Hazrat Peer Sayyed Shah Shamsuddeen Sabzwari رحمة الله عليه
Aap ki Wiladat:
Aap ki wiladat Sabzwar (Iran) me hui.
Aap ke waalid ka naam Peer Sayyed Salaah-ud-deen hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap ki Ibtidaai Talimaat:
Aap ne Sabzwar me apne waalid se ibtidaai ta’aleem haasil ki.
Aap 596 Hijri (1200 A.D.) me Multan tashreef laaye.
Aap Badakshan, Kashmir, Punjab, Sindh, Gujarat, Tibet, aur Nepal ka safar karke isha’at e Islaam karte rahe. Aap ki ta’aleem se bahot saare log islaam me daakhil hue.
Aap ke saahabzaade ka naam Peer Naseer-ud-deen hai.
Aap ka Wisaal:
Aap ka wisaal 16 Rabi uṡ ṡaani 675 Hijri (1276 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Multan (Pakistan) me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb ﷺ ke sadqe me aur Hazrat Peer Sayyed Shah Shamsuddeen Sabzwari رحمة الله عليه aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae
Aameen.