Table of Contents
ToggleRusul Unhi Ka To Muzda Lyrics
By Huzoor Mufti e Azam e Hind
Rusul unhi ka to muzda sunaane aaye hain
Unhin ke aane ki khushiyaan manaane aaye hain
Firishtay aaj jo dhumein machaane aaye hain
Unhin ke aane ki shaadi rachaane aaye hain
Falak ke hoor o malak geet gaane aaye hain
Ke do jahaan mein ye danke bajaane aaye hain
Ye seedha raasta haq ka bataane aaye hain
Ye haq ke bandon ko haq se milaane aaye hain
Ye bhoole bichhdon ko raste pe laane aaye hain
Ye bhoole bhatkon ko haadi banaane aaye hain
Khuda e paak ke jalwe dikhaane aaye hain
Dilon ko Noor ke buq’ae banaane aaye hain
Rusul unhi ka to muzda sunaane aaye hain
Unhin ke aane ki khushiyaan manaane aaye hain
Ye qaid o band e alam se chhudaane aaye hain
Lo muzda ho ke rihaayi dilaane aaye hain
Chamak se apni jahaan jagmagaane aaye hain
Mahek se apni ye kuche basaane aaye hain
Naseem e faiz se gunche khilaane aaye hain
Karam ki apni bahaarein dikhaane aaye hain
Yahi to sote huwon ko jagaane aaye hain
Yahi to rote huwon ko hansaane aaye hain
Ye kufr o shirk ki niwein hilaane aaye hain
Ye shirk o kufr ki tameerein dhaane aaye hain
Rusul unhi ka to muzda sunaane aaye hain
Unhin ke aane ki khushiyaan manaane aaye hain
Hazaar saal ki Roshan shuda bujhi aatish
Ye kufr o shirk ki aatish bujhaane aaye hain
Sahar ko Noor jo chamka tou shaam tak chamka
Bata dia ke Jahaan jagmaganay aaye hain
Inhein khuda ne kiya apne mulk ka maalik
Inhin ke qabze mein rab ke Khazaane aaye hain
Jo chaahenge jise chaahenge ye usey denge
Kareem hain ye khazaane lutaane aaye hain
Jo gir rahay thay unhain naaibon ne thaam lia
Jo gir chukay hain ye unko uthanay aaye hain
Rusul unhi ka to muzda sunaane aaye hain
Unhin ke aane ki khushiyaan manaane aaye hain
Maseeh e paak ne ajsaam e murda zinda kiye
Ye jaane jaan dil o jaan ko jilaane aaye hain
Bulawa Aap ka ab tak dia kiye naaib
Ab Aap bandon ko apnay bulanay aaye hain
Rauf aise hain ye aur raheem hain itne
Ke girte padton ko seeney lagaane aaye hain
Suno ge “Laa” na zabaan e kareem se Noori
Ye faiz o jood ke dariya bahaanay aaye hain
Rusul unhi ka to muzda sunaane aaye hain
Unhin ke aane ki khushiyaan manaane aaye hain
رسل انہیں کا تو مژدہ سنانے آئے ہیں
انہیں کے آنے کی خوشیان منانے آئے ہیں
فرشتے آج جو دھومیں مچانے آئے ہیں
انہیں کے آنے کی شادی رچانے آئے ہیں
فلک کے حور و ملک گیت گانے آئے ہیں
کہ دہ جہاں میں یہ ڈنکے بجانے آئے ہیں
یہ سیدھا راستہ حق کا بتانے آئے ہیں
یہ حق کے بندوں کو حق سے ملانے آئے ہیں
یہ بھولے بچھڑوں کو رستے پہ لانے آئے ہیں
یہ بھولے بھٹکوں کو ہادی بنانے آئے ہیں
خدائے پاک کے جلوے دکھانے آئے ہیں
دلوں کو نور کے بقعے بنانے آئے ہیں
یہ قید و بند الم سے چھڑانے آئے ہیں
لو مژدہ ہو کہ رہائی دلانے آئے ہیں
چمک سے اپنی جہاں جگمگانے آئے ہیں
مہک سے اپنی یہ کوچے بسانے آئے ہیں
نسیم فیض سے غنچے کھلانے آئے ہیں
کرم کی اپنی بہاریں دکھانے آئے ہیں
یہی تو سوتے ہوؤں کو جگانے آئے ہیں
یہی تو روتے ہوؤں کو ہنسانے آئے ہیں
یہ کفر و شرک کی نیویں ہلانے آئے ہیں
یہ شرک و کفر کی تعمیریں ڈھانے آئے ہیں
ہزار سال کی روشن شدہ بجھی آتش
یہ کفر و شرک کی آتش بجھانے آئے ہیں
سحر کو نور چمکا تو شام تک چمکا
بتا دیا کہ جہاں جگمگانے آئے ہیں
انہیں خدا نے کیا اپنے ملک کا مالک
انہیں کے قبضے میں رب کے خزانے آئے ہیں
جو چاہیں گے جسے چاہیں گے یہ اسے دیں گے
کریم ہیں یہ خزانے لٹانے آئے ہیں
جو گر رہے تھے انہیں نائبوں نے تھام لیا
جو گر چکے ہیں یہ ان کو اٹھانے آئے ہیں
مسیح پاک نے اجسام مردہ زندہ کئے
یہ جانِ جاں دل و جاں کو جلانے آئے ہیں
بلاوا آپ کا اب تک دیا کئے نائب
اب آپ بندوں کو اپنے بلانے آئے ہیں
رؤف ایسے ہیں اور یہ رحیم ہیں اتنے
کہ گرتے پڑتوں کو سینے لگانے آئے ہیں
سنو گے ’’لا‘‘ نہ زبان کریم سے نورؔی
یہ فیض و جود کے دریا بہانے آئے ہیں