Biography of Hazrat Sayyed Haji Ali Shah Bukhari رحمة الله عليه | Download Free PDF

Biography of Hazrat Sayyed Haji Ali Shah  Bukhari رحمة الله عليه

Alqaab:

Qutb-e-Zamaan, Shaah-e-samundar.

Aap ki Karamat:

Ek martaba Aap ne ek aurat ko rote hue dekha. Aap ne rone ki wajah puchhi to us ne bataaya ki ‘Main is bartan me tail lekar jaa rahi thi. Achaanak thokar lagne se gir gai aur ab agar bagair tail ke ghar jaaungi to mera shohar naraaz hoga.’

Aap ko ghareeb pareshaan aurat par raham aa gaya aur aap ne use us jagah bataane ko kaha jaha par tail gir gaya tha. Us jagah par pahunchkar Aap ne zameen par apni zor se apni ungli rakhi to tail baahar nikal aaya aur us aurat ne apne bartan me tail bhar liya aur khush hokar apne ghar chali gai.

Is ke baad Aap ne khwaab me dekha ki zameen keh rahi hai ki tum ne is tarah dabaakar mujhe takleef di hai.

Ye khwaab baar baar dekhkar Aap be-chain aur ranjeeda rehne lage.

Phir Aap apni waalida ki ijaazat lekar apne bhai ke saath Bukhara chhodkar nikal gaye. Safar karte hue jab Aap Hindustan me Mumbai pahunche to aap ne yahi sukoonat ikhtiyaar karne ka faisla kiya aur apne bhai ko waapas bhej diya aur us ke saath apni waalida ko khat likhkar apna faisla bataaya aur un ki maafi maangi.

Phir Aap kai saal tak wahi par rehkar ibaadat e ilāhi aur isha’at e Islaam karte rahe aur logo ko ta’aleem  dete rahe.

Aqwaal:

(1) ALLĀH ta’ala se darte raho phir tumhe kisi cheez ka khuf nahi rahega.

(2) Zindagi ke din baadalo ki tarah guzar jaate hain. Lihaaza jab tak zindagi hai neki karte raho.

Aap ka Wisaal:

Makka ki jaanib safar ke dauraan Aap ka wisaal hua.
Wisaal se pehle Aap ne apne saathiyo ko wasiyat ki thi ke ‘Mujhe kafan pehnakar mere jism ko ek sandooq me rakhkar samundar me baha dena. Jaha par meri mayyat pahunchegi waha ke log mujhe dafn karenge.’

Is tarah Aap Hindustan ke samundar kinaare pahunche aur Aap ko wahi par samundar ke bich me pahaadi par dafn kiya gaya.

Aap ka mazaar Mumbai ke Worli ilaaqe me samundar ke bich me hai.
834 Hijri (1431 A.D.) me Haji Uṡmaan Rangikar ne Aap ki Dargaah aur Masjid ki taameer ki. Aap ka Urs 16 Rabi uṡ ṡaani ko manaaya jaata hai.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Haji Ali Shah Bukhari رحمة الله عليه aur Tamaam Aulia Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *