Hazrat Bilal Ibn Rabah Biography
Alqaab :
Sayyed-ul-Muazzeen, Muazzin-e-Awwal.
Aap ki wiladat :
Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ki wilaadat 580 A.D. me Makka me hui. Aap ke waalid ka naam Rabah aur waalida ka naam Hamamah hai. Aap ke waalidain Habasha (Abyssinia, Ethiopia / Africa) ke the.
Ek baar Huzoor Rasool-Allāh ﷺ Makka ki ek gali se guzar rahe the. Unhe ek ghar me se kisi ke rone ki aawaaz aai. Is dard bhari rone ki aawaaz sunkar be-ikhtiyaar us ghar me daakhil ho gaye. Dekha ke ek Habashi naujawaan chakki pees raha hai aur zaar o qataar ro raha hai.
Huzoor ﷺ ne us se rone ki wajah puchhi to us ne bataaya ke ‘Main ek ghulaam hu. Saara din apne maalik ki bakariya charaata hu. Shaam ko thak kar jab ghar aata hu to mera maalik mujhe gamdum ki ek bori peesne ke de deta hai. Jis ko peesne me puri raat lag jaati hai. Main bhi ek insaan hu. Mera jism bhi aaraam maangta hai. Lekin mere maalik ko mujh par zara bhi taras nahi aata hai. Main apni buri qismat par ro raha hu. Kya meri taqdeer me saari zindagi isi tarah ro rokar guzaarna hi likha hai?’
Huzoor ﷺ ne farmaaya ke ‘Main tumhare maalik se kehkar tumhari mashaqqat to kam nahi karwa sakta kyun ki wo meri baat maanega nahi. Haan, Main tumhari thodi madad kar sakta hu. Tumhari jagah par main chakki peseta hu aur tum so jaao. Wo Habashi ghulaam bahot khush hua aur shukriya ada karke so gaya. Huzoor ﷺ us ki jagah par chakki peeste rahe. Jab gandum khatm ho gaye to aap use baghair jagaaye waapas tashreef le aaye. Dusre din phir aap waha tashreef le gaye aur us ghulaam ko sulaakar us ki jagah chakki peeste rahe.
Teesre deen bhi yahi maajra hua aur subah ko aap khaamoshi se apne ghar tashreef le aaye. Chothe din jab aap waha gaye to us ghulaam ne kaha ‘Aye ALLĀH ke bande!, Aap kaun hain aur mera itna khayaal kyun kar rahe hain?
Hum ghulaamo se na kisi ko koi dar hota hai aur na koi faa’ida to phir aap ye sab kuchh kis liye kar rahe ho?’ Huzoor ﷺ ne farmaaya ‘Main to ye sab insaani humdardi ke tahet kar raha hu. Is ke ilaawa mujhe tum se koi garz nahi.’ Us ghulaam ne kaha ‘Aap kaun ho?’
Huzoor ﷺ ne farmaaya ke ‘Kya tum jaante ho ke Makka ek shakhs ne nabuwwat ka daawa kiya hai? ‘Us ghulaam ne kaha ‘Haan, Maine suna hai ke Mohammad naami ek shakhs khud ko ALLĀH ka nabi kehta hai.’ Aap ﷺ ne farmaaya ‘Main wo hi Mohammad hu.’ Ye sunkar us ghulaam ne kaha ‘Agar aap hi wo nabi hain to mujhe kalma padhaa’iye kyun ki itna shafeeq aur mehrbaan koi nabi hi ho sakta hai jo ghulaamo ka bhi is qadar khyaal rakhe.’
Phir Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ kalma padhkar Islaam me daakhil hue.
Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne 30 saal ki umr me jab Islaam apnaaya to shuru me makhafi rakha. Jab aap ke Maalik Umayyah ibn Khalaf ko pata chala to us ne aap ko tarah tarah ki takleef dena shuru kiya. Wo aap ko garm ret par letakar aap ke upar bade bhari patthar rakta tha. Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne har takleef bardaasht ki magar Islaam aur daaman e Mustafa ko na chhoda aur apne ishq e Mustafa ka saboot diya.
Phir Huzoor ﷺ ke hukm par Hazrate Abu Bakr Siddeeq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Umayyah ibn Khalaf ko dusra gulam aur kuchh raqam dekar aap ko aazad karaya.
Jab Hazrte Abu Bakr aap ko lekar jaa rahe the tab Umayyah ibn Khalaf ne kaha ‘Aye Abu Bakr! Tum ne bahot mahenga sauda kiya.’ to Hazrte Abu Bakr Siddeeq ne us se kaha ‘Tum ne sirf Bilaal ko dekha hai aur maine us ke dil me ishq e Rasool ko dekha hai.’
622 A.D. me Huzoor ﷺ ke Madeena aane ke baad aap bhi Makka se Hijrat karke Madeena aa gaye.
Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Jung e Badr aur dusri tamaam jang me shirkat ki.
Junge Badr me aap ne Umayyah bin Khalaf ko qatl kar diya.
Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Islaam ke sab se pehle Muazzin hain.
2 Hijri me jab Hazrate Umar رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne Huzoor ﷺ ne Namaaz ke liye musalmano ko jama karne ke liye Azaan pukaarne ka mashwara diya to Huzoor ﷺ ne Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko Muazzin muqarrar kiya.
Aap hamesha Huzoor ﷺ ke saath rehte the, Masjid e Nabawi me ya Masjid e Quba me ya Safar me, aur aap ki Azaan ki aawaaz se ashaaba ko pata chal jaata tha ke Huzoor ﷺ kis maqaam par hain.
Jab Makka fateh hua to Aap ne Ka’abatullāh par Azaan pukaari.
Huzoor ﷺ ne aap ko apna khajaanchi muqarrar kiya tha aur jab koi shakhs apni haajat lekar darbaar e nabi me aata tha to aap Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ko uske liye hukm dete the aur wo use us ki haajat ki cheez dete the.
Ek martaba Huzoore akram ﷺ ne Fajr ke waqt Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ se farmaaya ke ‘Aye Bilaal! Ye bataao ke eimaan laane ke baad tum ne wo kaun sa aisa amal kiya hai jo fazeelat me dusre amal se badhkar hai. Kyun ki maine jannat me tumhare qadmo ki aawaaz aage aage suni.’
Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne kaha ‘Ya Rasool-Allāh ﷺ! Mujhe aisa koi amal yaad nahi aata,’ Phir kuchh der baad aap ne kaha ‘Aye mere Aaqa! Main jab bhi wuzu karta hu, chaahe din me ya raat me, to foran main 2 rak’at nafl Tahyatul Wuzu padhta hu aur jab bhi mera wuzu toot jaata hai to main foran wuzu kar liya karta hu.’
Huzoore akram ﷺ ne farmaaya ke ‘Aye Bilaal! Ye hi wo amal ho sakta hai, jis ki wajah se ye khushkhabari mili hai.’
(Sahih Bukhari, Jild -2, Hadees -1149)
Huzoor ﷺ ke parda farmaane ke baad Hazrate Abu Bakr رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke ilteja karne par Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ Madeena me rooke.
Lekin aap ke wisal ke baad Hazrate Umar Faarooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ke zamaaane me Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne un se Jihaad ke jaane ki ijazat chaahi. Hazrate Umar Faarooq ne Madeena me rookne ki guzaarish ki magar Aap na maane aur Shaam (Syria) ki taraf rawaana ho gaye.
Ameer ul mo’mineen Hazrate Umar Faarooq رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ jab Jerusalem gaye to waha Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ maujood the aur ashaaba ke arz karne par aap ne un ko azaan ke liye guzaarish ki. Shuru me mana karne ke baad jab israar kiya to Hazrat Bilal رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ ne azaan pukaari aur sab ko Huzoor ﷺ ke zamaana e zaahiri ki yaad aa gai.
Qaul :
Deen e Islaam me kisi tarah ka jabr nahi. Hidaayat paane me kisi ko barso lag jaate hain to kisi ko ek pal. Waqt ka tayyun sirf ALLĀH ta’ala hi karta hai.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 20 Moharram 18 Hijri (2 March 640 A.D.) ko 60 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Damascus (Syria) me ‘Baab-us-sagheer’ me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me Aur Hazrat Bilaal al-Habashi رَضِيَ ٱللَّٰهُ عَنْهُ aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.