7) Hazrat Mufti Jalaal-ud-deen Ahmad Amjadi رحمة الله عليه

(8) Hazrat Bahr-ul-Uloom Allama Abdul Mannaan Aazmi

(9) Hazrat Taaj-ush-Shariah Allama Mufti Akhtar Raza Khan Bareilwi رحمة الله عليه

(10) Hazrat Maulana Ghulaam Rabbaani Fa’iq

(11) Hazrat Allama Maulana Sub’hān Raza khan

(12) Hazrat Maulana Jamaal Raza Khan

(13) Hazrat Munshi Abdul Qadeer Urfe Phool Khan رحمة الله عليه

(14) Hazrat Mufti Abu Hammaad Ahmad Miyan barkaati

(15) Hazrat Mufti e Aazam Sindh Khaleel Ahmad Barkaati رحمة الله عليه

(16) Hazrat Maulana Ismāeel Jaani

(17) Hazrat Qaari Amaanat Rasol 

(18) Hazrat Mufti Jaish Muhammad 

(19) Hazrat Haaji Abdul Ghaffaar Noori Baaba (Indore)

(20) Hazrat Mufti Lutfullāh (Mathura)

(21) Hazrat Mufti Sayyed Muhammad Aarif (Naanpara)

(22) Hazrat Mufti Muzaffar Ahmad Daata-ganjawi رحمة الله عليه

(23) Hazrat Maulna Sakhaawat Ali (Maghar).

Wisaal ke ek mahine pehle Aap beemaar hue aur G.B. Panth Hospital, Delhi me Aap ka ilaaj karaya gaya.

Apne Wisaal se pehle Aap ne apne saahabzaado se muskurakar farmaaya ‘Hum chale piya ke des.’

Hazrat Ameen-e-Millat se Ghauṡe aazam ki shaan me Manqabat suni.

Hazrat Sharf-e-Millat se Tilawat-e-Quran sama’at farmaai.

Aur sab se farmaaya ke ‘Maslak e Aala Hazrat par mazbooti se qaaim rehhna.’

Apne khaadim-e- khaas Akbar Barkaat se chehre par paani malne ko kaha.

Phir Khud ko sidha kiya aur ‘Ya ALLĀH Ya Rahmān Ya Raheem’ padha aur intiqaal farmaaya.

Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati ka Wisaal:

Aap ka wisaal 15 Rabi uṡ Ṡaani  1416 Hijri (11 September 1995 A.D.) ko raat ko 8 : 40 baje hua.
Aap ke jisme aqdas ko Ambulance me Delhi se Marehra laaya gaya.

Aap ki namaaz e janaaza aap ke bhatije Hazrat Sayyed Aale Rasool Hasnain miyan urfe Nazmi miyan رحمة الله عليه ne padhai.

Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Ahsan-ul-Ulama Sayyed Shah Mustafa Hasan Haidar Barkaati رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle Bait ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *