Rah e Irfan Se Jo Hum Naa Deedah Ru Mehram Nahi Lyrics Urdu/English

Rah e Irfan Se Jo Hum Naa Deedah Ru Mehram Nahi Lyrics

Rah e Irfan Se Jo Hum Naa Deedah Ru Mehram Nahi Lyrics

By Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

Rah e irfan se jo hum naa deedah ru mehram nahi
Mustafa hai masnad e irshad par kuch gham nahin

Hoon musalman garche naqis hi sahi aay kamilo
Mahiyat pani ki akhir yam se nam mein kam nahin

Ghunche maa awha ke jo chatke dana ke bagh mein
Bulbul e sidrah tak un ki bu se bhi mahram nahin

Rah e irfan se jo hum naa deedah ru mehram nahi
Mustafa hai masnad e irshad par kuch gham nahin

Us mein zam zam hai ke tham tham is mein jam jam hai ke beesh
Kasrat e kawsar mein zam zam kee tarah kam kam nahin

Panjah e mihr e arab hai jis se darya bah gaye
Chashmah e khurshid mein to naam ko bhi nam nahin

Rah e irfan se jo hum naa deedah ru mehram nahi
Mustafa hai masnad e irshad par kuch gham nahin

Aysa ummi kis liye minnat kash e ustaad ho
Kya kifaayat is ko iqra’a rabbuka’l akram nahin

Aws mihr e hashr par par jay e pyaso to sahee
Us gul e khandan ka rona giryah e shabnam nahin

Rah e irfan se jo hum naa deedah ru mehram nahi
Mustafa hai masnad e irshad par kuch gham nahin

hai unhin ke dam qadam ki bagh e aalam mein bahar
Woh na thai aalam na tha gar woh na hon aalam nahin

Saayah e diwar o khaak e dar ho Yaa Rab aur Raza
Khwahish e dayhim e qaysar shawq e takht e jam nahin

Rah e irfan se jo hum naa deedah ru mehram nahi
Mustafa hai masnad e irshad par kuch gham nahin

راہِ عرفاں سے جو ہم نادیدہ رو محرم نہیں 

مصطفٰے ہے مَسندِ ارشاد پر کچھ غم نہیں


ہُوں مسلماں گرچہ ناقِص ہی سہی اے کامِلو!

ماہیت پانی کی آخر یَم سے نَم میں کم نہیں


غنچے مَا اَوْحٰی کے جو چٹکے دَنٰی کے باغ میں 

بلبلِ سدرہ تک اُن کی بُو سے بھی محرم نہیں


اُس میں زم زم ہے کہ تھم تھم اِس میں جم جم ہے کہ بیش

کثرتِ کوثر میں زم زم کی طرح کم کم نہیں


پنجۂ مہر عرب ہے جس سے دریا بہہ گئے

چشمۂ خورشید میں تو نام کو بھی نم نہیں


ایسا اُمّی کس لئے منت کشِ اُستاد ہو

کیا کفایت اس کو اِقْرَأ رَبُّکَ الْاَکْرَمْ نہیں


اَوس مہرِ حَشْر پر پڑ جائے پیاسو تو سہی

اُس گلِ خنداں کا رونا گریۂ شبنم نہیں


ہے اُنھیں کے دم قدم کی باغِ عالم میں بہار

وہ نہ تھے عالم نہ تھا گر وہ نہ ہوں عالَم نہیں


سایۂ دیوار و خاکِ دَر ہو یاربّ اور رضاؔ

خواہشِ دَیْہِیْمِ قیصر، شوقِ تخت جم نہی

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *