Biography of Hazrat Haafiz Sayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri Raajshaahi رحمة الله عليه | Download Free PDF

Hazrat Haafiz Sayyed Muhammad Ibrāheem Shaah Qaadri Raajshaahi Rahmatullāhi Alaihi

Alqaab :

Makhdoom-ul-Auliya, Sarkaar-e-Sarawa.

Aap ki Wiladat :

Aap ki wilaadat Ramazaan 1285 Hijri (December 1868 A.D.) Baroz Jum’aa hui.

Sayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Niyaaz Ali Shaah hai.
Aap Hasani saadaat hain.
Aap Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani Radiy-Allāhu Ta’ala Anhu ki nasl se hain.
Sayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه ke waalid fauj me subedaar the.

Aap ki waalida Hazrat Qutb-e-Aalam Miyan Raaj Shaah Sundhwi رحمة الله عليه ki mureed thi.
Aap ki umr 5 saal ki thi tab Hazrat Qutb-e-Aalam Miyan Raaj Shaah رحمة الله عليه Sarawa tashreef laaye. Aap ki waalida ne aap ko Hazrat ke qadmo me daalkar arz kiya “Huzoor! Ise bhi apna mureed farma lijiye.” Hazrat ne farmaaya “Yeh bacha maadarzaad wali hai. Yeh mera naam roshan karega. Jab yeh Haafize Qur’ān ho jaayega tab mureed karenge.”

Aap ki Talimaat:

12 saal ki umr me Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه Haafize Qur’ān hue. Urdu aur Faarsi ki ta’aleem haasil ki.
Aap ki waalida ki tarbiyat se Aap Panj waqta Namaaz ke saath Ishraaq, Chaasht, Awwaabeen, Tahajjud aur Salaat-ut-Tasbeeh ke paaband ho gaye.

Phir Aap ki waalida ne Patwaari Ali Hasan ko Uldhan (Zila Meerut) se bulwaaya Aur farmaaya “Mere Bacche ko Hazrat Qutub-e-Aalam Sundhwi ki baargaah me haazir karke Mureed kara laao.” Jab Aap Hazrat ki khidmat me pahunche to Hazrat ne farmaaya “Muhammad Ibrāheem Shaah! Aaja, tumhara hi intazaar kar raha hu.”

Aap foran Hazrat ke qadmo me gir gaye. Hazrat ne utha kar seene se lagaaya. Aur faize baatini ata farmaaya jis se Aap ki kaifiyat yeh ho gai ke puri kaa’inaat zaahir ho gai.

22 Sha’abaan 1297 Hijri ko Bai’at ke baad Hazrat ne Aap ko Qaadri, Chishti, Suharwardi, aur Naqshbandi silsila ki khilaafat aur ijaazat ata farmai.
Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه farmaate hain “Mujh se mere Peer o murshid ne naseehat farmai ke 10 Cheezen apne muqaabil 10 cheezo ko khaa jaati hain :-
(1) Tauba Gunaah ko khaa jaati hai.
(2) Neki Badi ko khaa jaati hai.
(3) Sadqa Bala ko khaa jaata [door kar deta] hai.
(4) Gham Umr Ko khaa jaata [kam kar deta] hai.
(5) Ghussa Aql ko khaa jaata hai.
(6) Takabbur Ilm ko khaa jaata hai.
(7) Jhoot Rizq ko khaa jaata hai.
(8)Pashemaani Sakhaawat ko khaa jaati hai)
(9) Zulm Adl ko khaa jaati hai.
(10) Gheebat Amal ko khaa jaati hai.

8 Ramazaan 1306 Hijri (9 May 1889 A.D.) ko Peer ke wisaal ke baad aap ne Hazrat ke saahabzaade aur deegar khulfa se istifaza kiya.

Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه Qutb-e-Zamaan the.

Akṡar waqt Ibaadat wa Riyazat aur Muraaqaba wa Muhaasba me mashgool rehte.

Shariat-e-Mutahhira ki puri tarah paabandi farmaate. Har amal Sunnate Rasool ke mutaabiq karte.
Sab ko ta’aleem wa faiz ata farmaate.
Ameer wa ghareeb se yaksa pesh aate.
Salaam me pehal farmaate.
Dunyaawi alaish se Saaf The.
Khush Akhlaaqi, Sabr o Tahammul, Aajzi, Inksaari, Mehmaan nawaazi Aap ki aadat thi.

Mehfile Meelaad munaaqid kiya karte.
Sayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه ke Peer bhai jab tashreef laate to mohabbat ke saath unka bahot zyada ehtaraam aur khidmat karte.

Aap ki Karamat :

(1) Haaji Majeedullāh Khan (Saakin Meerut) ke ghar ki ek aurat par aaseb tha. Bahut Ilaaj karaye, Koi aaraam nahi hua. Phir Soofi Mumtaz Se ke mashware par Hafiz Sayyed Muhammad Ibrāheem ki khidmat me Sarawa haazir Hue, Aap ne muskura kar farmaaya “Majeedullāh Khan hamari mulaaqaat ka bahaana bana diya.” Phir farmaaya “Ek botal me paani laao.” Aur paani ki botal pesh ki to Aap ne padh kar paani par dam farmaya aur us aurat par bhi dam kiya. Aur farmaaya “Jaao, In shaa Allāh aaram ho gaya hai.” Us ke baad us aurat ko koi shikayat nahi hui.

Is Karaamat ko dekh kar pura khaandaan Sarkar se bai’at hue. Hazrat Aap ne irshaad farmaaya “Chaudhari Majeedullāh! Haafiz Kallan se rozaana milte rehna, agar kisi roz wo na mile to waha baith kar chale aana. Jo main hu waise hi woh hain. Tamaam mushkil aasan ho jaayegi.” Wo Log Haafiz Kallan Shaah se milte rahe. ALLĀH ta’ala ke fazl se unke zameen ke tamaam muqadamaat unke haq me tay hue. Maal o daulat me barkat hui. Haafiz Kallan Shaah ki dua se tamaam bhaiyo ko Hajje Baitullāh ki sa’adat haasil hui.

(2) Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه namaaz e Fajr ke baad Bazar Shaah Ghasa wali Masjid me tashreef farma rehte. Baad namaz e Ishraaq Zaaireen se mulaaqaat karte aur Dua wa Dam bhi farmatae. Kai Hindu bhi Sayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه ke paas dua wa dam ke liye aate.

Ek martaba mohalle ka ek hindu ladka waha aaya aur Hazrat ko bhala bura kehne laga. Aap khaamosh rahe aur logo ko bhi khaamosh rehne ke liye farmaaya. Apne Ghar jaakar wh ladka behosh ho gaya. Doctoro ko dikhaaya lekin koi aaram nahi hua. Muhammad Ahmad Meeruti ko pata chala to unho ne us ladke ke bSayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه ke kaha “Is bewaqoof ladke ne Makhdoom-ul-Aulia Sarkaar e Sarawa ki shaan me wo galat alfaaz istamaal kiye hain jo bayaan nahi kiye jaa sakte. Ab behtar yehi hai ke ise Haafiz saahab ki khidmat me le chalo.”

Wo log use lekar Haafiz saahab ki khidmat me haazir hue. Hazrat ne kucha padh kar Dam farma diya. Wo ladka bilkul theek ho gaya. Ladke ke baap ne arz kiya “Huzoor! Iski galti ma’af farma den, jo kuchh bhi isne gustaaki ki wo ma’af farma dijiye. Aap ne farmaaya “Bhai! Hum ne to koi bad dua nahi ki hai, Agar hamare chaahne waale ne kucha kiya ho to baat alag hai.”

(3) Ek martaba Qadyaniyo ne kuchh sawaal kiye. Ulama e Ahle Sunnat ne jawaab dene ke liye 15 din ki mohlat maangi. Hazrat Sadr-ul-Ulama Allama Mufti Sayyed Ghulaam Jeelaani Meeruti رحمة الله عليه ne Aap ki baargaah me arz ki aur Sayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه ke farmaan par Hazrat Miyan Raaj Shaah Sundhwi رحمة الله عليه ki kothri me aankh band karke baithe to khud ko Roza e Rasool par maujood paaya aur Huzoor ﷺ ne jalwa afroz hokar Lohe mehfooz me Qadyaniyo ne sawaal ke jawaab kitaab ke safahaat ke number ke saath bataaye. Munaazare ke din Ulama e Ahle Sunnat parshaan hue tab Hazrat Sadr-ul-Ulama ne ALLĀH ta’ala ke fazl se Qadyaniyo ke sawaalo ke jawaab diye aur kaamyaabi haasil hui.

Aap ki Mureedi aur Khilafat:

Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه Hazrat Qutb-e-Aalam Miyan Raaj Shaah Sundhwi Rahmatullāhi Alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ka Wisaal:

Wisaal se pehle Aap ne Munshi Abdul Ghani ko Fareed Nagar bhejkar Hazrat Raajshaah Miyan ke Pote Hazrat Miyan Nazeer Husain Raajshaahi رحمة الله عليه ko bulwaaya.
Phir Abdul Majeed Raajshaahi saahab ko Uldhan (Uttar Pradesh) bhejkar Hazrat Soofi Sayyed Muhammad Ismāeel Shaah Raajshaahi رحمة الله عليه ko bulwaaya.

Makaan me maujood tamaam logo ko namaaze maghrib ada karne ke liye masjid me bheja. Phir Hazrat Soofi Sayyed Muhammad Ismāeel Shaah ko bithaane ke liye farmaaya aur chaarpaai par baithkar namaaz padhna shuru kiya. Pehli rak’at ke dusre sajde me Aap ne intiqaal farmaaya.

Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه ka wisaal 22 Moharram 1371 Hijri (23 October 1951 A.D.) ko baroz Mangal hua.

Hazrat Sadr-ul-Ulama Allama Mufti Sayyed Ghulaam Jeelaani Meeruti رحمة الله عليه ne Jaama Masjid, Sarawa ke maidaan me Aap ki namaaze janaaza padhai.
Aap jaha par sukoonat pazeer the us makaan me Aap ko dafn kiya gaya.

Muhammad Ibrahim Shah Qadri رحمة الله عليه  ka mazaar Sarawa (Uttar Pradesh) me hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me
Aur Hazrat Haafiz Sayyed Muhammad Ibrahim Shah Qadri Raajshaahi رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *